Waseem Barelavi Poetry

Apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga


Apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga

अपने हर हर लफ़्ज़ का ख़ुद आइना हो जाऊँगा
उस को छोटा कह के मैं कैसे बड़ा हो जाऊँगा

तुम गिराने में लगे थे तुम ने सोचा ही नहीं
मैं गिरा तो मसअला बन कर खड़ा हो जाऊँगा

मुझ को चलने दो अकेला है अभी मेरा सफ़र
रास्ता रोका गया तो क़ाफ़िला हो जाऊँगा

सारी दुनिया की नज़र में है मिरा अहद-ए-वफ़ा
इक तिरे कहने से क्या मैं बेवफ़ा हो जाऊँगा
--------------------------------------------------
Apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga
Usko chhota keh ke main kaise bada ho jaunga

Tum giraane mein lage the tumne socha hi nahi
Main gira toh masla ban kar khada ho jaunga

Mujhko chalne do akela hai abhi mera safar
Rasta roka gaya toh qafila ho jaunga

Saari duniya ki nazar mein hai mera ahad-e-wafa
Ek tere kehne se kya main bewafa ho jaunga

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 36