faiz ahmed faiz

Jab dukh ki nadiya mein ham ne..

jab dukh ki nadiya mein ham ne
jeevan ki naav daali thi
tha kitna kas-bal baanhon mein
lohoo mein kitni laali thi
yun lagta tha do haath lage
aur naav puram paar lagi
aisa na hua har dhaare mein
kuchh an-dekhi manzdharein theen
kuchh maanjhi the anjaan bahut
kuchh be-parkhi patwaarein theen
ab jo bhi chaaho chaan karo
ab jitne chaaho dosh dharo
nadiya to wahi hai naav wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ab kaise paar utarna hai
jab apni chaati mein ham ne
is des ke ghaav dekhe the
tha vedon par vishvaash bahut
aur yaad bahut se nuskhe the
yun lagta tha bas kuchh din mein
saari bipata kat jaayegi
aur sab ghaav bhar jaayenge
aisa na hua ki rog apne
kuchh itne dher purane the
ved in ki toh ko pa na sake
aur totke sab be-kaar gaye
ab jo bhi chaaho chaan karo
ab jitne chaaho dosh dharo
chaati to wahi hai ghaav wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ye ghaav kaise bharna hai
-----------------------------
जब दुख की नदिया में हम ने
जीवन की नाव डाली थी
था कितना कस-बल बाँहों में
लोहू में कितनी लाली थी
यूँ लगता था दो हाथ लगे
और नाव पूरम पार लगी
ऐसा न हुआ, हर धारे में
कुछ अन-देखी मंजधारें थीं
कुछ माँझी थे अंजान बहुत
कुछ बे-परखी पतवारें थीं
अब जो भी चाहो छान करो
अब जितने चाहो दोश धरो
नदिया तो वही है, नाव वही
अब तुम ही कहो क्या करना है
अब कैसे पार उतरना है
जब अपनी छाती में हम ने
इस देस के घाव देखे थे
था वेदों पर विश्वाश बहुत
और याद बहुत से नुस्ख़े थे
यूँ लगता था बस कुछ दिन में
सारी बिपता कट जाएगी
और सब घाव भर जाएँगे
ऐसा न हुआ कि रोग अपने
कुछ इतने ढेर पुराने थे
वेद इन की टोह को पा न सके
और टोटके सब बे-कार गए
अब जो भी चाहो छान करो
अब जितने चाहो दोश धरो
छाती तो वही है, घाव वही
अब तुम ही कहो क्या करना है
ये घाव कैसे भरना है
Read more

Vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan..

vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan
vo husn jis ki tamannaa mein jannaten pinhaan
hazaar fitne tah-e-pa-e-naaz khaak-nasheen
har ik nigaah khumaar-e-shabaab se rangeen
shabaab jis se takhayyul pe bijliyaan barse
vaqaar jis ki rafaqat ko shokhiyaan tarsen
ada-e-laghzish-e-pa par qayaamaatein qurbaan
bayaaz-rukh pe sehar ki sabahtein qurbaan
siyaah zulfon mein waarfta nikhaton ka hujoom
taveel raaton ki khwaabida raahaton ka hujoom
vo aankh jis ke banaav p khaaliq itraaye
zabaan-e-sher ko taarif karte sharm aaye
vo hont faiz se jin ke bahaar laala-farosh
behisht o kausar o tasneem o salsabeel b-dosh
gudaaz jism qaba jis pe saj ke naaz kare
daraaz qad jise sarv-e-sahi namaaz kare
garz vo husn jo mohtaaj-e-wasf-o-naam nahin
vo hasan jis ka tasavvur bashar ka kaam nahin
kisi zamaane mein is rah-guzar se guzra tha
b-sad ghuroor o tajammul idhar se guzra tha
aur ab ye raah-guzar bhi hai dil-fareb o haseen
hai is ki khaak mein kaif-e-sharaab-o-sheer makeen
hawa mein shokhi-e-raftaar ki adaayein hain
fazaa mein narmi-e-guftaar ki sadaaein hain
garz vo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai
niyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai
-------------------------------------
वो जिस की दीद में लाखों मसर्रतें पिन्हाँ
वो हुस्न जिस की तमन्ना में जन्नतें पिन्हाँ
हज़ार फ़ित्ने तह-ए-पा-ए-नाज़ ख़ाक-नशीं
हर इक निगाह ख़ुमार-ए-शबाब से रंगीं
शबाब जिस से तख़य्युल पे बिजलियाँ बरसें
वक़ार जिस की रफ़ाक़त को शोख़ियाँ तरसें
अदा-ए-लग़्ज़िश-ए-पा पर क़यामतें क़ुर्बां
बयाज़-रुख़ पे सहर की सबाहतें क़ुर्बां
सियाह ज़ुल्फ़ों में वारफ़्ता निकहतों का हुजूम
तवील रातों की ख़्वाबीदा राहतों का हुजूम
वो आँख जिस के बनाव प ख़ालिक़ इतराए
ज़बान-ए-शेर को तारीफ़ करते शर्म आए
वो होंट फ़ैज़ से जिन के बहार लाला-फ़रोश
बहिश्त ओ कौसर ओ तसनीम ओ सलसबील ब-दोश
गुदाज़ जिस्म क़बा जिस पे सज के नाज़ करे
दराज़ क़द जिसे सर्व-ए-सही नमाज़ करे
ग़रज़ वो हुस्न जो मोहताज-ए-वस्फ़-ओ-नाम नहीं
वो हसन जिस का तसव्वुर बशर का काम नहीं
किसी ज़माने में इस रह-गुज़र से गुज़रा था
ब-सद ग़ुरूर ओ तजम्मुल इधर से गुज़रा था
और अब ये राह-गुज़र भी है दिल-फ़रेब ओ हसीं
है इस की ख़ाक में कैफ़-ए-शराब-ओ-शेर मकीं
हवा में शोख़ी-ए-रफ़्तार की अदाएँ हैं
फ़ज़ा में नर्मी-ए-गुफ़्तार की सदाएँ हैं
ग़रज़ वो हुस्न अब इस रह का जुज़्व-ए-मंज़र है
नियाज़-ए-इश्क़ को इक सज्दा-गह मयस्सर है
Read more

anjaam, hain labreiz aahon se thandi hawaaein..

anjaam
hain labreiz aahon se thandi hawaaein
udaasi mein doobi hui hain ghataaein
mohabbat ki duniya pe shaam aa chuki hai
siyah-posh hain zindagi ki fazaayein

machalti hain seene mein laakh aarzuen
tadapati hain aankhon mein laakh iltijaaein
taghaaful ki aaghosh mein so rahe hain
tumhaare sitam aur meri wafaayein
magar phir bhi ai mere maasoom qaateel
tumhein pyaar karti hain meri duaaein
-------------------------------------
"अंजाम"
हैं लबरेज़ आहों से ठंडी हवाएँ
उदासी में डूबी हुई हैं घटाएँ
मोहब्बत की दुनिया पे शाम आ चुकी है
सियह-पोश हैं ज़िंदगी की फ़ज़ाएँ

मचलती हैं सीने में लाख आरज़ुएँ
तड़पती हैं आँखों में लाख इल्तिजाएँ
तग़ाफ़ुल की आग़ोश में सो रहे हैं
तुम्हारे सितम और मेरी वफ़ाएँ
मगर फिर भी ऐ मेरे मासूम क़ातिल
तुम्हें प्यार करती हैं मेरी दुआएँ
Read more

yaad, dast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain..

yaad
dast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain
teri awaaz ke saaye tire honton ke saraab
dast-e-tanhaai mein doori ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tire pahluu ke saman aur gulaab

uth rahi hai kahin qurbat se tiri saans kii aanch
apni khushboo mein sulagti hui madhham madhham
door ufuq paar chamakti hui qatra qatra
gir rahi hai tiri dildaar nazar kii shabnam

is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakkha hai
dil ke rukhsaar pe is waqt tiri yaad ne haath
yun gumaan hota hai garche hai abhi subh-e-firaq
dhal gaya hijr ka din aa bhi gai vasl kii raat 
----------------------------------------
"याद"
दश्त-ए-तन्हाई में ऐ जान-ए-जहाँ लर्ज़ां हैं
तेरी आवाज़ के साए तिरे होंटों के सराब
दश्त-ए-तन्हाई में दूरी के ख़स-ओ-ख़ाक तले
खिल रहे हैं तिरे पहलू के समन और गुलाब

