Parveen Shakir Poetry

charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gaya


charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gaya

charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gaya
hawa ke saath musaafir ka naqsh-e-paa bhi gaya

main phool chuntee rahi aur mujhe khabar na hui
vo shakhs aa ke mere shehar se chala bhi gaya

bahut aziz sahi us ko meri dildaari
magar ye hai ki kabhi dil mera dukha bhi gaya

ab un dareechon pe gehre dabeez parde hain
vo taank-jhaank ka ma'soom silsila bhi gaya

sab aaye meri ayaadat ko vo bhi aaya tha
jo sab gaye to mera dard-aashna bhi gaya

ye gurbaten meri aankhon mein kaisi utri hain
ki khwaab bhi mere ruksat hain ratjaga bhi gaya 
------------------------------------------
चराग़-ए-राह बुझा क्या कि रहनुमा भी गया
हवा के साथ मुसाफ़िर का नक़्श-ए-पा भी गया

मैं फूल चुनती रही और मुझे ख़बर न हुई
वो शख़्स आ के मिरे शहर से चला भी गया

बहुत अज़ीज़ सही उस को मेरी दिलदारी
मगर ये है कि कभी दिल मिरा दुखा भी गया

अब उन दरीचों पे गहरे दबीज़ पर्दे हैं
वो ताँक-झाँक का मा'सूम सिलसिला भी गया

सब आए मेरी अयादत को वो भी आया था
जो सब गए तो मिरा दर्द-आश्ना भी गया

ये ग़ुर्बतें मिरी आँखों में कैसी उतरी हैं
कि ख़्वाब भी मिरे रुख़्सत हैं रतजगा भी गया

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 3