Ahmed Faraz Poetry

aur faraz chāhiyen kitni mohabbaten tujhe


aur faraz chāhiyen kitni mohabbaten tujhe

उस ने सुकूत-ए-शब में भी अपना पयाम रख दिया
हिज्र की रात बाम पर माह-ए-तमाम रख दिया

आमद-ए-दोस्त की नवेद कू-ए-वफ़ा में आम थी
मैं ने भी इक चराग़ सा दिल सर-ए-शाम रख दिया

शिद्दत-ए-तिश्नगी में भी ग़ैरत-ए-मय-कशी रही
उस ने जो फेर ली नज़र मैं ने भी जाम रख दिया

उस ने नज़र नज़र में ही ऐसे भले सुख़न कहे
मैं ने तो उस के पाँव में सारा कलाम रख दिया

देखो ये मेरे ख़्वाब थे देखो ये मेरे ज़ख़्म हैं
मैं ने तो सब हिसाब-ए-जाँ बर-सर-ए-आम रख दिया

अब के बहार ने भी कीं ऐसी शरारतें कि बस
कब्क-ए-दरी की चाल में तेरा ख़िराम रख दिया

जो भी मिला उसी का दिल हल्क़ा-ब-गोश-ए-यार था
उस ने तो सारे शहर को कर के ग़ुलाम रख दिया

और 'फ़राज़' चाहिएँ कितनी मोहब्बतें तुझे
माओं ने तेरे नाम पर बच्चों का नाम रख दिया

---------------------------------------------------

us ne sukut-e-shab men bhi apna payam rakh diya
hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya

amad-e-dost ki naved ku-e-vafa men aam thi
main ne bhi ik charaġh sa dil sar-e-sham rakh diya 

shiddat-e-tishnagi men bhi ġhairat-e-mai-kashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya 

us ne nazar nazar men hi aise bhale suḳhan kahe
main ne to us ke paanv men saara kalam rakh diya 

dekho ye mere ḳhvab the dekho ye mere zaḳhm hain
main ne to sab hisab-e-jan bar-sar-e-am rakh diya 

ab ke bahar ne bhi kiin aisi shararten ki bas
kabk-e-dari ki chaal men tera ḳhiram rakh diya 

jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha
us ne to saare shahr ko kar ke ġhulam rakh diya 

aur 'faraz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe
maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diya 

Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 2898