Ali Zaryoun Poetry

All time most famous ghazals of aAli zaryoun


All time most famous ghazals of aAli zaryoun

1- Ada-e-ishq hoon poori ana ke saath hoon main
Khud apne saath hoon yaani khuda ke saath hoon main

Mujawaraan-e-hawas tang hain ke yun kaise
Bagair sharm-o-haya bhi haya ke saath hoon main

Safar shuru' to hone de apne saath mera
Tu khud kahega ye kaisi bala ke saath hoon main

Main choo gaya to tera rang kaat daalunga
So apne aap se tujh ko bacha ke saath hoon main

Durood-bar-dil-e-wahshi salaam-bar-tap-e-ishq
Khud apni hamd khud apni sana ke saath hoon main

Yahi to farq hai mere aur un ke hal ke beech
Shikayatein hain unhein aur raza ke saath hoon main

Main awwaleen ki izzat mein aakhrin ka noor
Woh intiha hoon ke har ibtida ke saath hoon main

Dikhai doon bhi to kaise sunai doon bhi to kyun
Wara-e-naqsh-o-nawa hoon fana ke saath hoon main

Ba-hukm-e-yaar lewen qabz karne aati hai
Bujha rahi hai? Bujhaye hawa ke saath hoon main

Ye saabireen-e-mohabbat ye kaashifeen-e-junoon
Inhi ke sang inhi auliya ke saath hoon main

Kisi ke saath nahi hoon magar jamaal-e-ilaha
Tiri qism tire har mubtala ke saath hoon main

Zamane bhar ko pata hai main kis tareeq pe hoon
Sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath hoon main

Munafiqeen-e-tasawwuf ki maut hoon main 'Ali'
Har ek aseel har ek be-riya ke saath hoon main


2- Khwab ka khwab haqeeqat ki haqeeqat samjhein
Ye samajhna hai to phir pehle tareeqat samjhein

Main jawaban bhi jinhein gaali nahi deta woh log
Meri jaanib se ise khaas mohabbat samjhein

Main to mar kar bhi na bechunga kabhi yaar ka naam
Aap taajir hain numaish ko ibaadat samjhein

Main kisi beech ke raste se nahi pahucha yahan
Hasidon se ye guzaarish hai riyaazat samjhein

Mera be-saakhta-pan un ke liye khatra hai
Saakhta log mujhe kyun na museebat samjhein

Facebook waqt agar de to ye pyaare bachche
Apne khaamosh buzurgon ki shikayat samjhein

Pesh karta hoon main khud apni giraftari 'Ali'
Un se kehna ke mujhe zer-e-hiraasat samjhein


3- Tere aage sar-kashi dikhlaunga?
Tu to jo keh de wahi ban jaunga

Ai zaboori phool ai neele gulaab
Mat khafa ho main dobara aaunga

Saat sadiyan saat raatein saat din
Ek paheli hai kise samjhaunga

Yaar ho jaaye sahi tujh se mujhe
Tere qabze se tujhe chhudvaunga

Tum bahut maasoom ladki ho tumhein
Nazm bhejunga dua pahnwaunga

Koi dariya hai na jungle aur na baagh
Main yahan bilkul nahi reh paunga

Yaad karvaunga tujhe tere zakhm
Teri saari ne'matein ginvaunga

Chhodna us ke liye mushkil na ho
Mujh se mat kehna main ye kar jaunga

Main 'Ali'-Zaryoon hoon kaafi hai ye
Main Zafar-Iqbal kyun ban jaunga


4- Janaab-e-Shaikh ki harza-sarai jaari hai
Udhar se zulm idhar se duhayi jaari hai

Bichhad gaya hoon magar yaad karta rehta hoon
Kitaab chhod chuka hoon padhai jaari hai

Tire alawa kahin aur bhi mulavvis hoon
Tiri wafa se meri bewafai jaari hai

Woh kyun kahenge ke dono mein amn ho jaaye
Hamari jung se jin ki kamai jaari hai

Ajeeb khabt-e-Maseehai hai ke hairat hai
Mareez mar bhi chuka hai dawaai jaari hai


5- Sukoot-e-shaam ka hissa tu mat bana mujh ko
Main rang hoon so kisi mauj mein mila mujh ko

Main in dino tiri aankhon ke ikhtiyaar mein hoon
Jamaal-e-sabz kisi tajrabe mein la mujh ko

Main boodhe jism ki zillat utha nahi sakta
Kisi qadeem tajalli se kar naya mujh ko

Main apne hone ki takmeel chahta hoon sakhi
So ab badan ki hiraasat se kar riha mujh ko

Mujhe chiraagh ki hairat bhi ho chuki ma'loom
Ab is se aage koi rasta bata mujh ko

Us ism-e-khaas ki tarkeeb se bana hoon main
Mohabbat ke talaffuz se kar naya mujh ko

Daroon-e-seena jise dil samajh raha tha 'Ali'
Woh neeli aag hai ye ab pata chala mujh ko
----------------------------------------
1- अदा-ए-इश्क़ हूँ पूरी अना के साथ हूँ मैं
ख़ुद अपने साथ हूँ या'नी ख़ुदा के साथ हूँ मैं

मुजावरान-ए-हवस तंग हैं कि यूँ कैसे
बग़ैर शर्म-ओ-हया भी हया के साथ हूँ मैं

सफ़र शुरूअ' तो होने दे अपने साथ मिरा
तू ख़ुद कहेगा ये कैसी बला के साथ हूँ मैं

मैं छू गया तो तिरा रंग काट डालूँगा
सो अपने आप से तुझ को बचा के साथ हूँ मैं

दुरूद-बर-दिल-ए-वहशी सलाम-बर-तप-ए-इश्क़
ख़ुद अपनी हम्द ख़ुद अपनी सना के साथ हूँ मैं

