Jaun Elia Poetry

Khwaab ki haalaaton ke saath teri hikayaton mein hain


Khwaab ki haalaaton ke saath teri hikayaton mein hain

Khwaab ki haalaaton ke saath teri hikayaton mein hain
Hum bhi dayaar-e-ahl-e-dil teri riwayaton mein hain

Wo jo the rishta-haa-e-jaan, toot sake bhala kahaan
Jaan wo rishta-haa-e-jaan ab bhi shikayaton mein hain

Ek ghubaar hai ki hai daayra-waar pur-fishaan
Qaafila-haa-e-kahkashaan tang hain vahshaton mein hain

Waqt ki darmiyaaniyaan kar gayin jaan-kani ko jaan
Wo jo adawatein ki thin, aaj mohabbatton mein hain

Partav-e-rang hai ki hai deed mein jaan-nasheen-e-rang
Rang kahaan hain roonuma, rang to nikhhaton mein hain

Hai ye wujood ki numood apni nafas-nafas gurez
Waqt ki saari bastiyan apni hazeematton mein hain

Gard ka saara khaanumaan hai sar-e-dasht-e-be-amaan
Shehr hain wo jo har tarah gard ki khidmatton mein hain

Wo dil-o-jaan sooratein jaise kabhi na thin kahin
Hum unhi sooraton ke hain, hum unhi sooraton mein hain

Main na sununga maajra maaraka-haa-e-shauq ka
Khoon gaye hain raayegaan, rang nadamatton mein hain
-------------------------------------------------------
ख़्वाब की हालातों के साथ तेरी हिकायतों में हैं
हम भी दयार-ए-अहल-ए-दिल तेरी रिवायतों में हैं

वो जो थे रिश्ता-हा-ए-जाँ टूट सके भला कहाँ
जान वो रिश्ता-हा-ए-जाँ अब भी शिकायतों में हैं

एक ग़ुबार है कि है दायरा-वार पुर-फ़िशाँ
क़ाफ़िला-हा-ए-कहकशाँ तंग हैं वहशतों में हैं

वक़्त की दरमियानियाँ कर गईं जाँ-कनी को जाँ
वो जो अदावतें कि थीं आज मोहब्बतों में हैं

परतव-ए-रंग है कि है दीद में जाँ-नशीन-ए-रंग
रंग कहाँ हैं रूनुमा रंग तो निकहतों में हैं

है ये वजूद की नुमूद अपनी नफ़स नफ़स गुरेज़
वक़्त की सारी बस्तियाँ अपनी हज़ीमतों में हैं

गर्द का सारा ख़ानुमाँ है सर-ए-दश्त-ए-बे-अमाँ
शहर हैं वो जो हर तरह गर्द की ख़िदमतों में हैं

वो दिल ओ जान सूरतें जैसे कभी न थीं कहीं
हम उन्हीं सूरतों के हैं हम उन्हीं सूरतों में हैं

मैं न सुनूँगा माजरा मा'रका-हा-ए-शौक़ का
ख़ून गए हैं राएगाँ रंग नदामतों में हैं


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 24