Khumar Barabanki Poetry

hal-e-gham un ko sunate jaiye


hal-e-gham un ko sunate jaiye

hal-e-gham un ko sunate jaiye
shart ye hai muskurate jaiye

aap ko jaate na dekha jaega
shama ko pahle bujhate jaiye

shukriya lutf-e-musalsal ka magar
gaahe gaahe dil dukhate jaiye

dushmanon se pyaar hota jaega
doston ko azmate jaiye

raushni mahdud ho jin ki 'ḳhumar'
un charaġhon ko bujhate jaiye
------------------------------
हाल-ए-ग़म उनको सुनाते जाइए
शर्त यह है मुस्कुराते जाइए

आप को जाते न देखा जाएगा
शमा को पहले बुझाते जाइए

शुक्रिया लुत्फ़-ए-मुसलसल का मगर
गाहे-गाहे दिल दुखाते जाइए

दुश्मनों से प्यार होता जाएगा
दोस्तों को आज़माते जाइए

रोशनी महदूद हो जिनकी 'ख़ुमार'
उन चराग़ों को बुझाते जाइए


Poet - Khumar Barabanki
Location: Barabanki, Uttar Pradesh,
Views: 522