Jaun Elia Poetry

Shaam thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi


Shaam thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi

Shaam thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi
Ek ajeeb sukoon tha, ek ajab sada bhi thi

Ek malaal ka sa haal mahv tha apne haal mein
Raqs-o-nawa the be-taraf, mehfil-e-shab bapa bhi thi

Saamia-e-sada-e-jaan be-sarokaar tha ki tha
Ek gumaan ki daastaan bar-lab neem-waa bhi thi

Kya mah-o-saal maajra, ek palak thi jo miyaan
Baat ki ibtida bhi thi, baat ki intiha bhi thi

Ek surood-e-raushni neema-e-shab ka khwaab tha
Ek khamosh teeragi, saaneha-aashna bhi thi

Dil tira pesha-e-gila-e-kaam kharaab kar gaya
Warna to ek ranj ki haalat-e-be-gila bhi thi

Dil ke muaamle jo the un mein se ek ye bhi hai
Ek havas thi dil mein jo dil se gureza-paa bhi thi

Baal-o-par-e-khayal ko ab nahin samt-o-soo naseeb
Pehle thi ek ajab faza aur jo pur-faza bhi thi

Khushk hai chashma-saar-e-jaan, zard hai sabza-zar-e-dil
Ab to ye sochiye ke yahan pehle kabhi hawa bhi thi
----------------------------------------------------
शाम थी और बर्ग-ओ-गुल शल थे मगर सबा भी थी
एक अजीब सुकूत था एक अजब सदा भी थी

एक मलाल का सा हाल महव था अपने हाल में
रक़्स-ओ-नवा थे बे-तरफ़ महफ़िल-ए-शब बपा भी थी

सामेआ-ए-सदा-ए-जाँ बे-सरोकार था कि था
एक गुमाँ की दास्ताँ बर-लब नीम-वा भी थी

क्या मह-ओ-साल माजरा एक पलक थी जो मियाँ
बात की इब्तिदा भी थी बात की इंतिहा भी थी

एक सुरूद-ए-रौशनी नीमा-ए-शब का ख़्वाब था
एक ख़मोश तीरगी सानेहा-आश्ना भी थी

दिल तिरा पेशा-ए-गिला-ए-काम ख़राब कर गया
वर्ना तो एक रंज की हालत-ए-बे-गिला भी थी

दिल के मुआ'मले जो थे उन में से एक ये भी है
इक हवस थी दिल में जो दिल से गुरेज़-पा भी थी

बाल-ओ-पर-ए-ख़याल को अब नहीं सम्त-ओ-सू नसीब
पहले थी इक अजब फ़ज़ा और जो पुर-फ़ज़ा भी थी

ख़ुश्क है चश्मा-सार-ए-जाँ ज़र्द है सब्ज़ा-ज़ार-ए-दिल
अब तो ये सोचिए कि याँ पहले कभी हवा भी थी


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 61