Afkar Alvi Poetry

hijr mein khud ko tasalli di kaha kuchh bhi nahin


hijr mein khud ko tasalli di kaha kuchh bhi nahin

hijr mein khud ko tasalli di kaha kuchh bhi nahin
dil magar hansne laga aaya bada kuchh bhi nahin

ham agar sabr mein rahte hain to kya kuchh bhi nahin
jaane waalo kabhi aa dekho bacha kuchh bhi nahin

be-dili yun hi ki rab koi maseeha bheje
ham maseeha se bhi kah denge o ja kuchh bhi nahin

dekhe bin ishq hua dekhe bina door huye
itna kuchh ho bhi gaya aur hua kuchh bhi nahin

saste aabid na banen lat ko ibadat na kahein
aashiqi lazzat-o-zillat ke siva kuchh bhi nahin

main tere baad musallii pe bahut rota raha
aur kaha yaar khuda khair bhala kuchh bhi nahin

ishq mardaana tabiyat nahin rakhta afkaar
varna ye husn-o-jamaal aur ada kuchh bhi nahin
-------------------------------------------
हिज्र में ख़ुद को तसल्ली दी, कहा कुछ भी नहीं
दिल मगर हँसने लगा, आया बड़ा कुछ भी नहीं

हम अगर सब्र में रहते हैं तो क्या कुछ भी नहीं
जाने वालो! कभी आ देखो, बचा कुछ भी नहीं

बे-दिली यूँ ही कि रब कोई मसीहा भेजे
हम मसीहा से भी कह देंगे, ओ जा! कुछ भी नहीं

देखे बिन इश्क़ हुआ, देखे बिना दूर हुये
इतना कुछ हो भी गया और हुआ कुछ भी नहीं

सस्ते आबिद न बनें, लत को इबादत न कहें
आशिक़ी लज़्ज़त-ओ-ज़िल्लत के सिवा कुछ भी नहीं

मैं तेरे बाद मुसल्ली पे बहुत रोता रहा
और कहा, यार ख़ुदा! ख़ैर भला कुछ भी नहीं

इश्क़ मरदाना तबियत नहीं रखता 'अफ़कार'!
वरना ये हुस्न-ओ-जमाल और अदा कुछ भी नहीं

Poet - Afkar Alvi
Location: Pakistan
Views: 504