Faiz Ahmed Faiz Poetry

Vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan


Vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan

vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan
vo husn jis ki tamannaa mein jannaten pinhaan
hazaar fitne tah-e-pa-e-naaz khaak-nasheen
har ik nigaah khumaar-e-shabaab se rangeen
shabaab jis se takhayyul pe bijliyaan barse
vaqaar jis ki rafaqat ko shokhiyaan tarsen
ada-e-laghzish-e-pa par qayaamaatein qurbaan
bayaaz-rukh pe sehar ki sabahtein qurbaan
siyaah zulfon mein waarfta nikhaton ka hujoom
taveel raaton ki khwaabida raahaton ka hujoom
vo aankh jis ke banaav p khaaliq itraaye
zabaan-e-sher ko taarif karte sharm aaye
vo hont faiz se jin ke bahaar laala-farosh
behisht o kausar o tasneem o salsabeel b-dosh
gudaaz jism qaba jis pe saj ke naaz kare
daraaz qad jise sarv-e-sahi namaaz kare
garz vo husn jo mohtaaj-e-wasf-o-naam nahin
vo hasan jis ka tasavvur bashar ka kaam nahin
kisi zamaane mein is rah-guzar se guzra tha
b-sad ghuroor o tajammul idhar se guzra tha
aur ab ye raah-guzar bhi hai dil-fareb o haseen
hai is ki khaak mein kaif-e-sharaab-o-sheer makeen
hawa mein shokhi-e-raftaar ki adaayein hain
fazaa mein narmi-e-guftaar ki sadaaein hain
garz vo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai
niyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai
-------------------------------------
वो जिस की दीद में लाखों मसर्रतें पिन्हाँ
वो हुस्न जिस की तमन्ना में जन्नतें पिन्हाँ
हज़ार फ़ित्ने तह-ए-पा-ए-नाज़ ख़ाक-नशीं
हर इक निगाह ख़ुमार-ए-शबाब से रंगीं
शबाब जिस से तख़य्युल पे बिजलियाँ बरसें
वक़ार जिस की रफ़ाक़त को शोख़ियाँ तरसें
अदा-ए-लग़्ज़िश-ए-पा पर क़यामतें क़ुर्बां
बयाज़-रुख़ पे सहर की सबाहतें क़ुर्बां
सियाह ज़ुल्फ़ों में वारफ़्ता निकहतों का हुजूम
तवील रातों की ख़्वाबीदा राहतों का हुजूम
वो आँख जिस के बनाव प ख़ालिक़ इतराए
ज़बान-ए-शेर को तारीफ़ करते शर्म आए
वो होंट फ़ैज़ से जिन के बहार लाला-फ़रोश
बहिश्त ओ कौसर ओ तसनीम ओ सलसबील ब-दोश
गुदाज़ जिस्म क़बा जिस पे सज के नाज़ करे
दराज़ क़द जिसे सर्व-ए-सही नमाज़ करे
ग़रज़ वो हुस्न जो मोहताज-ए-वस्फ़-ओ-नाम नहीं
वो हसन जिस का तसव्वुर बशर का काम नहीं
किसी ज़माने में इस रह-गुज़र से गुज़रा था
ब-सद ग़ुरूर ओ तजम्मुल इधर से गुज़रा था
और अब ये राह-गुज़र भी है दिल-फ़रेब ओ हसीं
है इस की ख़ाक में कैफ़-ए-शराब-ओ-शेर मकीं
हवा में शोख़ी-ए-रफ़्तार की अदाएँ हैं
फ़ज़ा में नर्मी-ए-गुफ़्तार की सदाएँ हैं
ग़रज़ वो हुस्न अब इस रह का जुज़्व-ए-मंज़र है
नियाज़-ए-इश्क़ को इक सज्दा-गह मयस्सर है

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 409