Afkar Alvi Poetry

Murshid please aaj mujhe waqt deejie


Murshid please aaj mujhe waqt deejie

murshid
murshid please aaj mujhe waqt deejie
murshid main aaj aap ko dukhde sunaaunga
murshid hamaare saath bada zulm ho gaya
murshid hamaare desh mein ik jang chhid gayi
murshid sabhi shareef sharaafat se mar gaye
murshid hamaare zehan girftaar ho gaye
murshid hamaari soch bhi baazaari ho gayi
murshid hamaari fauj kya ladti hareef se
murshid use to ham se hi furqat nahin mili
murshid bahut se maar ke ham khud bhi mar gaye
murshid hamein zirh nahin talwaar di gayi
murshid hamaari zaat pe bohtan chad gaye
murshid hamaari zaat palandon mein dab gayi
murshid hamaare vaaste bas ek shakhs tha
murshid vo ek shakhs bhi taqdeer le udri
murshid khuda ki zaat pe andha yaqeen tha
afsos ab yaqeen bhi andha nahin raha
murshid mohabbaton ke nataaij kahaan gaye
murshid meri to zindagi barbaad ho gayi
murshid hamaare gaav ke bacchon ne bhi kaha
murshid koon aakhi aa ke sada haal dekh wajan
murshid hamaara koi nahin ek aap hain
ye main bhi jaanta hoon ke achha nahin hua
murshid main jal raha hoon hawaaein na deejie
murshid azala keejiye duaaein na deejie
murshid khamosh rah ke pareshaan na keejiye
murshid main rona rote hue andha ho gaya
aur aap hain ke aap ko ehsaas tak nahin
hah sabr kijeye sabr ka fal meetha hota hai
murshid main bhonkdai haan jo kai she vi nahin bachi
murshid wahaan yazidiyat aage nikal gayi
aur paarsa namaaz ke peeche pade rahe
murshid kisi ke haath mein sab kuchh to hai magar
murshid kisi ke haath mein kuchh bhi nahin raha
murshid main lad nahin saka par cheekhta raha
khaamosh rah ke zulm ka haami nahin bana
murshid jo mere yaar bhala chhodein rahne den
achhe the jaise bhi the khuda un ko khush rakhen
murshid hamaari raunakein doori nigal gayi
murshid hamaari dosti subhaat kha gaye
murshid ai photo pichhle maheene chhikaya ham
hoon mekun dekh lagda ai jo ai photo meda ai
ye kis ne khel khel mein sab kuchh ult diya
murshid ye kya ke mar ke hamein zindagi mile
murshid hamaare virse mein kuchh bhi nahin so ham
bemausmi wafaat ka dukh chhod jaayenge
murshid kisi ki zaat se koi gila nahin
apna naseeb apni kharaabi se mar gaya
murshid vo jis ke haath mein har ek cheez hai
shaayad hamaare saath wahi haath kar gaya
murshid duaaein chhod tera pol khul gaya
tu bhi meri tarah hai tere bas mein kuchh nahin
insaan mera dard samajh sakte hi nahin
main apne saare zakhm khuda ko dikhaaunga
ai rabbe kaaynaat idhar dekh main fakeer
jo teri sarparasti mein barbaad ho gaya
parvardigaar bol kahaan jaayen tere log
tujh tak pahunchne ko bhi wasila zaroori hai
parvardigaar aave ka aawa bigad gaya
ye kisko tere deen ke theke diye gaye
har shakhs apne baap ke firke mein band hai
parvardigaar tere sahife nahin khule
kuchh aur bhej tere guzishta sahifon se
maqsad hi hal hue hain masaail nahin hue
jo ho gaya so ho gaya ab mukhtiyaari cheen
parvardigaar apne khaleefe ko rassi daal
jo tere paas waqt se pehle pahunch gaye
