Parveen Shakir Poetry

All Time Most Famous Ghazals Of Parveen Sakir


All Time Most Famous Ghazals Of Parveen Sakir

1- Kuchh to hawa bhi sard thi, kuchh tha tera khayal bhi
Dil ko khushi ke saath-saath hota raha malaal bhi

Baat woh aadhi raat ki, raat woh poore chaand ki
Chaand bhi ain chait ka, us pe tera jamaal bhi

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuchh aise dekhta
Ek dafa to ruk gayi gardish-e-maah-o-saal bhi

Dil to chamak sakega kya, phir bhi tarash ke dekh lein
Sheesha-giraan-e-shahar ke haath ka yeh kamaal bhi

Usko na paa sake the jab, dil ka ajeeb haal tha
Ab jo palat ke dekhiye, baat thi kuchh muhaal bhi

Meri talab tha ek shaks, woh jo nahi mila to phir
Haath dua se yun gira, bhool gaya sawaal bhi

Uski sukhan-taraaziyan mere liye bhi dhaal thin
Uski hansi mein chhup gaya apne ghamon ka haal bhi

Gaah qareeb-e-shah-rag, gaah ba'eed-e-wahm-o-khwaab
Uski rafaqaton mein raat hijr bhi tha visaal bhi

Uske hi baazuon mein aur usko hi sochte rahe
Jism ki khwahishon pe the rooh ke aur jaal bhi

Shaam ki na-samajh hawa poochh rahi hai ek pata
Mauj-e-hawa-e-koo-e-yaar, kuchh to mera khayal bhi


2- Koo-ba-koo phail gayi baat shanasaai ki
Usne khushboo ki tarah meri pazeerai ki

Kaise kah doon ke mujhe chhod diya hai usne
Baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

Woh kahin bhi gaya, lauta to mere paas aaya
Bas yahi baat hai achhi mere harjaai ki

Tera pehlu, tere dil ki tarah aabaad rahe
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

Usne jalti hui peshani pe jab haath rakha
Rooh tak aa gayi taseer-e-masihai ki

Ab bhi barsaat ki raaton mein badan tootta hai
Jaag uthti hain ajab khwahishen angdaai ki


3- Woh to khushboo hai hawaon mein bikhar jaayega
Mas'ala phool ka hai, phool kidhar jaayega

Hum to samjhe the ke ek zakhm hai bhar jaayega
Kya khabar thi ke rag-e-jaan mein utar jaayega

Woh hawaon ki tarah khaana-ba-jaan phirta hai
Ek jhonka hai jo aayega, guzar jaayega

Woh jab aayega to phir uski rifaqat ke liye
Mausam-e-gul mere aangan mein thahar jaayega

Aakhirash woh bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera yeh pyaar bhi dariya hai, utar jaayega

Mujh ko tehzeeb ke barzakh ka banaya waaris
Jur'm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaayega


4- Chalne ka hausla nahi, rukna muhaal kar diya
Ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya

Ae meri gul-zameen, tujhe chaah thi ek kitaab ki
Ahl-e-kitaab ne magar kya tera haal kar diya

Milte hue dilon ke beech aur tha faisla koi
Usne magar bichhadte waqt aur sawaal kar diya

Ab ke hawa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir
Banu-e-shab ke haath mein rakhna sambhaal kar diya

Mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
Humne to ek baat ki, usne kamaal kar diya

Mere labon pe mohar thi, par mere sheesha-roo ne to
Shahar ke shahar ko mera waaqif-e-haal kar diya

Chehra o naam ek saath, aaj na yaad aa sake
Waqt ne kis shabeeh ko khwaab o khayal kar diya

Muddaton ba'ad usne aaj mujh se koi gila kiya
Mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya


5- Kamaal-e-zabt ko khud bhi to aazmaungi
Main apne haath se uski dulhan sajaungi

Supurd kar ke use chaandni ke haathon mein
Main apne ghar ke andheron ko laut aaungi

Badan ke karb ko woh bhi samajh na paayega
Main dil mein roungi, aankhon mein muskaraungi

Woh kya gaya ke rifaqat ke saare lutf gaye
Main kis se rooth sakungi, kise manaungi

Ab uska fun to kisi aur se hua mansoob
Main kis ki nazm akele mein gungunaungi

Woh ek rishta-e-benam bhi nahi lekin
Main ab bhi uske ishaaron pe sar jhukaungi

Bichha diya tha gulaabon ke saath apna wujood
Woh so ke uthe to khwaabon ki raakh uthaungi

Sama'aton mein ghane jangalon ki saansein hain
Main ab kabhi teri awaaz sun na paungi

Jawaz dhoondh raha tha nai mohabbat ka
Woh keh raha tha ke main usko bhool jaungi
-----------------------------------------------
1- कुछ तो हवा भी सर्द थी कुछ था तिरा ख़याल भी
दिल को ख़ुशी के साथ साथ होता रहा मलाल भी

बात वो आधी रात की रात वो पूरे चाँद की
चाँद भी ऐन चैत का उस पे तिरा जमाल भी

सब से नज़र बचा के वो मुझ को कुछ ऐसे देखता
एक दफ़ा तो रुक गई गर्दिश-ए-माह-ओ-साल भी