यही तो फ़र्क़ है मेरे और उन के हल के बीच
शिकायतें हैं उन्हें और रज़ा के साथ हूँ मैं

मैं अव्वलीन की इज़्ज़त में आख़िरीन का नूर
वो इंतिहा हूँ कि हर इब्तिदा के साथ हूँ मैं

दिखाई दूँ भी तो कैसे सुनाई दूँ भी तो क्यूँ
वरा-ए-नक़्श-ओ-नवा हूँ फ़ना के साथ हूँ मैं

ब-हुक्म-ए-यार लवें क़ब्ज़ करने आती है
बुझा रही है? बुझाए हवा के साथ हूँ मैं

ये साबिरीन-ए-मोहब्बत ये काशिफ़ीन-ए-जुनूँ
इन्ही के संग इन्हीं औलिया के साथ हूँ मैं

किसी के साथ नहीं हूँ मगर जमाल-ए-इलाहा
तिरी क़िस्म तिरे हर मुब्तला के साथ हूँ मैं

ज़माने भर को पता है मैं किस तरीक़ पे हूँ
सभी को इल्म है किस दिल-रुबा के साथ हूँ मैं

मुनाफ़िक़ीन-ए-तसव्वुफ़ की मौत हूँ मैं 'अली'
हर इक असील हर इक बे-रिया के साथ हूँ मैं


2- ख़्वाब का ख़्वाब हक़ीक़त की हक़ीक़त समझें
ये समझना है तो फिर पहले तरीक़त समझें

मैं जवाबन भी जिन्हें गाली नहीं देता वो लोग
मेरी जानिब से इसे ख़ास मोहब्बत समझें

मैं तो मर कर भी न बेचूँगा कभी यार का नाम
आप ताजिर हैं नुमाइश को इबादत समझें

मैं किसी बीच के रस्ते से नहीं पहुँचा यहाँ
हासिदों से ये गुज़ारिश है रियाज़त समझें

मेरा बे-साख़्ता-पन उन के लिए ख़तरा है
साख़्ता लोग मुझे क्यूँ न मुसीबत समझें

फेसबुक वक़्त अगर दे तो ये प्यारे बच्चे
अपने ख़ामोश बुज़ुर्गों की शिकायत समझें

पेश करता हूँ मैं ख़ुद अपनी गिरफ़्तारी 'अली'
उन से कहना कि मुझे ज़ेर-ए-हिरासत समझें 


3- तेरे आगे सर-कशी दिखलाउँगा?
तू तो जो कह दे वही बन जाऊँगा

ऐ ज़बूरी फूल ऐ नीले गुलाब
मत ख़फ़ा हो मैं दोबारा आऊँगा

सात सदियाँ सात रातें सात दिन
इक पहेली है किसे समझाऊँगा

यार हो जाए सही तुझ से मुझे
तेरे क़ब्ज़े से तुझे छुड़वाऊंगा

तुम बहुत मा'सूम लड़की हो तुम्हें
नज़्म भेजूँगा दुआ पहनाऊँगा

कोई दरिया है न जंगल और न बाग़
मैं यहाँ बिल्कुल नहीं रह पाऊँगा

याद करवाउँगा तुझ को तेरे ज़ख़्म
तेरी सारी ने'मतें गिनवाउँगा

छोड़ना उस के लिए मुश्किल न हो
मुझ से मत कहना मैं ये कर जाऊँगा

मैं 'अली'-ज़र्यून हूँ काफ़ी है ये
मैं ज़फ़र-इक़बाल क्यूँ बन जाऊँगा


4- जनाब-ए-शैख़ की हर्ज़ा-सराई जारी है
उधर से ज़ुल्म इधर से दुहाई जारी है

बिछड़ गया हूँ मगर याद करता रहता हूँ
किताब छोड़ चुका हूँ पढ़ाई जारी है

तिरे अलावा कहीं और भी मुलव्विस हूँ
तिरी वफ़ा से मिरी बेवफ़ाई जारी है

वो क्यूँ कहेंगे कि दोनों में अम्न हो जाए
हमारी जंग से जिन की कमाई जारी है

अजीब ख़ब्त-ए-मसीहाई है कि हैरत है
मरीज़ मर भी चुका है दवाई जारी है


5- सुकूत-ए-शाम का हिस्सा तू मत बना मुझ को
मैं रंग हूँ सो किसी मौज में मिला मुझ को

मैं इन दिनों तिरी आँखों के इख़्तियार में हूँ
जमाल-ए-सब्ज़ किसी तज्रबे में ला मुझ को

मैं बूढे जिस्म की ज़िल्लत उठा नहीं सकता
किसी क़दीम तजल्ली से कर नया मुझ को

मैं अपने होने की तकमील चाहता हूँ सखी
सो अब बदन की हिरासत से कर रिहा मुझ को

मुझे चराग़ की हैरत भी हो चुकी मा'लूम
अब इस से आगे कोई रास्ता बता मुझ को

उस इस्म-ए-ख़ास की तरकीब से बना हूँ मैं
मोहब्बतों के तलफ़्फ़ुज़ से कर नया मुझ को

दरून-ए-सीना जिसे दिल समझ रहा था 'अली'
वो नीली आग है ये अब पता चला मुझ को


Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 342