Sohaib Mugheera Siddiqi Poetry

jo baat ginti ke kuchh dinon se shuroo thi


jo baat ginti ke kuchh dinon se shuroo thi

jo baat ginti ke kuchh dinon se shuroo thi
vo saal-ha-saal tak chali hai
kai zamaanon mein bant gai hai
main in zamaanon mein lamha lamha tumhaari nazaron ke bin raha hoon
main ab talak bhi tumhaare jaane ka baaki nuksaan gin raha hoon
mujhe zamaana ye kah raha tha ki raaygaani mubaalga hai
bhala tumhaari judaai ka dukh zamaan makaan ko hila raha hai
bhala relativity ki science kisi ke murne se munselik hai
inhen batao tumhaare jaane ka dukh utha kar
faqat akela vo main nahin tha jo zarra zarra bikhar gaya tha
tumhaare jaane ke kuchh dinon mein hamaara hawking bhi mar gaya tha
aur uski theory ke kaale gadde
jinhen hamesha tumhaari aankhon mein dekhna tha
vo mere chehre pe pad gaye hain vo meri aankhon mein gad gaye hain
tumhaare jaane ke baad sab kuchh hi ek assee ke zaaviye par palat gaya hai
ki mera hona tumhaare hone se munselik tha
tumhaari aankhon ki raushni thi to main bhi duniya mein ho raha tha
tumhaare lehje ke sur mile the to main bana tha
tumhaare haathon ka lams haathon ko mil raha tha to dekhta tha
hamaare haathon mein atomon ki dafa ki kuwwat kashish mein kaise badal rahi hai
par ab tumhaari nazar kahi hai tumhaara lahja bhi ab nahin hai
to tum batao main kis tariqe se apni hasti ko naisti se juda karunga
main dang aankhon se saari duniya ko dekhta hoon
aur apne hone ki koi illat talaashta hoon
ajeeb tarah ka be-nishaan be-makaam dukh hai
samajhne waale samajh gaye the ye raaygaani hai
raaygaani tamaam sadiyon ka khaam dukh hai
main ab haqeeqat samajh raha hoon
tamaam dukh tha tamaam dukh hai
tumhein bataaun kisi ke hone ka koi maqsad
koi maani kahi nahin hai
agar to nietzsche nahin mara hai
to us se poocha kya karenge zameen pe rah ke
pale badhenge baka ki khaatir lade marengay
phir apne jaise kai janenge aur is jahaan se nikal padenge
jinhe janenge vo sab ke sab bhi yahi karenge
pale badhenge lade marengay
phir un ke bacche aur un ke bacche
ye kya tamasha-e-ha-o-hoo hai
ye zindagi hai to aakh thoo hai 
-------------------------------------
जो बात गिनती के कुछ दिनों से शुरू थी
वो साल-हा-साल तक चली है
कई ज़मानों में बँट गई है
मैं इन ज़मानों में लम्हा लम्हा तुम्हारी नज़रों के बिन रहा हूँ
मैं अब तलक भी तुम्हारे जाने का बाक़ी नुक़सान गिन रहा हूँ
मुझे ज़माना ये कह रहा था कि रायगानी मुबालगा है
भला तुम्हारी जुदाई का दुख ज़माँ मकाँ को हिला रहा है
भला रिलेटिविटी की साइंस किसी के मुड़ने से मुंसलिक है
इन्हें बताओ तुम्हारे जाने का दुख उठा कर
फ़क़त अकेला वो मैं नहीं था जो ज़र्रा ज़र्रा बिखर गया था
तुम्हारे जाने के कुछ दिनों में हमारा हॉकिंग भी मर गया था
और उसकी थ्योरी के काले गड्ढे
जिन्हें हमेशा तुम्हारी आँखों में देखना था
वो मेरे चेहरे पे पड़ गए हैं, वो मेरी आँखों में गड़ गए हैं
तुम्हारे जाने के बाद सब कुछ ही एक अस्सी के ज़ाविए पर पलट गया है
कि मेरा होना तुम्हारे होने से मुंसलिक था
तुम्हारी आँखों की रौशनी थी तो मैं भी दुनिया में हो रहा था
तुम्हारे लहजे के सुर मिले थे तो मैं बना था
तुम्हारे हाथों का लम्स हाथों को मिल रहा था तो देखता था
हमारे हाथों में एटमों की दफ़ा की कुव्वत कशिश में कैसे बदल रही है
पर अब तुम्हारी नज़र कहीं है तुम्हारा लहजा भी अब नहीं है
तो तुम बताओ मैं किस तरीक़े से अपनी हस्ती को नैस्ती से जुदा करूँगा
मैं दंग आँखों से सारी दुनिया को देखता हूँ
और अपने होने की कोई इल्लत तलाशता हूँ
अजीब तरह का बे-निशान बे-मक़ाम दुख है
समझने वाले समझ गए थे ये रायगानी है
रायगानी तमाम सदियों का ख़ाम दुख है
मैं अब हक़ीक़त समझ रहा हूँ
तमाम दुख था तमाम दुख है
तुम्हें बताऊँ किसी के होने का कोई मक़सद
कोई मआनी कहीं नहीं है
अगर तो नीत्शे नहीं मरा है
तो उस से पूछा क्या करेंगे ज़मीं पे रह के
पले बढ़ेंगे बका की ख़ातिर लड़े मरेंगे
फिर अपने जैसे कई जनेंगे और इस जहाँ से निकल पड़ेंगे
जिन्हे जनेंगे वो सब के सब भी यही करेंगे
पले बढ़ेंगे लड़े मरेंगे
फिर उन के बच्चे और उन के बच्चे
ये क्या तमाशा-ए-हा-ओ-हू है
ये ज़िंदगी है तो आख थू है

Poet - Sohaib Mugheera Siddiqi
Location: Lahore, Pakistan
Views: 312