दिल तो चमक सकेगा क्या फिर भी तराश के देख लें
शीशा-गिरान-ए-शहर के हाथ का ये कमाल भी

उस को न पा सके थे जब दिल का अजीब हाल था
अब जो पलट के देखिए बात थी कुछ मुहाल भी

मेरी तलब था एक शख़्स वो जो नहीं मिला तो फिर
हाथ दुआ से यूँ गिरा भूल गया सवाल भी

उस की सुख़न-तराज़ियाँ मेरे लिए भी ढाल थीं
उस की हँसी में छुप गया अपने ग़मों का हाल भी

गाह क़रीब-ए-शाह-रग गाह बईद-ए-वहम-ओ-ख़्वाब
उस की रफ़ाक़तों में रात हिज्र भी था विसाल भी

उस के ही बाज़ुओं में और उस को ही सोचते रहे
जिस्म की ख़्वाहिशों पे थे रूह के और जाल भी

शाम की ना-समझ हवा पूछ रही है इक पता
मौज-ए-हवा-ए-कू-ए-यार कुछ तो मिरा ख़याल भी


2- कू-ब-कू फैल गई बात शनासाई की
उस ने ख़ुशबू की तरह मेरी पज़ीराई की

कैसे कह दूँ कि मुझे छोड़ दिया है उस ने
बात तो सच है मगर बात है रुस्वाई की

वो कहीं भी गया लौटा तो मिरे पास आया
बस यही बात है अच्छी मिरे हरजाई की

तेरा पहलू तिरे दिल की तरह आबाद रहे
तुझ पे गुज़रे न क़यामत शब-ए-तन्हाई की

उस ने जलती हुई पेशानी पे जब हाथ रखा
रूह तक आ गई तासीर मसीहाई की

अब भी बरसात की रातों में बदन टूटता है
जाग उठती हैं अजब ख़्वाहिशें अंगड़ाई की


3- वो तो ख़ुश-बू है हवाओं में बिखर जाएगा
मसअला फूल का है फूल किधर जाएगा

हम तो समझे थे कि इक ज़ख़्म है भर जाएगा
क्या ख़बर थी कि रग-ए-जाँ में उतर जाएगा

वो हवाओं की तरह ख़ाना-ब-जाँ फिरता है
एक झोंका है जो आएगा गुज़र जाएगा

वो जब आएगा तो फिर उस की रिफ़ाक़त के लिए
मौसम-ए-गुल मिरे आँगन में ठहर जाएगा

आख़िरश वो भी कहीं रेत पे बैठी होगी
तेरा ये प्यार भी दरिया है उतर जाएगा

मुझ को तहज़ीब के बर्ज़ख़ का बनाया वारिस
जुर्म ये भी मिरे अज्दाद के सर जाएगा


4- चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दिया

ऐ मिरी गुल-ज़मीं तुझे चाह थी इक किताब की
अहल-ए-किताब ने मगर क्या तिरा हाल कर दिया

मिलते हुए दिलों के बीच और था फ़ैसला कोई
उस ने मगर बिछड़ते वक़्त और सवाल कर दिया

अब के हवा के साथ है दामन-ए-यार मुंतज़िर
बानू-ए-शब के हाथ में रखना सँभाल कर दिया

मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया

मेरे लबों पे मोहर थी पर मेरे शीशा-रू ने तो
शहर के शहर को मिरा वाक़िफ़-ए-हाल कर दिया

चेहरा ओ नाम एक साथ आज न याद आ सके
वक़्त ने किस शबीह को ख़्वाब ओ ख़याल कर दिया

मुद्दतों बा'द उस ने आज मुझ से कोई गिला किया
मंसब-ए-दिलबरी पे क्या मुझ को बहाल कर दिया


5- कमाल-ए-ज़ब्त को ख़ुद भी तो आज़माऊँगी
मैं अपने हाथ से उस की दुल्हन सजाऊँगी

सुपुर्द कर के उसे चाँदनी के हाथों में
मैं अपने घर के अँधेरों को लौट आऊँगी

बदन के कर्ब को वो भी समझ न पाएगा
मैं दिल में रोऊँगी आँखों में मुस्कुराऊँगी

वो क्या गया कि रिफ़ाक़त के सारे लुत्फ़ गए
मैं किस से रूठ सकूँगी किसे मनाऊँगी

अब उस का फ़न तो किसी और से हुआ मंसूब
मैं किस की नज़्म अकेले में गुनगुनाऊँगी

वो एक रिश्ता-ए-बेनाम भी नहीं लेकिन
मैं अब भी उस के इशारों पे सर झुकाऊँगी

बिछा दिया था गुलाबों के साथ अपना वजूद
वो सो के उट्ठे तो ख़्वाबों की राख उठाऊँगी

समाअ'तों में घने जंगलों की साँसें हैं
मैं अब कभी तिरी आवाज़ सुन न पाऊँगी

जवाज़ ढूँड रहा था नई मोहब्बत का
वो कह रहा था कि मैं उस को भूल जाऊँगी


Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 452