parvardigaar unke masaail ka hal nikaal
parvardigaar sirf bana dena kaafi nain
takhleeq karke de to phir dekhbhaal kar
ham log teri kun ka bharam rakhne aaye hain
parvardigaar yaar hamaara khayal kar
------------------------------------------
मुर्शिद
मुर्शिद प्लीज़ आज मुझे वक़्त दीजिये
मुर्शिद मैं आज आप को दुखड़े सुनाऊँगा
मुर्शिद हमारे साथ बड़ा ज़ुल्म हो गया
मुर्शिद हमारे देश में इक जंग छिड़ गयी
मुर्शिद सभी शरीफ़ शराफ़त से मर गए
मुर्शिद हमारे ज़ेहन गिरफ़्तार हो गए
मुर्शिद हमारी सोच भी बाज़ारी हो गयी
मुर्शिद हमारी फौज क्या लड़ती हरीफ़ से
मुर्शिद उसे तो हम से ही फ़ुर्सत नहीं मिली
मुर्शिद बहुत से मार के हम ख़ुद भी मर गए
मुर्शिद हमें ज़िरह नहीं तलवार दी गयी
मुर्शिद हमारी ज़ात पे बोहतान चढ़ गए
मुर्शिद हमारी ज़ात पलांदों में दब गयी
मुर्शिद हमारे वास्ते बस एक शख़्स था
मुर्शिद वो एक शख़्स भी तक़दीर ले उड़ी
मुर्शिद ख़ुदा की ज़ात पे अंधा यक़ीन था
अफ़्सोस अब यक़ीन भी अंधा नहीं रहा
मुर्शिद मुहब्बतों के नताइज कहाँ गए
मुर्शिद मेरी तो ज़िन्दगी बर्बाद हो गयी
मुर्शिद हमारे गाँव के बच्चों ने भी कहा
मुर्शिद कूँ आखि आ के सदा हाल देख वजं
मुर्शिद हमारा कोई नहीं एक आप हैं
ये मैं भी जानता हूँ के अच्छा नहीं हुआ
मुर्शिद मैं जल रहा हूँ हवाएँ न दीजिये
मुर्शिद अज़ाला कीजिये दुआएँ न दीजिये
मुर्शिद ख़मोश रह के परेशाँ न कीजिये
मुर्शिद मैं रोना रोते हुए अंधा हो गया
और आप हैं के आप को एहसास तक नहीं
हह! सब्र कीजे सब्र का फ़ल मीठा होता है
मुर्शिद मैं भौंकदै हाँ जो कई शे वि नहीं बची
मुर्शिद वहां यज़ीदियत आगे निकल गयी
और पारसा नमाज़ के पीछे पड़े रहे
मुर्शिद किसी के हाथ में सब कुछ तो है मगर
मुर्शिद किसी के हाथ में कुछ भी नहीं रहा
मुर्शिद मैं लड़ नहीं सका पर चीख़ता रहा
ख़ामोश रह के ज़ुल्म का हामी नहीं बना
मुर्शिद जो मेरे यार भला छोड़ें रहने दें
अच्छे थे जैसे भी थे ख़ुदा उन को ख़ुश रखें
मुर्शिद हमारी रौनकें दूरी निगल गयी
मुर्शिद हमारी दोस्ती सुब्हात खा गए
मुर्शिद ऐ फोटो पिछले महीने छिकाया हम
हूँ मेकुं देख लगदा ऐ जो ऐ फोटो मेदा ऐ
ये किस ने खेल खेल में सब कुछ उलट दिया
मुर्शिद ये क्या के मर के हमें ज़िन्दगी मिले
मुर्शिद हमारे विरसे में कुछ भी नहीं सो हम
बेमौसमी वफ़ात का दुख छोड़ जाएंगे
मुर्शिद किसी की ज़ात से कोई गिला नहीं
अपना नसीब अपनी ख़राबी से मर गया
मुर्शिद वो जिस के हाथ में हर एक चीज़ है
शायद हमारे साथ वही हाथ कर गया
मुर्शिद दुआएँ छोड़ तेरा पोल खुल गया
तू भी मेरी तरह है तेरे बस में कुछ नहीं
इंसान मेरा दर्द समझ सकते ही नहीं
मैं अपने सारे ज़ख्म ख़ुदा को दिखाऊँगा
ऐ रब्बे कायनात! इधर देख मैं फ़कीर
जो तेरी सरपरस्ती में बर्बाद हो गया
परवरदिगार बोल कहाँ जाएँ तेरे लोग
तुझ तक पहुँचने को भी वसीला ज़रूरी है
परवरदिगार आवे का आवा बिगड़ गया
ये किसको तेरे दीन के ठेके दिए गये
हर शख़्स अपने बाप के फिरके में बंद है
परवरदिगार तेरे सहीफे नहीं खुले
कुछ और भेज तेरे गुज़िश्ता सहीफों से
मक़सद ही हल हुए हैं मसाइल नहीं हुए
जो हो गया सो हो गया, अब मुख़्तियारी छीन
परवरदिगार अपने ख़लीफे को रस्सी डाल
जो तेरे पास वक़्त से पहले पहुँच गये
परवरदिगार उनके मसाइल का हल निकाल
परवरदिगार सिर्फ़ बना देना काफ़ी नइँ
तख़्लीक करके दे तो फिर देखभाल कर
हम लोग तेरी कुन का भरम रखने आए हैं
परवरदिगार यार! हमारा ख़याल कर

Poet - Afkar Alvi
Location: Pakistan
Views: 21