Khumar Barabanki Poetry

Wahi phir mujhe yaad aane lage hain


Wahi phir mujhe yaad aane lage hain

वही फिर मुझे याद आने लगे हैं
जिन्हें भूलने में ज़माने लगे हैं

वो हैं पास और याद आने लगे हैं
मोहब्बत के होश अब ठिकाने लगे हैं

सुना है हमें वो भुलाने लगे हैं
तो क्या हम उन्हें याद आने लगे हैं

हटाए थे जो राह से दोस्तों की
वो पत्थर मिरे घर में आने लगे हैं

ये कहना था उन से मोहब्बत है मुझ को
ये कहने में मुझ को ज़माने लगे हैं

हवाएँ चलीं और न मौजें ही उट्ठीं
अब ऐसे भी तूफ़ान आने लगे हैं

क़यामत यक़ीनन क़रीब आ गई है
'ख़ुमार' अब तो मस्जिद में जाने लगे हैं
---------------------------------------------
Wahi phir mujhe yaad aane lage hain
Jinhe bhoolne mein zamaane lage hain

Woh hain paas aur yaad aane lage hain
Mohabbat ke hosh ab thikane lage hain

Suna hai humein woh bhulaane lage hain
Toh kya hum unhe yaad aane lage hain

Hataaye the jo raah se doston ki
Woh patthar mere ghar mein aane lage hain

Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujhko
Yeh kehne mein mujhko zamaane lage hain

Hawaayein chali aur na maujein hi uthin
Ab aise bhi toofaan aane lage hain

Qayamat yaqeenan qareeb aa gayi hai
'Khumar' ab toh masjid mein jaane lage hain

Poet - Khumar Barabanki
Location: Barabanki, Uttar Pradesh,
Views: 204