Ali Zaryoun Poetry

jis tarah waqt guzarne ke liye hota hai


jis tarah waqt guzarne ke liye hota hai

jis tarah waqt guzarne ke liye hota hai
aadmi shakl pe marne ke liye hota hai

teri aankhon se mulaqaat hui tab ye khula
doobne waala ubharne ke liye hota hai

ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan
husn to khair mukarne ke liye hota hai

aankh hoti hai kisi raah ko takne ke liye
dil kisi paanv pe dharne ke liye hota hai

dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab
jab bhi hota hai ye harne ke liye hota hai

koi basti ho ujhadne ke liye basti hai
koi mazma ho bikharna ke liye hota hai 
-------------------------------------
जिस तरह वक़्त गुज़रने के लिए होता है
आदमी शक्ल पे मरने के लिए होता है

तेरी आँखों से मुलाक़ात हुई तब ये खुला
डूबने वाला उभरने के लिए होता है

इश्क़ क्यूँ पीछे हटा बात निभाने से मियाँ
हुस्न तो ख़ैर मुकरने के लिए होता है

आँख होती है किसी राह को तकने के लिए
दिल किसी पाँव पे धरने के लिए होता है

दिल की दिल्ली का चुनाव ही अलग है साहब
जब भी होता है ये हरने के लिए होता है

कोई बस्ती हो उजड़ने के लिए बसती है
कोई मज़मा हो बिखरने के लिए होता है


Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 675