Mirza Ghalib Poetry

All Time Most Famous Ghazals Of Mirza Ghalib


All Time Most Famous Ghazals Of Mirza Ghalib

1- Aah ko chahiye ek umr asar hote tak
Kaun jeeta hai tiri zulf ke sar hote tak

Daam-e-har-mauj mein hai halqa-e-sad-kaam-e-nahang
Dekhein kya guzarta hai qatre pe guhar hote tak

Aashiqui sabr-talab aur tamanna betaab
Dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hote tak

Taa-qayamat shab-e-furqat mein guzar jaayegi umr
Saat din hum pe bhi bhaari hain sahar hote tak

Hum ne maana ke taghaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge hum tum ko khabar hote tak

Partav-e-khur se hai shabnam ko fana ki ta'leem
Main bhi hoon ek inayat ki nazar hote tak

Yak nazar besh nahi fursat-e-hasti gafil
Garmi-e-bazm hai ek raqs-e-sharar hote tak

Gham-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
Sham'a har rang mein jalti hai sahar hote tak

2- Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dawa kya hai

Hum hain mushtaaq aur wo be-zaar
Ya ilahi yeh maajra kya hai

Main bhi munh mein zabaan rakhta hoon
Kaash poochho ke mudda'a kya hai

Jab ke tujh bin nahi koi maujood
Phir yeh hangama aye Khuda kya hai

Yeh pari-chehra log kaise hain
Ghamza o ishwa o ada kya hai

Shikan-e-zulf-e-ambrein kyun hai
Nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai

Sabza o gul kahan se aaye hain
Abr kya cheez hai, hawa kya hai

Hum ko un se wafaa ki hai umeed
Jo nahi jaante wafaa kya hai

Haan bhala kar taira bhala hoga
Aur darvesh ki sada kya hai

Jaan tum par nisaar karta hoon
Main nahi jaanta dua kya hai

Maine maana ke kuch nahi 'Ghalib'
Muft haath aaye to bura kya hai

3- Hai bas ke har ek un ke ishaare mein nishaan aur
Karte hain mohabbat to guzarta hai gumaan aur

Ya-rab wo na samjhe hain na samjhenge meri baat
De aur dil un ko jo na de mujh ko zabaan aur

Abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paivand
Hai teer muqarrar magar is ki hai kamaan aur

Tum shahr mein ho to humein kya gham jab uthenge
Le aayenge bazaar se ja kar dil o jaan aur

Har chand subuk-dast hue but-shikni mein
Hum hain to abhi raah mein hai sang-e-giran aur

Hai khoon-e-jigar josh mein dil khol ke rota
Hote jo kayi deeda-e-khoonaba-fishan aur

Marta hoon is awaaz pe har chand sar udh jaaye
Jallad ko lekin wo kahe jaayein ke haan aur

Logon ko hai khursheed-e-jahan-taab ka dhoka
Har roz dikhata hoon main ek daagh-e-nihan aur

Leta na agar dil tumhein deta koi dam chain
Karta jo na marta koi din aah-o-fughan aur

4- Rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho
Hum-sukhan koi na ho aur hum-zabaan koi na ho

Be-dar-o-deewar sa ek ghar banaya chahiye
Koi hum-saaya na ho aur paasban koi na ho

Padhiye gar beemaar to koi na ho teemar-dar
Aur agar mar jaaiye to nauha-khwan koi na ho

5- Nukta-cheen hai gham-e-dil us ko sunaaye na bane
Kya bane baat jahan baat banaaye na bane

Main bulaata to hoon us ko magar aye jazba-e-dil
Us pe ban jaaye kuch aisi ke bin aaye na bane

Khel samjha hai kahin chhod na de bhool na jaaye
Kaash yun bhi ho ke bin mere sataaye na bane

Ghair phirta hai liye yun tire khat ko ke agar
Koi poochhe ke yeh kya hai to chhupaaye na bane

Is nazakat ka bura ho wo bhale hain to kya
Haath aavein to unhein haath lagaaye na bane

Keh sake kaun ke yeh jalwagari kis ki hai
Parda chhoda hai wo us ne ke uthaaye na bane

Maut ki raah na dekhoon ke bin aaye na rahe
Tum ko chaahun ke na aao to bulaaye na bane

Bojh wo sar se gira hai ke uthaaye na uthe
Kaam wo aan pada hai ke banaaye na bane

Ishq par zor nahi hai yeh wo aatish 'Ghalib'
Ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
------------------------------------------------
1- आह को चाहिए इक उम्र असर होते तक
कौन जीता है तिरी ज़ुल्फ़ के सर होते तक

दाम-ए-हर-मौज में है हल्क़ा-ए-सद-काम-ए-नहंग
देखें क्या गुज़रे है क़तरे पे गुहर होते तक

आशिक़ी सब्र-तलब और तमन्ना बेताब
दिल का क्या रंग करूँ ख़ून-ए-जिगर होते तक

ता-क़यामत शब-ए-फ़ुर्क़त में गुज़र जाएगी उम्र
सात दिन हम पे भी भारी हैं सहर होते तक

