Jaun Elia Poetry

Dil jo ik jaay thi duniya hui aabaad us mein


Dil jo ik jaay thi duniya hui aabaad us mein

Dil jo ik jaay thi duniya hui aabaad us mein
Pehle sunte hain ki rehti thi koi yaad us mein

Woh jo tha apna gumaan aaj bohot yaad aaya
Thi ajab rahat-e-aazaadi-e-ijad us mein

Ek hi to woh muhim thi jise sar karna tha
Mujhe hasil na kisi ki hui imdaad us mein

Ek khushboo mein rahi mujh ko talash-e-khud-o-khaal
Rang faslein meri yaaro huiin barbaad us mein

Bagh-e-jaan se tu kabhi raat gaye guzra hai
Kehte hain raat mein khelen hain pari-zaad us mein

Dil-mohalle mein ajab ek qafas tha yaaro
Said ko chhod ke rehne laga sayyad us mein
-------------------------------------------
दिल जो इक जाए थी दुनिया हुई आबाद उस में
पहले सुनते हैं कि रहती थी कोई याद उस में

वो जो था अपना गुमान आज बहुत याद आया
थी अजब राहत-ए-आज़ादी-ए-ईजाद उस में

एक ही तो वो मुहिम थी जिसे सर करना था
मुझे हासिल न किसी की हुई इमदाद उस में

एक ख़ुश्बू में रही मुझ को तलाश-ए-ख़द-ओ-ख़ाल
रंग फ़सलें मिरी यारो हुईं बरबाद उस में

बाग़-ए-जाँ से तू कभी रात गए गुज़रा है
कहते हैं रात में खेलें हैं परी-ज़ाद उस में

दिल-मोहल्ले में अजब एक क़फ़स था यारो
सैद को छोड़ के रहने लगा सय्याद उस में


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 55