Jaun Elia Poetry

Shahar-ba-shahar kar safar zad-e-safar liye bagair


Shahar-ba-shahar kar safar zad-e-safar liye bagair

Shahar-ba-shahar kar safar zad-e-safar liye bagair
Koi asar kiye bagair koi asar liye bagair

Koh-o-kamar mein hum-safir kuch nahi ab bujhz hawa
Dekhiyo paltiyo na aaj shahar se par liye bagair

Waqt ke ma'rake mein thiin mujh ko riayatain hawas
Main sar-e-ma'raka gaya apni sipar liye bagair

Kuch bhi ho qatl-gaah mein husn-e-badan ka hai zarr
Hum na kahin se aayein ge dosh pe sar liye bagair

Karya-e-geri mein mera gerya hunar-warana hai
Yaan se kahin taloonga main daad-e-hunar liye bagair

Us ke bhi kuch gile hain dil unka hisaab tum rakho
Deed ne us mein ki basar us ki khabar liye bagair

Us ka sukhun bhi ja se hai aur wo ye ke 'Jau' tum
Shohra-e-shahar ho to kya shahar mein ghar liye bagair
-------------------------------------------------------
शहर-ब-शहर कर सफ़र ज़ाद-ए-सफ़र लिए बग़ैर
कोई असर किए बग़ैर कोई असर लिए बग़ैर

कोह-ओ-कमर में हम-सफ़ीर कुछ नहीं अब ब-जुज़ हवा
देखियो पलटियो न आज शहर से पर लिए बग़ैर

वक़्त के मा'रके में थीं मुझ को रिआयतें हवस
मैं सर-ए-मा'रका गया अपनी सिपर लिए बग़ैर

कुछ भी हो क़त्ल-गाह में हुस्न-ए-बदन का है ज़रर
हम न कहीं से आएँगे दोश पे सर लिए बग़ैर

करया-ए-गिरया में मिरा गिर्या हुनर-वराना है
याँ से कहीं टलूँगा मैं दाद-ए-हुनर लिए बग़ैर

उस के भी कुछ गिले हैं दिल उन का हिसाब तुम रखो
दीद ने उस में की बसर उस की ख़बर लिए बग़ैर

उस का सुख़न भी जा से है और वो ये कि 'जौन' तुम
शोहरा-ए-शहर हो तो क्या शहर में घर लिए बग़ैर


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 61