Amir Ameer Poetry

na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise


na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise

na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise
ki main kabhi bhi nahin raha tha ujaad aise

bura ho tera jo band rakhe the main ne ghar ke
to khol aaya baghair pooche kiwaad aise

jo meri rooh-o-badan ke taanke udhed dale
to meri nazaron pe apni nazaron ko gaar aise

samajh na paaya ki tod deta ya saath rakhta
ki is ta'alluq mein aa gai thi daraad aise

ai ishq rah jaaun farfarahaa ke yun kar de be-bas
so meri gardan mein apne daanton ko gaar aise

to meri aadat se meri fitrat hi ho chala hai
abhi bhi kehta hoon mujh ko tu na bigaad aise

ye mere baazu hi jang ka faisla karenge
pakad le talwaar aur mujh ko pachaad aise

tumhaare gham ka pahaad toota to phir ye jaana
pahaadon par hi to tootte hain pahaad aise

hazaar minnat hazaar minnat hazaar mehnat
tujhe manaane ko kar raha hoon jugaad aise
------------------------------------
न ग़ौर से देख मेरे दिल का कबाड़ ऐसे
कि मैं कभी भी नहीं रहा था उजाड़ ऐसे

बुरा हो तेरा जो बंद रखे थे मैं ने घर के
तो खोल आया बग़ैर पूछे किवाड़ ऐसे

जो मेरी रूह-ओ-बदन के टाँके उधेड़ डाले
तो मेरी नज़रों पे अपनी नज़रों को गाड़ ऐसे

समझ न पाया कि तोड़ देता या साथ रखता
कि इस तअ'ल्लुक़ में आ गई थी दराड़ ऐसे

ऐ इश्क़ रह जाऊँ फड़फड़ा के यूँ कर दे बे-बस
सो मेरी गर्दन में अपने दाँतों को गाड़ ऐसे

तो मेरी आदत से मेरी फ़ितरत ही हो चला है
अभी भी कहता हूँ मुझ को तू न बिगाड़ ऐसे

ये मेरे बाज़ू ही जंग का फ़ैसला करेंगे
पकड़ ले तलवार और मुझ को पछाड़ ऐसे

तुम्हारे ग़म का पहाड़ टूटा तो फिर ये जाना
पहाड़ों पर ही तो टूटते हैं पहाड़ ऐसे

हज़ार मिन्नत हज़ार मिन्नत हज़ार मेहनत
तुझे मनाने को कर रहा हूँ जुगाड़ ऐसे

Poet - Amir Ameer
Location: Rahim Yar Khan, Punjab
Views: 452