Zia Mazkoor Poetry

Aise us haath se gire ham log


Aise us haath se gire ham log

aise us haath se gire ham log
TuTte TuTte bache ham log

apna qissa suna raha hai koi
aur divar ke bane ham log

vasl ke bhed kholti miTTi
chadaren jhaḌte hue ham log

us kabutar ne apni marzi ki
siTiyan marte rahe ham log

puchhne par koi nahin bola
kaise darvaza kholte ham log

hafize ke liye dava khaai
aur bhi bhulne lage ham log

ain mumkin tha lauT aata vo
us ke pichhe nahin gae ham log
---------------------------------
ऐसे उस हाथ से गिरे हम लोग
टूटे टूटे बचे हम लोग

अपना क़िस्सा सुना रहा है कोई
और दीवार के बने हम लोग

वस्ल के भेद खोलती मिट्टी
चादरें झाड़ते हुए हम लोग

उस कबूतर ने अपनी मरज़ी की
सीटियां मारते रहे हम लोग

पूछने पर कोई नहीं बोला
कैसे दरवाज़ा खोलते हम लोग

हाफिज़े के लिए दवा खाई
और भी भूलने लगे हम लोग

ऐन मुमकिन था लौट आता वो
उस के पीछे नहीं गए हम लोग


Poet - Zia Mazkoor
Location: Bahawalpur, Pakistan
Views: 312