Ali Zaryoun Poetry

ik khat mujhe likhna hai


ik khat mujhe likhna hai

ik khat mujhe likhna hai
dilli mein base dil ko
ik din mujhe chakhna hai
khaaja teri nagri ka
khusro teri chaukhat se
ik shab mujhe peeni hai
sheereeni sukhanvaali
khushboo ae watan waali
ghalib tere markad ko
ik sher sunaana hai
ik saanwali rangat ko
chupke se bataana hai
main dil bhi hoon dilli bhi
urdu bhi hoon hindi bhi
ik khat mujhe likhna hai
mumkin hai kabhi likkhoon
mumkin hai abhi likkhoon
---------------------------------
इक ख़त मुझे लिखना है
दिल्ली में बसे दिल को
इक दिन मुझे चखना है
खाजा तेरी नगरी का
खुसरो तेरी चौखट से
इक शब मुझे पीनी है
शीरीनी सुख़नवाली
खुशबू ए वतन वाली
ग़ालिब तेरे मरकद को
इक शेर सुनाना है
इक सांवली रंगत को
चुपके से बताना है
मैं दिल भी हूँ दिल्ली भी
उर्दू भी हूँ हिन्दी भी
इक ख़त मुझे लिखना है
मुमकिन है कभी लिक्खूँ
मुमकिन है अभी लिक्खूँ

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 998