Amir Ameer Poetry

vo roothi roothi ye kah rahi thi qareeb aao mujhe manao


vo roothi roothi ye kah rahi thi qareeb aao mujhe manao

vo roothi roothi ye kah rahi thi qareeb aao mujhe manao
ho mard to aage badh ke mujh ko gale lagao mujhe manao

main kal se naaraz hoon qasam se aur ek kone mein ja padi hoon
haan main galat hoon dikhaao phir bhi tumhi jhukao mujhe manao

tumhaare nakhrin se apni an-ban to badhti jaayegi sun rahe ho
tum ek sorry se khatm kar sakte ho tanaav mujhe manao

tumhein pata bhi hai kis sakhi se tumhaara paala pada hua hai
mua'af kar doongi tum ko fauran hi aao aao mujhe manao

mujhe yun apne se door kar ke na khush rahoge ghuroor kar ke
so mujh se kuchh faasle pe rakho ye rakh-rakhaav mujhe manao

mujhe batao ki meri naarazgi se tum ko hai farq koi
main kha rahi hoon na-jaane kab se hi pech-taav mujhe manao

mujhe pata hai mujhe manaane ko tum bhi bechain ho rahe ho
to kya zaroori hai tum bhi itne bharam dikhaao mujhe manao

mera iraada to pehle hi se hai maan jaane ka sach bataaun
tum apne bhar bhi tamaam harbon ko aazmao mujhe manao

bahut bure ho meri dikhaave ki neend ko bhi tum asl samjhe
kahi se seekho piyaar karna mujhe jagao mujhe manao

tum apne andaaz mein ki jaise chadha ke rakhte ho aasteinen
to main tumhaara radif waali ghazal sunaao mujhe manao

khilaf-e-ma'amool mood achha hai aaj mera main kah rahi hoon
ki phir kabhi mujh se karte rahna ye bhaav-taav mujhe manao

main parle darje ka hat-dharam tha ki phir bhi us ko manaa na paaya
so ab bhi kaanon mein goonjtaa hai mujhe manao mujhe manao 
-------------------------------------------
वो रूठी रूठी ये कह रही थी क़रीब आओ मुझे मनाओ
हो मर्द तो आगे बढ़ के मुझ को गले लगाओ मुझे मनाओ

मैं कल से नाराज़ हूँ क़सम से और एक कोने में जा पड़ी हूँ
हाँ मैं ग़लत हूँ दिखाओ फिर भी तुम्ही झुकाओ मुझे मनाओ

तुम्हारे नख़रों से अपनी अन-बन तो बढ़ती जाएगी सुन रहे हो
तुम एक सॉरी से ख़त्म कर सकते हो तनाव मुझे मनाओ

तुम्हें पता भी है किस सखी से तुम्हारा पाला पड़ा हुआ है
मुआ'फ़ कर दूँगी तुम को फ़ौरन ही आओ आओ मुझे मनाओ

मुझे यूँ अपने से दूर कर के न ख़ुश रहोगे ग़ुरूर कर के
सो मुझ से कुछ फ़ासले पे रक्खो ये रख-रखाव मुझे मनाओ

मुझे बताओ कि मेरी नाराज़गी से तुम को है फ़र्क़ कोई
मैं खा रही हूँ न-जाने कब से ही पेच-ताव मुझे मनाओ

मुझे पता है मुझे मनाने को तुम भी बेचैन हो रहे हो
तो क्या ज़रूरी है तुम भी इतने भरम दिखाओ मुझे मनाओ

मिरा इरादा तो पहले ही से है मान जाने का सच बताऊँ
तुम अपने भर भी तमाम हर्बों को आज़माओ मुझे मनाओ

बहुत बुरे हो मिरी दिखावे की नींद को भी तुम अस्ल समझे
कहीं से सीखो पियार करना मुझे जगाओ मुझे मनाओ

तुम अपने अंदाज़ में कि जैसे चढ़ा के रखते हो आस्तीनें
तो मैं ''तुम्हारा'' रदीफ़ वाली ग़ज़ल सुनाओ मुझे मनाओ

ख़िलाफ़-ए-मा'मूल मूड अच्छा है आज मेरा मैं कह रही हूँ
कि फिर कभी मुझ से करते रहना ये भाव-ताव मुझे मनाओ

मैं परले दर्जे का हट-धरम था कि फिर भी उस को मना न पाया
सो अब भी कानों में गूँजता है मुझे मनाओ मुझे मनाओ


Poet - Amir Ameer
Location: Rahim Yar Khan, Punjab
Views: 186