Umair Najmi Poetry

Kaha jo maine galat kar rahi ho chun ke mujhe


Kaha jo maine galat kar rahi ho chun ke mujhe

kaha jo maine galat kar rahi ho chun ke mujhe
achaanak usne kaha chup ye baat sun ke mujhe

koi junoon hawa mein uda de mera vujood
koi asa ho jo rooi ki tarah dhunke mujhe

kisi ne kah ke jab ik haan basaaya dil ka jahaan
qasam khuda ki samajh aaye maani kun ke mujhe

udhed de gar iraada nahin pahanne ka
ye kya ki ek taraf rakh diya hai bun ke mujhe

shajar se kaat liya hai to apni mez bana
agar nahin to phir aane de kaam ghun ke mujhe

kal ek rail ki chik chik se rukn yaad aaye
mafailun failaatun mafailun ke mujhe

tumhaare lautne tak kuchh bura na ho gaya ho
na saath chhodna mujh jaise bad-shugun ke mujhe

faqeer log samajh aayein ya na aayein umair
koi samajhta nahin hai siwaye un ke mujhe
--------------------------------
कहा जो मैंने ग़लत कर रही हो चुन के मुझे
अचानक उसने कहा चुप ये बात सुन के मुझे

कोई जुनून हवा में उड़ा दे मेरा वजूद
कोई असा हो जो रूई की तरह धुनके मुझे

किसी ने कह के जब इक हाँ बसाया दिल का जहाँ
क़सम ख़ुदा की समझ आए मआनी कुन के मुझे

उधेड़ दे गर इरादा नहीं पहनने का
ये क्या कि एक तरफ रख दिया है बुन के मुझे

शजर से काट लिया है तो अपनी मेज़ बना
अगर नहीं तो फिर आने दे काम घुन के मुझे

कल एक रेल की छिक छिक से रुक्न याद आए
मफ़ाइलुन फ़इलातुन मफ़ाइलुन के मुझे

तुम्हारे लौटने तक कुछ बुरा न हो गया हो
न साथ छोड़ना मुझ जैसे बद-शगुन के मुझे

फ़क़ीर लोग समझ आएँ या न आएँ 'उमैर'
कोई समझता नहीं है सिवाय उन के मुझे


Poet - Umair Najmi
Location: Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan
Views: 1151