Zia Mazkoor Poetry

hamaare saath koi mas'ala furaat ka hai


hamaare saath koi mas'ala furaat ka hai

हमारे साथ कोई मसअला फुरात का है
वगरना इल्म उसे अपनी मुश्किलात का है

मेरे हिसाब से माज़ुरी हुस्न है मेरा
अगर ये ऐब है तो भी खुदा के हाथ का है

इक आधे काम के ह़क़ में तो खैर मैं भी हूं
तुम्हारे पास तो दफ़्तर शिफारिशात का है

हमारी बात का जितना वसीअ पहलू है
जुबां पे लाने में नुकसान कायनात का है

हम उसके होने ना होने पे कितना लड़ रहे हैं
किसी के वास्ते यह खेल नफ्सियात का है

------------------------------------------------------

hamaare saath koi mas'ala furaat ka hai
wagarana ilm use apni mushkilaat ka hai

mere hisaab se maazoori husn hai mera
agar ye aib hai to bhi khuda ke haath ka hai

ik aadhe kaam ke haq mein to khair main bhi hoon
tumhaare paas to daftar shifaarishaat ka hai

hamaari baat ka jitna wasi'a pahluu hai
zubaan pe laane mein nuksaan kaaynaat ka hai

ham uske hone na hone pe kitna lad rahe hain
kisi ke vaaste yah khel nafsiyaat ka hai 

Poet - Zia Mazkoor
Location: Bahawalpur, Pakistan
Views: 27