Munawwar Rana Poetry

All time most famous ghazals of MUNAWWAR RANA


All time most famous ghazals of MUNAWWAR RANA

1- Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aayi
Main ghar mein sab se chhota tha, mire hisse mein maa aayi

Yahan se jaane wala laut kar koi nahi aaya
Main rota reh gaya lekin na wapas ja ke maa aayi

Adhoore raste se lautna accha nahi hota
Bulaane ke liye duniya bhi aayi to kahan aayi

Kisi ko gaon se pardes le jaayegi phir shayad
Udaati rail-gaadi dher saara phir dhuaan aayi

Mire bachon mein saari aadatein maujood hain meri
To phir in bad-naseebon ko na kyun Urdu zabaan aayi

Qafas mein mausamon ka koi andaaza nahi hota
Khuda jaane bahaar aayi chaman mein ya khizaan aayi

Gharonde to gharonde hain chatanein toot jaati hain
Udaane ke liye aandhi agar naam-o-nishaan aayi

Kabhi ai khush-naseebi mere ghar ka rukh bhi kar leti
Idhar pohonchi udhar pohonchi yahan aayi wahan aayi


2- Bhula paana bahut mushkil hai sab kuch yaad rehta hai
Mohabbat karne wala is liye barbaad rehta hai

Agar sone ke pinjre mein bhi rehta hai to qaidi hai
Parinda to wahi hota hai jo azaad rehta hai

Chaman mein ghoomne firne ke kuch adaab hote hain
Udhar hargiz nahi jaana udhar sayyaad rehta hai

Lipat jaati hai saare raaston ki yaad bachpan mein
Jidhar se bhi guzarta hoon, main rasta yaad rehta hai

Humein bhi apne achhe din abhi tak yaad hain 'Rana'
Har ek insaan ko apna zamaana yaad rehta hai


3- Badshahon ko sikhaya hai qalandar hona
Aap aasaan samajhte hain munawwar hona

Ek aansoo bhi hukumat ke liye khatra hai
Tum ne dekha nahi aankhon ka samundar hona

Sirf bachon ki mohabbat ne qadam rok liye
Warna aasaan tha mere liye be-ghar hona

Hum ko ma’loom hai shohrat ki bulandi, hum ne
Qabr ki mitti ka dekha hai barabar hona

Is ko qismat ki kharabi hi kaha jaayega
Aap ka sheher mein aana, mira baahar hona

Sochta hoon to kahani ki tarah lagta hai
Raste se mira takna, tira chhat par hona

Mujh ko qismat hi pohonchne nahi deti, warna
Ek e’zaaz hai us dar ka gadagar hona

Sirf tareekh batane ke liye zinda hoon
Ab mira ghar mein bhi hona hai calendar hona


4- Khafa hona zara si baat par talwar ho jaana
Magar phir khud-ba-khud wo aap ka gulnaar ho jaana

Kisi din meri ruswayi ka ye kaaran na ban jaaye
Tumhara sheher se jaana, mira bimaar ho jaana

Wo apna jism saara saunp dena meri aankhon ko
Miri padhne ki koshish aap ka akhbaar ho jaana

Kabhi jab aandhiyan chalti hain hum ko yaad aata hai
Hawa ka tez chalna, aap ka deewar ho jaana

Bahut dushwaar hai mere liye us ka tasavvur bhi
Bahut aasaan hai us ke liye dushwaar ho jaana

Kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai
Kahin chalne ki zid karna, mira tayyaar ho jaana

Kahani ka ye hissa ab bhi koi khwab lagta hai
Tira sar par bitha lena, mira dastaar ho jaana

Mohabbat ek na ek din ye hunar tum ko sikha degi
Baghawat par utarna aur khud-mukhtaar ho jaana

Nazar neechi kiye us ka guzarna paas se mere
Zara si der rukna, phir sabaa-raftaar ho jaana


5- Kabhi khushi se khushi ki taraf nahi dekha
Tumhare baad kisi ki taraf nahi dekha

Ye soch kar ki tira intezaar laazim hai
Tamaam-umr ghadi ki taraf nahi dekha

Yahan to jo bhi hai aab-e-rawaan ka aashiq hai
Kisi ne khushk nadi ki taraf nahi dekha

Wo jis ke waaste pardes ja raha hoon main
Bichhadte waqt usi ki taraf nahi dekha

Na rok le humein rota hua koi chehra
Chale to mud ke gali ki taraf nahi dekha

Bichhadte waqt bahut mutma’in the hum dono
Kisi ne mud ke kisi ki taraf nahi dekha

Rawish buzurgon ki shaamil hai meri ghutti mein
Zarooratan bhi sakhi ki taraf nahi dekha

1- किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आई
मैं घर में सब से छोटा था मिरे हिस्से में माँ आई

