Nida Fazli Poetry

kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta


kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta

kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zamin kahin asman nahin milta

tamam shahr men aisa nahin ḳhulus na ho
jahan umiid ho is ki vahan nahin milta

kahan charagh jalaen kahan gulab rakhen
chhaten to milti hain lekin makan nahin milta

ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain
zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta

charaġh jalte hi bina.i bujhne lagti hai
ḳhud apne ghar men hi ghar ka nishan nahīn milta
-----------------------------------------------
कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता,
कहीं ज़मीन, कहीं आसमान नहीं मिलता।

तमाम शहर में ऐसा नहीं ख़लूस न हो,
जहाँ उम्मीद हो इसकी वहाँ नहीं मिलता।

कहाँ चराग़ जलाएँ, कहाँ गुलाब रखें,
छतें तो मिलती हैं, लेकिन मकाँ नहीं मिलता।

यह क्या अज़ाब है, सब अपने आप में गुम हैं,
ज़बान मिली है मगर हमज़बान नहीं मिलता।

चराग़ जलते ही बिना ही बुझने लगती है,
ख़ुद अपने घर में ही घर का निशान नहीं मिलता।


Poet - Nida Fazli
Location: Delhi, India
Views: 124