Amir Ameer Poetry

vo bhi ab yaad karein kis ko manaane nikle


vo bhi ab yaad karein kis ko manaane nikle

vo bhi ab yaad karein kis ko manaane nikle
ham bhi yoonhi to na maane the siyaane nikle

main ne mehsoos kiya jab bhi ki ghar se nikla
aur bhi log kai kar ke bahaane nikle

aaj ki baat pe main hansta raha hansta raha
chot taaza jo lagi dard purane nikle

ek shatranj-numa zindagi ke khaanon mein
aise ham shah jo pyaaron ke nishaane nikle

tu ne jis shakhs ko maara tha samajh kar kaafir
us ki mutthi se to tasbeeh ke daane nikle

kaash ho aaj kuchh aisa vo mera maalik-e-dil
mere dil se hi mere dil ko churaane nikle

aap ka dard in aankhon se chhalakta kaise
mere aansu to piyaazon ke bahaane nikle

main samajhta tha tujhe ek zamaane ka magar
tere andar to kai aur zamaane nikle

laapata aaj talak qafile saare hain ameer
jo tire pyaar mein kho kar tujhe paane nikle 
----------------------------------------
वो भी अब याद करें किस को मनाने निकले
हम भी यूँही तो न माने थे सियाने निकले

मैं ने महसूस किया जब भी कि घर से निकला
और भी लोग कई कर के बहाने निकले

आज की बात पे मैं हँसता रहा हँसता रहा
चोट ताज़ा जो लगी दर्द पुराने निकले

एक शतरंज-नुमा ज़िंदगी के ख़ानों में
ऐसे हम शाह जो प्यादों के निशाने निकले

तू ने जिस शख़्स को मारा था समझ कर काफ़िर
उस की मुट्ठी से तो तस्बीह के दाने निकले

काश हो आज कुछ ऐसा वो मिरा मालिक-ए-दिल
मेरे दिल से ही मिरे दिल को चुराने निकले

आप का दर्द इन आँखों से छलकता कैसे
मेरे आँसू तो पियाज़ों के बहाने निकले

मैं समझता था तुझे एक ज़माने का मगर
तेरे अंदर तो कई और ज़माने निकले

लापता आज तलक क़ाफ़िले सारे हैं 'अमीर'
जो तिरे प्यार में खो कर तुझे पाने निकले


Poet - Amir Ameer
Location: Rahim Yar Khan, Punjab
Views: 168