Zafar Iqbal Poetry

Bevafai karke niklun ya vafa kar jaunga


Bevafai karke niklun ya vafa kar jaunga

bevafai karke niklun ya vafa kar jaunga
shahr ko har zaiqe se ashna kar jaunga

tu bhi DhunDega mujhe shauq-e-saza men ek din
main bhi koi ḳhub-surat si ḳhata kar jaunga

mujh se achchhai bhi na kar meri marzi ke ḳhilaf
varna mai bhi haath koi dusra kar jaunga

mujh men hain gahri udasi ke jarasim is qadar
main tujhe bhi is maraz men mubtala kar jaunga

shor hai is ghar ke angan men 'zafar' kuchh roz aur
gumbad-e-dil ko kisi din be-sada kar jaunga
----------------------------------------------
बेवफ़ाई करके निकलूँ या वफ़ा कर जाऊँगा
शहर को हर ज़ायके से आश्ना कर जाऊँगा

तू भी ढूँढेगा मुझे शौक़-ए-सज़ा में एक दिन
मैं भी कोई ख़ूबसूरत सी ख़ता कर जाऊँगा

मुझसे अच्छाई भी न कर मेरी मर्ज़ी के ख़िलाफ़
वरना मैं भी हाथ कोई दूसरा कर जाऊँगा

मुझमें हैं गहरी उदासी के जर्सीम इस कदर
मैं तुझे भी इस मर्ज़ में मुब्तला कर जाऊँगा

शोर है इस घर के आँगन में 'ज़फ़र' कुछ रोज़ और
गुम्बद-ए-दिल को किसी दिन बे-सदा कर जाऊँगा


Poet - Zafar Iqbal
Location: Okara, Punjab, Pakistan
Views: 142