Amir Ameer Poetry

tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena


tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena

tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena
zakhm-e-dil ko kabhi achha nahin hone dena

main to dushman ko bhi mushkil mein kumak bhejoonga
itni jaldi use paspa nahin hone dena

tu ne mera nahin hona hai to phir yaad rahe
main ne tujh ko bhi kisi ka nahin hone dena

tu ne kitnon ko nachaaya hai ishaaron pe magar
main ne ai ishq ye mujra nahin hone dena

us ne khaai hai qasam phir se mujhe bhoolne ki
main ne is baar bhi aisa nahin hone dena

zindagi mein to tujhe chhod hi deta lekin
phir ye socha tujhe bewa nahin hone dena

mazhab-e-ishq koi chhod mare to main ne
aise murtad ka janaaza nahin hone dena
----------------------------------------
तुझ को अपना के भी अपना नहीं होने देना
ज़ख़्म-ए-दिल को कभी अच्छा नहीं होने देना

मैं तो दुश्मन को भी मुश्किल में कुमक भेजूँगा
इतनी जल्दी उसे पसपा नहीं होने देना

तू ने मेरा नहीं होना है तो फिर याद रहे
मैं ने तुझ को भी किसी का नहीं होने देना

तू ने कितनों को नचाया है इशारों पे मगर
मैं ने ऐ इश्क़! ये मुजरा नहीं होने देना

उस ने खाई है क़सम फिर से मुझे भूलने की
मैं ने इस बार भी ऐसा नहीं होने देना

ज़िंदगी में तो तुझे छोड़ ही देता लेकिन
फिर ये सोचा तुझे बेवा नहीं होने देना

मज़हब-ए-इश्क़ कोई छोड़ मरे तो मैं ने
ऐसे मुर्तद का जनाज़ा नहीं होने देना


Poet - Amir Ameer
Location: Rahim Yar Khan, Punjab
Views: 579