यहाँ से जाने वाला लौट कर कोई नहीं आया
मैं रोता रह गया लेकिन न वापस जा के माँ आई

अधूरे रास्ते से लौटना अच्छा नहीं होता
बुलाने के लिए दुनिया भी आई तो कहाँ आई

किसी को गाँव से परदेस ले जाएगी फिर शायद
उड़ाती रेल-गाड़ी ढेर सारा फिर धुआँ आई

मिरे बच्चों में सारी आदतें मौजूद हैं मेरी
तो फिर इन बद-नसीबों को न क्यूँ उर्दू ज़बाँ आई

क़फ़स में मौसमों का कोई अंदाज़ा नहीं होता
ख़ुदा जाने बहार आई चमन में या ख़िज़ाँ आई

घरौंदे तो घरौंदे हैं चटानें टूट जाती हैं
उड़ाने के लिए आँधी अगर नाम-ओ-निशाँ आई

कभी ऐ ख़ुश-नसीबी मेरे घर का रुख़ भी कर लेती
इधर पहुँची उधर पहुँची यहाँ आई वहाँ आई


2- भुला पाना बहुत मुश्किल है सब कुछ याद रहता है
मोहब्बत करने वाला इस लिए बरबाद रहता है

अगर सोने के पिंजड़े में भी रहता है तो क़ैदी है
परिंदा तो वही होता है जो आज़ाद रहता है

चमन में घूमने फिरने के कुछ आदाब होते हैं
उधर हरगिज़ नहीं जाना उधर सय्याद रहता है

लिपट जाती है सारे रास्तों की याद बचपन में
जिधर से भी गुज़रता हूँ मैं रस्ता याद रहता है

हमें भी अपने अच्छे दिन अभी तक याद हैं 'राना'
हर इक इंसान को अपना ज़माना याद रहता है


3- बादशाहों को सिखाया है क़लंदर होना
आप आसान समझते हैं मुनव्वर होना

एक आँसू भी हुकूमत के लिए ख़तरा है
तुम ने देखा नहीं आँखों का समुंदर होना

सिर्फ़ बच्चों की मोहब्बत ने क़दम रोक लिए
वर्ना आसान था मेरे लिए बे-घर होना

हम को मा'लूम है शोहरत की बुलंदी हम ने
क़ब्र की मिट्टी का देखा है बराबर होना

इस को क़िस्मत की ख़राबी ही कहा जाएगा
आप का शहर में आना मिरा बाहर होना

सोचता हूँ तो कहानी की तरह लगता है
रास्ते से मिरा तकना तिरा छत पर होना

मुझ को क़िस्मत ही पहुँचने नहीं देती वर्ना
एक ए'ज़ाज़ है उस दर का गदागर होना

सिर्फ़ तारीख़ बताने के लिए ज़िंदा हूँ
अब मिरा घर में भी होना है कैलेंडर होना


4- ख़फ़ा होना ज़रा सी बात पर तलवार हो जाना
मगर फिर ख़ुद-ब-ख़ुद वो आप का गुलनार हो जाना

किसी दिन मेरी रुस्वाई का ये कारन न बन जाए
तुम्हारा शहर से जाना मिरा बीमार हो जाना

वो अपना जिस्म सारा सौंप देना मेरी आँखों को
मिरी पढ़ने की कोशिश आप का अख़बार हो जाना

कभी जब आँधियाँ चलती हैं हम को याद आता है
हवा का तेज़ चलना आप का दीवार हो जाना

बहुत दुश्वार है मेरे लिए उस का तसव्वुर भी
बहुत आसान है उस के लिए दुश्वार हो जाना

किसी की याद आती है तो ये भी याद आता है
कहीं चलने की ज़िद करना मिरा तय्यार हो जाना

कहानी का ये हिस्सा अब भी कोई ख़्वाब लगता है
तिरा सर पर बिठा लेना मिरा दस्तार हो जाना

मोहब्बत इक न इक दिन ये हुनर तुम को सिखा देगी
बग़ावत पर उतरना और ख़ुद-मुख़्तार हो जाना

नज़र नीची किए उस का गुज़रना पास से मेरे
ज़रा सी देर रुकना फिर सबा-रफ़्तार हो जाना


5- कभी ख़ुशी से ख़ुशी की तरफ़ नहीं देखा
तुम्हारे बा'द किसी की तरफ़ नहीं देखा

ये सोच कर कि तिरा इंतिज़ार लाज़िम है
तमाम-उम्र घड़ी की तरफ़ नहीं देखा

यहाँ तो जो भी है आब-ए-रवाँ का आशिक़ है
किसी ने ख़ुश्क नदी की तरफ़ नहीं देखा

वो जिस के वास्ते परदेस जा रहा हूँ मैं
बिछड़ते वक़्त उसी की तरफ़ नहीं देखा

न रोक ले हमें रोता हुआ कोई चेहरा
चले तो मुड़ के गली की तरफ़ नहीं देखा

बिछड़ते वक़्त बहुत मुतमइन थे हम दोनों
किसी ने मुड़ के किसी की तरफ़ नहीं देखा

रविश बुज़ुर्गों की शामिल है मेरी घुट्टी में
ज़रूरतन भी सखी की तरफ़ नहीं देखा


Poet - Munawwar Rana
Location: Raebareli, Uttar Pradesh, India
Views: 278