Ali Zaryoun Poetry

main ishq alast parast hoon


main ishq alast parast hoon

main ishq alast parast hoon
kholoon roohon ke bhed
mera naam sunhara saanwara
ek sundarta ka ved

main khurchu nakhoon shauk se
ek shabd bhari deewaar
vo shabd bhari deewaar hai
ye rang saja sansaar

hai 114 soorate bas ik soorat ka noor
vo soorat sone yaar ki
jo ahsan aur bharpoor
man mukt hua har lobh se
ab kya chinta kya dukh
rahe hardam yaar nigaah mein
mere nainan sukh hi sukh

ye ped parinde titliyaan
meri rooh ke saaye hain
ye jitne ghaayal log hain
mere maa-jaaye hai

meri aankh kalander qaadri
mera seena hai bagdaad
mera maatha din ajmer ka
dil paak patan aabaad

main ab apna avtaar hoon
main ab apni pehchaan
main din dharm se maavra
main hoon hazrat insaan 
----------------------
मैं इश्क अलस्त परस्त हूं
खोलूं रूहों के भेद
मेरा नाम सुनहरा सांवरा
एक सुंदरता का वेद

मैं खुरचु नाखुने शौक से
एक शब्द भरी दीवार
वो शब्द भरी दीवार है
ये रंग सजा संसार

है 114 सूरते बस इक सूरत का नूर
वो सूरत सोने यार की
जो अहसन और भरपूर
मन मुक्त हुआ हर लोभ से
अब क्या चिंता क्या दुख
रहे हरदम यार निगाह में
मेरे नैनन सुख ही सुख

ये पेड़, परिंदे, तितलियां
मेरी रूह के साए हैं
ये जितने घायल लोग हैं
मेरे माँ-जाये है

मेरी आंख कलंदर कादरी
मेरा सीना है बगदाद
मेरा माथा दिन अजमेर का
दिल पाक पतन आबाद

मैं अब अपना अवतार हूं
मैं अब अपनी पहचान
मैं दिन धर्म से मावरा
मैं हूं हजरत इन्सान


Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 316