Unknown Poetry

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursaten Mere Dil Say Boojh Utar Do


Tumhe Jab Kabhi Mile Fursaten Mere Dil Say Boojh Utar Do

तुम्हें जब कभी मिलें फ़ुर्सतें मिरे दिल से बोझ उतार दो
मैं बहुत दिनों से उदास हूँ मुझे कोई शाम उधार दो

मुझे अपने रूप की धूप दो कि चमक सकें मिरे ख़ाल-ओ-ख़द
मुझे अपने रंग में रंग दो मिरे सारे रंग उतार दो

किसी और को मिरे हाल से न ग़रज़ है कोई न वास्ता
मैं बिखर गया हूँ समेट लो मैं बिगड़ गया हूँ सँवार दो

---------------------------------------

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursaten, Mere Dil Say Boojh Utar Do
Main Bhut Dino Say Udaas Ho, Mujhe Koi Shaam Udhaar Do

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do, Ke Chamak Sake Mere Khal-O-Khad
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do, Mere Sare Zang Utar Do

Kesi Aur Ko Mere Haal Say Na Garz Hai Koi Na Wasta
Mian Bikhar Gya Ho Sameet Loo, Main Bigar Gya Ho Sanwar Do

Meri Wehshaton Ne Barha Dia Hai Judaiyo Ke Aazab Ne
Mere Dil Pa Hath Rakho Zara, Meri Dharkano Ko Qarar Do

Tumhe Subha Kesi Lagi?,Mere Khawahisho Ke Diyaar Ki
Jo Bhali Lagi Tw Yahi Raho, Esy Chahato Say Nikhaar Do

Wahan Ghar Mein Kon Hai Muntazir K Ho Fikar Deer Saweer Ki
Bari Mukhtasir Si Yeh Raat Hai, Esi Chandni Mein Guzaar Do

Koi Baat Karni Hai Chand Say Kesi Shaksaar Ki Uoot Mein
Muje Rasten Yehi Kahin Kesi Kunj-E-Gul Mein Utar Do

Poet - Unknown
Location: NA
Views: 622