Jaun Elia Poetry

Shikwa avval to be-hisaab kiya


Shikwa avval to be-hisaab kiya

Shikwa avval to be-hisaab kiya
Aur phir band hi ye baab kiya

Jaante the badi awam jise
Hum ne us se bhi ijtinaab kiya

Thi kisi shakhs ki talash mujhe
Main ne khud ko hi intikhaab kiya

Ik taraf main hoon ik taraf tum ho
Jaane kis ne kise kharaab kiya

Aakhir ab kis ki baat maanun main
Jo mila us ne la-jawab kiya

Yoon samajh tujh ko muztarib pa kar
Main ne izhaar-e-iztiraab kiya
--------------------------------
शिकवा अव्वल तो बे-हिसाब किया
और फिर बंद ही ये बाब किया

जानते थे बदी अवाम जिसे
हम ने उस से भी इज्तिनाब किया

थी किसी शख़्स की तलाश मुझे
मैं ने ख़ुद को ही इंतिख़ाब किया

इक तरफ़ मैं हूँ इक तरफ़ तुम हो
जाने किस ने किसे ख़राब किया

आख़िर अब किस की बात मानूँ मैं
जो मिला उस ने ला-जवाब किया

यूँ समझ तुझ को मुज़्तरिब पा कर
मैं ने इज़हार-ए-इज़्तिराब किया


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 34