Jaun Elia Poetry

Ik zakhm bhi yaaran-e-bismil nahi aane ka


Ik zakhm bhi yaaran-e-bismil nahi aane ka

Ik zakhm bhi yaaran-e-bismil nahi aane ka
Maqtal mein pade rahiye qaatil nahi aane ka

Ab kooch karo yaaro sahra se ki sunte hain
Sahra mein ab ainda mehmal nahi aane ka

Wa'iz ko kharaabe mein ik dawat-e-haq dee thi
Main jaan raha tha woh jaahil nahi aane ka

Buniyaad-e-jahan pehle jo thi wohi ab bhi hai
Yoon hashr to yaaran-e-yak-dil nahi aane ka

But hai ki Khuda hai woh maana hai na maanunga
Us shokh se jab tak main khud mil nahi aane ka

Gar dil ki yeh mehfil hai kharcha bhi ho phir dil ka
Bahar se to samaan-e-mehfil nahi aane ka

Woh naaf pyale se sarmast kare warna
Ho ke main kabhi us ka qail nahi aane ka
----------------------------------------
इक ज़ख़्म भी यारान-ए-बिस्मिल नहीं आने का
मक़्तल में पड़े रहिए क़ातिल नहीं आने का

अब कूच करो यारो सहरा से कि सुनते हैं
सहरा में अब आइंदा महमिल नहीं आने का

वाइ'ज़ को ख़राबे में इक दावत-ए-हक़ दी थी
मैं जान रहा था वो जाहिल नहीं आने का

बुनियाद-ए-जहाँ पहले जो थी वही अब भी है
यूँ हश्र तो यारान-ए-यक-दिल नहीं आने का

बुत है कि ख़ुदा है वो माना है न मानूँगा
उस शोख़ से जब तक मैं ख़ुद मिल नहीं आने का

गर दिल की ये महफ़िल है ख़र्चा भी हो फिर दिल का
बाहर से तो सामान-ए-महफ़िल नहीं आने का

वो नाफ़ प्याले से सरमस्त करे वर्ना
हो के मैं कभी उस का क़ाइल नहीं आने का


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 29