उठ रही है कहीं क़ुर्बत से तिरी साँस की आँच
अपनी ख़ुशबू में सुलगती हुई मद्धम मद्धम
दूर उफ़ुक़ पार चमकती हुई क़तरा क़तरा
गिर रही है तिरी दिलदार नज़र की शबनम

इस क़दर प्यार से ऐ जान-ए-जहाँ रक्खा है
दिल के रुख़्सार पे इस वक़्त तिरी याद ने हाथ
यूँ गुमाँ होता है गरचे है अभी सुब्ह-ए-फ़िराक़
ढल गया हिज्र का दिन आ भी गई वस्ल की रात
Read more

Darbaar mein ab satwat-e-shaahi ki alaamat..

darbaar mein ab satwat-e-shaahi ki alaamat
darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai

aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat
tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai

jis dhajji ko galiyon mein liye firte hain tiflaan
ye mera garebaan hai ki lashkar ka alam hai

jis noor se hai shehar ki deewaar darkhshan
ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai

halka kiye baithe raho ik sham'a ko yaaro
kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai
-------------------------------------
दरबार में अब सतवत-ए-शाही की अलामत
दरबाँ का असा है कि मुसन्निफ़ का क़लम है

आवारा है फिर कोह-ए-निदा पर जो बशारत
तम्हीद-ए-मसर्रत है कि तूल-ए-शब-ए-ग़म है

जिस धज्जी को गलियों में लिए फिरते हैं तिफ़्लाँ
ये मेरा गरेबाँ है कि लश्कर का अलम है

जिस नूर से है शहर की दीवार दरख़्शाँ
ये ख़ून-ए-शहीदाँ है कि ज़र-ख़ाना-ए-जम है

हल्क़ा किए बैठे रहो इक शम्अ को यारो
कुछ रौशनी बाक़ी तो है हर-चंद कि कम है
Read more

Go sab ko bahm saaghar o baada to nahin tha..

go sab ko bahm saaghar o baada to nahin tha
ye shehar udaas itna ziyaada to nahin tha

galiyon mein fira karte the do chaar deewane
har shakhs ka sad chaak labaada to nahin tha

manzil ko na pahchaane rah-e-ishq ka raahi
naadaan hi sahi aisa bhi saada to nahin tha

thak kar yoonhi pal bhar ke liye aankh lagi thi
so kar hi na utthen ye iraada to nahin tha

wa'iz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat
farq in mein koi itna ziyaada to nahin tha
-----------------------------------
गो सब को बहम साग़र ओ बादा तो नहीं था
ये शहर उदास इतना ज़ियादा तो नहीं था

गलियों में फिरा करते थे दो चार दिवाने
हर शख़्स का सद चाक लबादा तो नहीं था

मंज़िल को न पहचाने रह-ए-इश्क़ का राही
नादाँ ही सही ऐसा भी सादा तो नहीं था

थक कर यूँही पल भर के लिए आँख लगी थी
सो कर ही न उट्ठें ये इरादा तो नहीं था

वाइ'ज़ से रह-ओ-रस्म रही रिंद से सोहबत
फ़र्क़ इन में कोई इतना ज़ियादा तो नहीं था
Read more

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein..

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein
kabhi sohbaten kabhi furqatein kabhi dooriyaan kabhi qurbaten

ye sukhun jo ham ne raqam kiye ye hain sab varq tiri yaad ke
koi lamha subh-e-visaal ka koi shaam-e-hijr ki muddatein

jo tumhaari maan len naaseha to rahega daaman-e-dil mein kya
na kisi adoo ki adaavaten na kisi sanam ki muravvatein

chalo aao tum ko dikhaayein ham jo bacha hai maqtal-e-shehr mein
ye mazaar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbatein

meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane kaatib-e-waqt ne
kisi apne kal mein bhi bhool kar kahi likh rakhi hon masarratein 
-------------------------------------------------
सभी कुछ है तेरा दिया हुआ सभी राहतें सभी कुल्फ़तें
कभी सोहबतें कभी फ़ुर्क़तें कभी दूरियाँ कभी क़ुर्बतें

ये सुख़न जो हम ने रक़म किए ये हैं सब वरक़ तिरी याद के
कोई लम्हा सुब्ह-ए-विसाल का कोई शाम-ए-हिज्र की मुद्दतें

