Waseem Barelavi Poetry

sab ne milaaye haath yahan teergi ke saath


sab ne milaaye haath yahan teergi ke saath

sab ne milaaye haath yahan teergi ke saath
kitna bada mazaak hua raushni ke saath

shartein lagaaee jaati nahin dosti ke saath
kijeye mujhe qubool meri har kami ke saath

tera khayal teri talab teri aarzoo
main umr bhar chala hoon kisi raushni ke saath

duniya mere khilaaf khadi kaise ho gai
meri to dushmani bhi nahin thi kisi ke saath

kis kaam ki rahi ye dikhaave ki zindagi
vaade kiye kisi se guzaari kisi ke saath

duniya ko bewafaai ka ilzaam kaun de
apni hi nibh saki na bahut din kisi ke saath

qatre vo kuchh bhi paaye ye mumkin nahin waseem
badhna jo chahte hain samundar-kashi ke saath 
---------------------------------------
सब ने मिलाए हाथ यहाँ तीरगी के साथ
कितना बड़ा मज़ाक़ हुआ रौशनी के साथ

शर्तें लगाई जाती नहीं दोस्ती के साथ
कीजे मुझे क़ुबूल मेरी हर कमी के साथ

तेरा ख़याल तेरी तलब तेरी आरज़ू
मैं उम्र भर चला हूँ किसी रौशनी के साथ

दुनिया मेरे ख़िलाफ़ खड़ी कैसे हो गई
मेरी तो दुश्मनी भी नहीं थी किसी के साथ

किस काम की रही ये दिखावे की ज़िंदगी
वादे किए किसी से गुज़ारी किसी के साथ

दुनिया को बेवफ़ाई का इल्ज़ाम कौन दे
अपनी ही निभ सकी न बहुत दिन किसी के साथ

क़तरे वो कुछ भी पाएँ ये मुमकिन नहीं 'वसीम'
बढ़ना जो चाहते हैं समंदर-कशी के साथ

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 40