Tehzeeb Hafi Poetry

yah soch kar mera sehra mein jee nahin lagta


yah soch kar mera sehra mein jee nahin lagta

yah soch kar mera sehra mein jee nahin lagta
main shaamile safe aawaargi nahin lagta

kabhi-kabhi vo khuda ban ke saath chalta hai
kabhi-kabhi to vo insaan bhi nahin lagta

yakeen kyun nahin aata tujhe mere dil par
ye fal kahaan se tujhe mausami nahin lagta

main chahta hoon vo meri jabeen pe bausa de
magar jali hui roti ko ghee nahin lagta

tere khyaal se aage bhi ek duniya hai
tera khyaal mujhe sarsari nahin lagta

main uske paas kisi kaam se nahin aata
use ye kaam koi kaam hi nahin lagta 
---------------------------------------
यह सोच कर मेरा सहरा में जी नहीं लगता
मैं शामिले सफे आवारगी नहीं लगता

कभी-कभी वो ख़ुदा बन के साथ चलता है
कभी-कभी तो वो इंसान भी नहीं लगता

यकीन क्यों नहीं आता तुझे मेरे दिल पर
ये फल कहां से तुझे मौसमी नहीं लगता

मैं चाहता हूं वो मेरी जबीं पे बौसा दे
मगर जली हुई रोटी को घी नहीं लगता

तेरे ख्याल से आगे भी एक दुनिया है
तेरा ख्याल मुझे सरसरी नहीं लगता

मैं उसके पास किसी काम से नहीं आता
उसे ये काम कोई काम ही नहीं लगता

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 168