जो तुम्हारी मान लें नासेहा तो रहेगा दामन-ए-दिल में क्या
न किसी अदू की अदावतें न किसी सनम की मुरव्वतें

चलो आओ तुम को दिखाएँ हम जो बचा है मक़्तल-ए-शहर में
ये मज़ार अहल-ए-सफ़ा के हैं ये हैं अहल-ए-सिद्क़ की तुर्बतें

मिरी जान आज का ग़म न कर कि न जाने कातिब-ए-वक़्त ने
किसी अपने कल में भी भूल कर कहीं लिख रखी हों मसर्रतें
Read more

aap kii yaad aati rahi raat bhar..

aap kii yaad aati rahi raat bhar
chaandni dil dukhaati rahi raat bhar

gaah jaltee hui gaah bujhti hui
sham-e-gham jhilmilaati rahi raat bhar

koii khushboo badalti rahi pairhan
koii tasveer gaati rahi raat bhar

phir saba saaya-e-shaakh-e-gul ke tale
koii qissa sunaati rahi raat bhar

jo na aaya use koii zanjeer-e-dar
har sada par bulaati rahi raat bhar

ek ummeed se dil bahalta raha
ik tamannaa sataati rahi raat bhar
----------------------------------
आप की याद आती रही रात भर
चाँदनी दिल दुखाती रही रात भर

गाह जलती हुई गाह बुझती हुई
शम-ए-ग़म झिलमिलाती रही रात भर

कोई ख़ुशबू बदलती रही पैरहन
कोई तस्वीर गाती रही रात भर

फिर सबा साया-ए-शाख़-ए-गुल के तले
कोई क़िस्सा सुनाती रही रात भर

जो न आया उसे कोई ज़ंजीर-ए-दर
हर सदा पर बुलाती रही रात भर

एक उम्मीद से दिल बहलता रहा
इक तमन्ना सताती रही रात भर
Read more

tujh ko kitnon ka lahu chahiye ai arz-e-watan..

तुझ को कितनों का लहू चाहिए ऐ अर्ज़-ए-वतन
जो तिरे आरिज़-ए-बे-रंग को गुलनार करें
कितनी आहों से कलेजा तिरा ठंडा होगा
कितने आँसू तिरे सहराओं को गुलज़ार करें

तेरे ऐवानों में पुर्ज़े हुए पैमाँ कितने
कितने वादे जो न आसूदा-ए-इक़रार हुए
कितनी आँखों को नज़र खा गई बद-ख़्वाहों की
ख़्वाब कितने तिरी शह-राहों में संगसार हुए

बला-कशान-ए-मोहब्बत पे जो हुआ सो हुआ 
जो मुझ पे गुज़री मत उस से कहो, हुआ सो हुआ 
मबादा हो कोई ज़ालिम तिरा गरेबाँ-गीर 
लहू के दाग़ तू दामन से धो, हुआ सो हुआ

हम तो मजबूर-ए-वफ़ा हैं मगर ऐ जान-ए-जहाँ 
अपने उश्शाक़ से ऐसे भी कोई करता है 
तेरी महफ़िल को ख़ुदा रक्खे अबद तक क़ाएम 
हम तो मेहमाँ हैं घड़ी भर के हमारा क्या है 

--------------------------------------------

tujh ko kitnon ka lahu chahiye ai arz-e-vatan
jo tire ariz-e-be-rang ko gulnar karen 
kitni aahon se kaleja tira ThanDa hoga 
kitne aansu tire sahraon ko gulzar karen 

tere aivanon men purze hue paiman kitne 
kitne va.ade jo na asuda-e-iqrar hue 
kitni ankhon ko nazar kha ga.i bad-khvahon ki 
khvab kitne tiri shah-rahon men sangsar hue 

bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua 
jo mujh pe guzri mat us se kaho, hua so hua 
mabada ho koi zalim tira gareban-gir 
lahu ke daagh tu daman se dho, hua so hua

ham to majbur-e-vafa hain magar ai jan-e-jahan 
apne ushshaq se aise bhi koi karta hai 
teri mahfil ko khuda rakkhe abad tak qaa.em 
ham to mehman hain ghaDi bhar ke hamara kya hai
Read more

Mere hamdam mere dost - Faiz..

