Parveen Shakir Poetry

wahi parind ki kal goshaageer aisa tha


wahi parind ki kal goshaageer aisa tha

wahi parind ki kal goshaageer aisa tha
palak jhapakte hawa mein lakeer aisa tha

use to dost ke haathon ki soojhboojh bhi thi
khata na hota kisi taur teer aisa tha

payaam dene ka mausam na hamnava paakar
palat gaya dabey paanv safeer aisa tha

kisi bhi shaakh ke peeche panaah leti main
mujhe vo tod hi leta shareer aisa tha

hasi ke rang bahut mehrbaan the lekin
udaasiyon se hi nibhti khameer aisa tha

tera kamaal ki paon mein bediyaan daalen
ghazal-e-shauq kahaan ka aseer aisa tha 
--------------------------------------
वही परिंद कि कल गोशागीर ऐसा था
पलक झपकते हवा में लकीर, ऐसा था

उसे तो दोस्त के हाथों की सूझबूझ भी थी
ख़ता न होता किसी तौर, तीर ऐसा था

पयाम देने का मौसम, न हमनवा पाकर
पलट गया दबे पाँव, सफ़ीर ऐसा था

किसी भी शाख़ के पीछे पनाह लेती मैं
मुझे वो तोड़ ही लेता, शरीर ऐसा था

हँसी के रंग बहुत मेहरबान थे लेकिन
उदासियों से ही निभती, ख़मीर ऐसा था

तेरा कमाल कि पाओं में बेड़ियाँ डालें
ग़ज़ाल-ए-शौक़ कहाँ का असीर ऐसा था

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 529