Tehzeeb Hafi Poetry

tum akeli nahin ho saheli


tum akeli nahin ho saheli

tum akeli nahin ho saheli

tum akeli nahin ho saheli jise apne veeraan ghar ko sajaana tha
aur ek shayar ke lafzon ko sach maan kar uski pooja me din kaatne thein
tum se pehle bhi aisa hi ek khwaab jhoothi tassalli me jaan de chuka hai
tumhein bhi vo ek din kahega ki vo tum se pehle kisi ko zabaan de chuka hai
vo to shayar hai
aur saaf zaahir hai shayar hawa ki hatheli pe likhi hui
vo paheli hai jisne abad aur azl ke dareechon ko uljha diya hai
vo to shayar hai shayar tamannaa ke sehraa me ram karne waala hiran hai
shobda shaas subaho ki pehli kiran hai adab gahe ulfat ka memaar hai
aur khud apne khwaabon ka gaddaar hai
vo to shayar hai shayar ko bas fikr loh kalam hai use koi dukh hai
kisi ka na gham hai vo to shayar hai shayar ko kya khauf marne se
shayar to khud shah savaar-e-azal hai use kis tarah taal saka hai koi
ki vo to atal hai main use jaanti hoon saheli vo samandar ki vo lehar hai
jo kinaaro se waapas palatte huye
meri khurdaari adiyon pe lagi ret bhi aur mujhe bhi baha le gaya
vo mere junglon ke darakhton pe baithi huyi shahad ki makkhiyaan bhi uda le gaya
usne mere badan ko chhua aur meri haddiyon se vo nazmen qaseedi
jinhen padhke mai kaanp uthati hoon aur sochti hoon ki ye masla dilbari ka nahin
khuda ki qasam kha ke kahti hoon vo jo bhi kehta rahe vo kisi ka nahin
saheli meri baat maano tum use jaanti hi nahin vo khuda-e-sipah-e-sukhan hai
aur tum ek patthar pe naakhun. se likhi hui usi ki hi ek nazm
-----------------------------------
"तुम अकेली नहीं हो सहेली"

तुम अकेली नहीं हो सहेली जिसे अपने वीरान घर को सजाना था
और एक शायर के लफ़्ज़ों को सच मान कर उसकी पूजा मे दिन काटने थें
तुम से पहले भी ऐसा ही एक ख़्वाब झूठी तस्सली मे जाँ दे चुका है
तुम्हें भी वो एक दिन कहेगा कि वो तुम से पहले किसी को ज़बाँ दे चुका है
वो तो शायर है
और साफ़ ज़ाहिर है, शायर हवा की हथेली पे लिखी हुई
वो पहेली है जिसने अबद और अज़ल के दरीचों को उलझा दिया है
वो तो शायर है, शायर तमन्ना के सेहरा मे रम करने वाला हिरन है
शोब्दा शास सुबहो की पहली किरन है, अदब गाहे उलफ़त का मेमार है
और ख़ुद अपने ख़्वाबों का गद्दार है
वो तो शायर है, शायर को बस फ़िक्र लोह कलम है, उसे कोई दुख है
किसी का न ग़म है, वो तो शायर है, शायर को क्या ख़ौफ़ मरने से?
शायर तो ख़ुद शाह सवार-ए-अज़ल है, उसे किस तरह टाल सकता है कोई
कि वो तो अटल है, मैं उसे जानती हूँ सहेली, वो समंदर की वो लहर है
जो किनारो से वापस पलटते हुये
मेरी खुरदरी एड़ियों पे लगी रेत भी और मुझे भी बहा ले गया
वो मेरे जंगलों के दरख़्तों पे बैठी हुयी शहद की मक्खियाँ भी उड़ा ले गया
उसने मेरे बदन को छुआ और मेरी हड्डियों से वो नज़्में क़सीदी
जिन्हें पढ़के मै काँप उठती हूँ और सोचती हूँ कि ये मसला दिलबरी का नहीं
ख़ुदा की क़सम खा के कहती हूँ, वो जो भी कहता रहे वो किसी का नहीं
सहेली मेरी बात मानो, तुम उसे जानती ही नहीं, वो ख़ुदा-ए-सिपाह-ए-सुख़न है
और तुम एक पत्थर पे नाखुन से लिखी हुई, उसी की ही एक नज़्म


Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 46