Jaun Elia Poetry

Dhoop uthata hoon ki ab sar pe koi baar nahi


Dhoop uthata hoon ki ab sar pe koi baar nahi

Dhoop uthata hoon ki ab sar pe koi baar nahi
Beech deewar hai aur saaya-e-deewar nahi

Shahr ki gasht mein hain subah se saare Mansoor
Ab to Mansoor wahi hai jo sar-e-daar nahi

Mat suno mujh se jo aazaar uthane honge
Ab ke aazaar ye phaila hai ki aazaar nahi

Sochta hoon ki bhala umr ka hasal kya tha
Umr-bhar saans liye aur koi ambar nahi

Jin dukaanon ne lagaaye the nighah mein bazaar
Un dukaanon ka ye rona hai ki bazaar nahi

Ab woh haalat hai ki thak kar main Khuda ho jaoon
Koi dil-daar nahi koi dil-azaar nahi

Mujh se tum kaam na lo kaam mein laao mujh ko
Koi to shahr mein aisa hai ki be-kaar nahi

Yaad-e-aashob ka aalam to woh aalam hai ki ab
Yaad maston ko tiri yaad bhi darkaar nahi

Waqt ko sood pe de aur na rakh koi hisaab
Ab bhala kaisa ziyan koi khareedar nahi
---------------------------------------------
धूप उठाता हूँ कि अब सर पे कोई बार नहीं
बीच दीवार है और साया-ए-दीवार नहीं

शहर की गश्त में हैं सुब्ह से सारे मंसूर
अब तो मंसूर वही है जो सर-ए-दार नहीं

मत सुनो मुझ से जो आज़ार उठाने होंगे
अब के आज़ार ये फैला है कि आज़ार नहीं

सोचता हूँ कि भला उम्र का हासिल क्या था
उम्र-भर साँस लिए और कोई अम्बार नहीं

जिन दुकानों ने लगाए थे निगह में बाज़ार
उन दुकानों का ये रोना है कि बाज़ार नहीं

अब वो हालत है कि थक कर मैं ख़ुदा हो जाऊँ
कोई दिलदार नहीं कोई दिल-आज़ार नहीं

मुझ से तुम काम न लो काम में लाओ मुझ को
कोई तो शहर में ऐसा है कि बे-कार नहीं

याद-ए-आशोब का आलम तो वो आलम है कि अब
याद मस्तों को तिरी याद भी दरकार नहीं

वक़्त को सूद पे दे और न रख कोई हिसाब
अब भला कैसा ज़ियाँ कोई ख़रीदार नहीं


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 35