Umair Najmi Poetry

mujhe pehle to lagta tha ki zaati mas'ala hai


mujhe pehle to lagta tha ki zaati mas'ala hai

mujhe pehle to lagta tha ki zaati mas'ala hai
main phir samjha mohabbat kaayenaati mas'ala hai

parinde qaid hain tum chahchahaahat chahte ho
tumhein to achcha-khaasa nafsiyaati mas'ala hai

hamein thoda junoon darkaar hai thoda sukoon bhi
hamaari nasl mein ik jeeniyati mas'ala hai

badi mushkil hai bante silsiloon mein ye tavakkuf
hamaare raabton ki be-sabaati mas'ala hai

vo kahte hain ki jo hoga vo aage ja ke hoga
to ye duniya bhi koi tajrabaati mas'ala hai

hamaara vasl bhi tha ittifaqi mas'ala tha
hamaara hijr bhi hai haadsaati mas'ala hai 
--------------------------------------
मुझे पहले तो लगता था कि ज़ाती मसअला है
मैं फिर समझा मोहब्बत काएनाती मसअला है

परिंदे क़ैद हैं तुम चहचहाहट चाहते हो
तुम्हें तो अच्छा-ख़ासा नफ़सियाती मसअला है

हमें थोड़ा जुनूँ दरकार है थोड़ा सुकूँ भी
हमारी नस्ल में इक जीनियाती मसअला है

बड़ी मुश्किल है बनते सिलसिलों में ये तवक़्क़ुफ़
हमारे राब्तों की बे-सबाती मसअला है

वो कहते हैं कि जो होगा वो आगे जा के होगा
तो ये दुनिया भी कोई तजरबाती मसअला है

हमारा वस्ल भी था इत्तिफ़ाक़ी मसअला था
हमारा हिज्र भी है हादसाती मसअला है

Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 103