Zia Mazkoor Poetry

ye aur baat ki paani hai ismein ram nahin hai


ye aur baat ki paani hai ismein ram nahin hai

ये और बात कि पानी है इसमें रम नहीं है
तिरा गिलास भी तेरे लबों से कम नहीं है

उधार माँग के शर्मिंन्दा कर दिया उसने
वगरना ये कोई इतनी बड़ी रक़म नहीं है

तुम इसके सामने कैसे भी बैठ सकती हो
ये मेरा दोस्त है और इतना मुहतरम नहीं है

अजीब तर्ज़ के दुश्मन का सामना है मुझे
कमाँ में तीर नहीं हाथ में क़लम नहीं है

किसी के जाने से दिल टूट क्यों नहीं जाता
ये कैसा घर है जिसे हिजरतों का ग़म नहीं है

-------------------------------

ye aur baat ki paani hai ismein ram nahin hai
tira gilaas bhi tere labon se kam nahin hai

udhaar maang ke sharminda kar diya usne
wagarana ye koi itni badi raqam nahin hai

tum iske saamne kaise bhi baith sakti ho
ye mera dost hai aur itna muhtaram nahin hai

ajeeb tarz ke dushman ka saamna hai mujhe
kamaan mein teer nahin haath mein qalam nahin hai

kisi ke jaane se dil toot kyun nahin jaata
ye kaisa ghar hai jise hijraton ka gham nahin hai

Poet - Zia Mazkoor
Location: Bahawalpur, Pakistan
Views: 30