हम ने माना कि तग़ाफ़ुल न करोगे लेकिन
ख़ाक हो जाएँगे हम तुम को ख़बर होते तक

परतव-ए-ख़ुर से है शबनम को फ़ना की ता'लीम
मैं भी हूँ एक इनायत की नज़र होते तक

यक नज़र बेश नहीं फ़ुर्सत-ए-हस्ती ग़ाफ़िल
गर्मी-ए-बज़्म है इक रक़्स-ए-शरर होते तक

ग़म-ए-हस्ती का 'असद' किस से हो जुज़ मर्ग इलाज
शम्अ हर रंग में जलती है सहर होते तक


2- दिल-ए-नादाँ तुझे हुआ क्या है
आख़िर इस दर्द की दवा क्या है

हम हैं मुश्ताक़ और वो बे-ज़ार
या इलाही ये माजरा क्या है

मैं भी मुँह में ज़बान रखता हूँ
काश पूछो कि मुद्दआ' क्या है

जब कि तुझ बिन नहीं कोई मौजूद
फिर ये हंगामा ऐ ख़ुदा क्या है

ये परी-चेहरा लोग कैसे हैं
ग़म्ज़ा ओ इश्वा ओ अदा क्या है

शिकन-ए-ज़ुल्फ़-ए-अंबरीं क्यूँ है
निगह-ए-चश्म-ए-सुरमा सा क्या है

सब्ज़ा ओ गुल कहाँ से आए हैं
अब्र क्या चीज़ है हवा क्या है

हम को उन से वफ़ा की है उम्मीद
जो नहीं जानते वफ़ा क्या है

हाँ भला कर तिरा भला होगा
और दरवेश की सदा क्या है

जान तुम पर निसार करता हूँ
मैं नहीं जानता दुआ क्या है

मैं ने माना कि कुछ नहीं 'ग़ालिब'
मुफ़्त हाथ आए तो बुरा क्या है


3- है बस-कि हर इक उन के इशारे में निशाँ और
करते हैं मोहब्बत तो गुज़रता है गुमाँ और

या-रब वो न समझे हैं न समझेंगे मिरी बात
दे और दिल उन को जो न दे मुझ को ज़बाँ और

अबरू से है क्या उस निगह-ए-नाज़ को पैवंद
है तीर मुक़र्रर मगर इस की है कमाँ और

तुम शहर में हो तो हमें क्या ग़म जब उठेंगे
ले आएँगे बाज़ार से जा कर दिल ओ जाँ और

हर चंद सुबुक-दस्त हुए बुत-शिकनी में
हम हैं तो अभी राह में है संग-ए-गिराँ और

है ख़ून-ए-जिगर जोश में दिल खोल के रोता
होते जो कई दीदा-ए-ख़ूँनाबा-फ़िशाँ और

मरता हूँ इस आवाज़ पे हर चंद सर उड़ जाए
जल्लाद को लेकिन वो कहे जाएँ कि हाँ और

लोगों को है ख़ुर्शीद-ए-जहाँ-ताब का धोका
हर रोज़ दिखाता हूँ मैं इक दाग़-ए-निहाँ और

लेता न अगर दिल तुम्हें देता कोई दम चैन
करता जो न मरता कोई दिन आह-ओ-फ़ुग़ाँ और

पाते नहीं जब राह तो चढ़ जाते हैं नाले
रुकती है मिरी तब्अ' तो होती है रवाँ और

हैं और भी दुनिया में सुख़न-वर बहुत अच्छे
कहते हैं कि 'ग़ालिब' का है अंदाज़-ए-बयाँ और


4- रहिए अब ऐसी जगह चल कर जहाँ कोई न हो
हम-सुख़न कोई न हो और हम-ज़बाँ कोई न हो

बे-दर-ओ-दीवार सा इक घर बनाया चाहिए
कोई हम-साया न हो और पासबाँ कोई न हो

पड़िए गर बीमार तो कोई न हो तीमारदार
और अगर मर जाइए तो नौहा-ख़्वाँ कोई न हो


5- नुक्ता-चीं है ग़म-ए-दिल उस को सुनाए न बने
क्या बने बात जहाँ बात बनाए न बने

मैं बुलाता तो हूँ उस को मगर ऐ जज़्बा-ए-दिल
उस पे बन जाए कुछ ऐसी कि बिन आए न बने

खेल समझा है कहीं छोड़ न दे भूल न जाए
काश यूँ भी हो कि बिन मेरे सताए न बने

ग़ैर फिरता है लिए यूँ तिरे ख़त को कि अगर
कोई पूछे कि ये क्या है तो छुपाए न बने

इस नज़ाकत का बुरा हो वो भले हैं तो क्या
हाथ आवें तो उन्हें हाथ लगाए न बने

कह सके कौन कि ये जल्वागरी किस की है
पर्दा छोड़ा है वो उस ने कि उठाए न बने

मौत की राह न देखूँ कि बिन आए न रहे
तुम को चाहूँ कि न आओ तो बुलाए न बने

बोझ वो सर से गिरा है कि उठाए न उठे
काम वो आन पड़ा है कि बनाए न बने

इश्क़ पर ज़ोर नहीं है ये वो आतिश 'ग़ालिब'
कि लगाए न लगे और बुझाए न बने



Poet - Mirza Ghalib
Location: Agra, India,
Views: 267