Jaun Elia Poetry

Haaye jaanana ki mehmaan-daariyan


Haaye jaanana ki mehmaan-daariyan

Haaye jaanana ki mehmaan-daariyan
Aur mujh dil ki badan aazaariyan

Dha gayi dil ko teri dehleez par
Teri qattaala sureeni bhaariyan

Uf shikan-haa-e-shikam jaanam teri
Kya kataaren hain kataaren kaariyan

Haaye teri chaatiyon ka tan-tanaav
Phir teri majbooriyan naachaariyan

Tishna-lab hai kab se dil sa sheer-khwaar
Tere doodhon se hain chashme jaariyan

Dukh ghuroor-e-hashr ke jaana hai kaun
Kis ne samjhi hashr ki dushwaariyan

Apne darbaan ko sambhaale rakhiye
Hain hawas ki apni izzat-daariyan

Hain sidhaari kaun se shehron taraf
Ladkiyaan wo dil gali ki saariyan

Khwaab jo taabeer ke bas ke na the
Doston ne un pe jaanen waariyan

Khalwat-e-mizraab-e-saaz-o-naaz mein
Chaahiye hum ko teri siskariyan

Lafz-o-ma'ani ka baham kyun hai sukhun
Kis zamaane mein thin in mein yaariyan

Shauq ka ek daav be-shauqi bhi hai
Hum hain us ke husn ke inkaariyan

Mujh se bad-tauri na kar o shehr-e-yaar
Mere jooton ke hain talve khaarriyan

Kha gayin us zaalimo-mazloom ko
Meri mazloomi-numa ayyaariyan

Ye haraami hain ghareebon ke raqeeb
Hain mulaazim sab ke sab sarkariyan

Wo jo hain jeete unhone be-tarah
Jeetne par himmatein hain haariyan

Tum se jo kuch bhi na keh paayein miyaan
Aakhirash karti wo kya be-chaariyan
---------------------------------------
हाए जानाना की मेहमाँ-दारियाँ
और मुझ दिल की बदन आज़ारियाँ

ढा गईं दिल को तिरी दहलीज़ पर
तेरी क़त्ताला सुरीनी भारियाँ

उफ़ शिकन-हा-ए-शिकम जानम तिरी
क्या कटारें हैं कटारें कारियाँ

हाए तेरी छातियों का तन-तनाव
फिर तेरी मजबूरियाँ नाचारीयाँ

तिश्ना-लब है कब से दिल सा शीर-ख़्वार
तेरे दूधों से हैं चश्मे जारीयाँ

दुख ग़ुरूर-ए-हश्र के जाना है कौन
किस ने समझी हश्र की दुश्वारियाँ

अपने दरबाँ को सँभाले रखिए
हैं हवस की अपनी इज़्ज़त-दारियाँ

हैं सिधारी कौन से शहरों तरफ़
लड़कियाँ वो दिल गली की सारियाँ

ख़्वाब जो ता'बीर के बस के न थे
दोस्तों ने उन पे जानें वारियाँ

ख़ल्वत-ए-मिज़राब-ए-साज़-ओ-नाज़ में
चाहिए हम को तेरी सिस्कारियाँ

लफ़्ज़-ओ-म'आनी का बहम क्यूँ है सुख़न
किस ज़माने में थीं इन में यारियाँ

शौक़ का इक दाव बे-शौक़ी भी है
हम हैं उस के हुस्न के इनकारियाँ

मुझ से बद-तौरी न कर ओ शहर-ए-यार
मेरे जूतों के है तलवे ख़ारियाँ

खा गईं उस ज़ालिम-ओ-मज़लूम को
मेरी मज़लूमी-नुमा अय्यारियाँ

ये हरामी हैं ग़रीबों के रक़ीब
हैं मुलाज़िम सब के सब सरकारियाँ

वो जो हैं जीते उन्होंने बे-तरह
जीतने पर हिम्मतें हैं हारियाँ

तुम से जो कुछ भी न कह पाएँ मियाँ
आख़िरश करती वो क्या बे-चारियाँ


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 58