Javed Akhtar Poetry

Main ne roka bahut par gae sab ke sab


Main ne roka bahut par gae sab ke sab

main ne roka bahut par gae sab ke sab
jaane phir kya hua Dar gae sab ke sab

dost kya ab to dushman bhi mafqud hain
baat kya hai kahan mar gae sab ke sab

har-qadam par zamana muḳhalif raha
kaam apna magar kar gae sab ke sab

din men suraj ke the ham-safar din Dhale
le ke mayusiyan ghar gae sab ke sab

ped sukhe the qudrat bhi thi mehrban
aaj phal-phul se bhar gae sab ke sab

kya ḳhata thi kisi ne bataya nahin
mujh pe ilzam kyuun dhar gae sab ke sab

aap tanha bache hain miri bazm men
varna 'jāved'-aḳhtar gae sab ke sab
-------------------------------------
मैं ने रोका बहुत पर गए सब के सब
जाने फिर क्या हुआ डर गए सब के सब

दोस्त क्या अब तो दुश्मन भी मफ़क़ूद हैं
बात क्या है कहां मर गए सब के सब

हर क़दम पर ज़माना मुख़ालिफ़ रहा
काम अपना मगर कर गए सब के सब

दिन में सूरज के थे हम-सफ़र दिन ढले
ले के मायूसियाँ घर गए सब के सब

पेड़ सूखे थे, क़ुदरत भी थी मेहरबान
आज फल-फूल से भर गए सब के सब

क्या ख़ता थी किसी ने बताया नहीं
मुझ पे इल्ज़ाम क्यों धर गए सब के सब

आप तन्हा बचें हैं मेरी महफ़िल में
वरना 'जावेद'-अख़्तर गए सब के सब


Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 35