Zia Mazkoor Poetry

Ham to aapse achhi baatein karte hain


Ham to aapse achhi baatein karte hain

हम तो आपसे अच्छी बातें करते हैं
आप ही हम से ऐसी बातें करते हैं

मिलने पर चुप लग जाती है दोनों को
फ़ोन पर अच्छी खासी बातें करते हैं

लोग तो करते होंगे उसके बारे में
पर जो शहर के दर्ज़ी बातें करते हैं

बिन देखे ईमान नहीं ला सकता मैं
और वो ग़ैर-यक़ीनी बातें करते हैं

पीर फ़कीर तो चुप ही रहते हैं "मज़कूर"
दुनियादार ही दीनी बातें करते हैं

-----------------------------------

ham to aapse achhi baatein karte hain
aap hi ham se aisi baatein karte hain

milne par chup lag jaati hai dono ko
phone par achhi khaasi baatein karte hain

log to karte honge uske baare mein
par jo shehar ke darzee baatein karte hain

bin dekhe eimaan nahin la saka main
aur vo ghair-yaqeeni baatein karte hain

peer fakeer to chup hi rahte hain mazkoor
duniyadaar hi deeni baatein karte hain 

Poet - Zia Mazkoor
Location: Bahawalpur, Pakistan
Views: 33