Tehzeeb Hafi Poetry

Ye soch kar mera sehra mein jee nahin lagta


Ye soch kar mera sehra mein jee nahin lagta

ye soch kar mera sehra mein jee nahin lagta
main shaamil-e-saf-e-aawargi nahin lagta

kabhi kabhi to vo khuda ban ke saath chalta hai
kabhi kabhi to vo insaan bhi nahin lagta

yaqeen kyun nahin aata tujhe mere dil par
ye fal kaha se tujhe mausami nahin lagta

main chahta hoon vo meri jabeen pe bosa de
magar jali hui roti ko ghee nahin lagta

main uske paas kisi kaam se nahin aata
use ye kaam koi kaam hi nahin lagta
------------------------------------------------
ये सोच कर मेरा सहरा में जी नहीं लगता
मैं शामिल-ए-सफ़-ए-आवारगी नहीं लगता

कभी कभी तो वो ख़ुदा बन के साथ चलता है
कभी कभी तो वो इंसान भी नहीं लगता

यक़ीन क्यूँ नहीं आता तुझे मेरे दिल पर
ये फल कहा से तुझे मौसमी नहीं लगता

मैं चाहता हूँ वो मेरी जबीं पे बोसा दे
मगर जली हुई रोटी को घी नहीं लगता

मैं उसके पास किसी काम से नहीं आता
उसे ये काम कोई काम ही नहीं लगता

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 332