गर मुझे इस का यक़ीं हो मिरे हमदम मिरे दोस्त
गर मुझे इस का यक़ीं हो कि तिरे दिल की थकन
तिरी आँखों की उदासी तेरे सीने की जलन
तेरी दिल-जूई मिरे प्यार से मिट जाएगी
गर मिरा हर्फ़-ए-तसल्ली वो दवा हो जिस से
जी उठे फिर तिरा उजड़ा हुआ बे-नूर दिमाग़

तेरी पेशानी से ढल जाएँ ये तज़लील* के दाग़
तेरी बीमार जवानी को शिफ़ा हो जाए
गर मुझे इस का यक़ीं हो मिरे हमदम मरे दोस्त
रोज़ ओ शब शाम ओ सहर मैं तुझे बहलाता रहूँ
मैं तुझे गीत सुनाता रहूँ हल्के शीरीं
आबशारों के बहारों के चमन-ज़ारों के गीत
आमद-ए-सुब्ह के, महताब के, सय्यारों के गीत

तुझ से मैं हुस्न-ओ-मोहब्बत की हिकायात कहूँ
कैसे मग़रूर हसीनाओं के बरफ़ाब* से जिस्म
गर्म हाथों की हरारत में पिघल जाते हैं
कैसे इक चेहरे के ठहरे हुए मानूस नुक़ूश
देखते देखते यक-लख़्त बदल जाते हैं
किस तरह आरिज़-ए-महबूब का शफ़्फ़ाफ़ बिलोर

यक-ब-यक बादा-ए-अहमर से दहक जाता है
कैसे गुलचीं के लिए झुकती है ख़ुद शाख़-ए-गुलाब
किस तरह रात का ऐवान महक जाता है
यूँही गाता रहूँ गाता रहूँ तेरी ख़ातिर
गीत बुनता रहूँ बैठा रहूँ तेरी ख़ातिर
पर मिरे गीत तिरे दुख का मुदावा ही नहीं
नग़्मा जर्राह नहीं मूनिस-ओ-ग़म ख़्वार सही
गीत नश्तर तो नहीं मरहम-ए-आज़ार सही
तेरे आज़ार का चारा नहीं नश्तर के सिवा
और ये सफ़्फ़ाक मसीहा मिरे क़ब्ज़े में नहीं
इस जहाँ के किसी ज़ी-रूह के क़ब्ज़े में नहीं
हाँ मगर तेरे सिवा तेरे सिवा तेरे सिवा.

--------------------------------------

gar mujhe is ka yaqin ho mere hamdam mere dost
gar mujhe is ka yaqin ho ki tere dil ki thakan
teri aankhon ki udasi tere sine ki jalan
meri dil-jui mere pyar se miT jaegi
gar mera harf-e-tasalli wo dawa ho jis se
ji uThe phir tera ujDa hua be-nur dimagh

teri peshani se Dhal jaen ye tazlil ke dagh
teri bimar jawani ko shifa ho jae
gar mujhe is ka yaqin ho mere hamdam mare dost
roz o shab sham o sahar main tujhe bahlata rahun
main tujhe git sunata rahun halke shirin
aabshaaron ke bahaaron ke chaman-zaron ke git
aamad-e-subh ke, mahtab ke, sayyaron ke git
tujh se main husn-o-mohabbat ki hikayat kahun
kaise maghrur hasinaon ke barfab se jism
garm hathon ki hararat mein pighal jate hain
kaise ek chehre ke Thahre hue manus nuqush
dekhte dekhte yak-laKHt badal jate hain
kis tarah aariz-e-mahbub ka shaffaf bilor

yak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jata hai
kaise gulchin ke liye jhukti hai KHud shaKH-e-gulab
kis tarah raat ka aiwan mahak jata hai
yunhi gata rahun gata rahun teri KHatir
geet bunta rahun baiTha rahun teri KHatir
par mere git tere dukh ka mudawa hi nahin
naghma jarrah nahin munis-o-gham KHwar sahi
geet nashtar to nahin marham-e-azar sahi
tere aazar ka chaara nahin nashtar ke siwa
aur ye saffak masiha mere qabze mein nahin
is jahan ke kisi zi-ruh ke qabze mein nahin
han magar tere siwa tere siwa tere siwa
Read more