1. ik khat mujhe likhna hai..

ik khat mujhe likhna hai
dilli mein base dil ko
ik din mujhe chakhna hai
khaaja teri nagri ka
khusro teri chaukhat se
ik shab mujhe peeni hai
sheereeni sukhanvaali
khushboo ae watan waali
ghalib tere markad ko
ik sher sunaana hai
ik saanwali rangat ko
chupke se bataana hai
main dil bhi hoon dilli bhi
urdu bhi hoon hindi bhi
ik khat mujhe likhna hai
mumkin hai kabhi likkhoon
mumkin hai abhi likkhoon
---------------------------------
इक ख़त मुझे लिखना है
दिल्ली में बसे दिल को
इक दिन मुझे चखना है
खाजा तेरी नगरी का
खुसरो तेरी चौखट से
इक शब मुझे पीनी है
शीरीनी सुख़नवाली
खुशबू ए वतन वाली
ग़ालिब तेरे मरकद को
इक शेर सुनाना है
इक सांवली रंगत को
चुपके से बताना है
मैं दिल भी हूँ दिल्ली भी
उर्दू भी हूँ हिन्दी भी
इक ख़त मुझे लिखना है
मुमकिन है कभी लिक्खूँ
मुमकिन है अभी लिक्खूँ
Read more

2. main ishq alast parast hoon..

main ishq alast parast hoon
kholoon roohon ke bhed
mera naam sunhara saanwara
ek sundarta ka ved

main khurchu nakhoon shauk se
ek shabd bhari deewaar
vo shabd bhari deewaar hai
ye rang saja sansaar

hai 114 soorate bas ik soorat ka noor
vo soorat sone yaar ki
jo ahsan aur bharpoor
man mukt hua har lobh se
ab kya chinta kya dukh
rahe hardam yaar nigaah mein
mere nainan sukh hi sukh

ye ped parinde titliyaan
meri rooh ke saaye hain
ye jitne ghaayal log hain
mere maa-jaaye hai

meri aankh kalander qaadri
mera seena hai bagdaad
mera maatha din ajmer ka
dil paak patan aabaad

main ab apna avtaar hoon
main ab apni pehchaan
main din dharm se maavra
main hoon hazrat insaan 
----------------------
मैं इश्क अलस्त परस्त हूं
खोलूं रूहों के भेद
मेरा नाम सुनहरा सांवरा
एक सुंदरता का वेद

मैं खुरचु नाखुने शौक से
एक शब्द भरी दीवार
वो शब्द भरी दीवार है
ये रंग सजा संसार

है 114 सूरते बस इक सूरत का नूर
वो सूरत सोने यार की
जो अहसन और भरपूर
मन मुक्त हुआ हर लोभ से
अब क्या चिंता क्या दुख
रहे हरदम यार निगाह में
मेरे नैनन सुख ही सुख

ये पेड़, परिंदे, तितलियां
मेरी रूह के साए हैं
ये जितने घायल लोग हैं
मेरे माँ-जाये है

मेरी आंख कलंदर कादरी
मेरा सीना है बगदाद
मेरा माथा दिन अजमेर का
दिल पाक पतन आबाद

मैं अब अपना अवतार हूं
मैं अब अपनी पहचान
मैं दिन धर्म से मावरा
मैं हूं हजरत इन्सान

Read more

3. mard-e-mohabbat..

mard-e-mohabbat
us ki dictionary mein mard ka matlab na-mard likha hua hai
khush-qismat mard aur auratein ek doosre ke dil ki pasand hote hain
uski bad-qismati ki poshaak par sab se bada daagh yahi hai ke vo kuchh na-mardon ke niche hisse ko pasand hai
sivaae ek mard ke
sivaae ek shakhs ke
use kisi mard ke dil ne nahin chaaha
jis ne use us lamhe bhi sirf dekha
jo lamha mard aur na-mard hone ka faisla kar diya karta hai
mard apni mohabbat ke liye be-shumaar nazmein likh saka hai
magar ek baar bhi apni mohabbat ko gaali nahin de saka
bhale uski mahbooba jism-farosh hi kyun na ho
mard ke liye devi hoti hai
azeem ladkiyon aur izzat mand mardon ke dil salaamat rahein
jo dhoke ki talwaaron se kaat diye gaye
magar apni mohabbat ki be-hurmati par taiyaar na hua
ek mard ka lahu-luhaan dil jise bad-dua ki poori ijaazat hai
vo phir bhi dua mein yahi kehta hai
maula use uske naam ka saaya naseeb kar
vo samajh sake ki mohabbat aur mard ki meem ek hi mitti se bani hai
mohabbat aur mard ke saath huroof mil kar saath banaate hain
lekin use ye ramz koi mard hi bata saka hai
uski dictionary aur zindagi mein koi mard nahin hai 
---------------------------------------------------
मर्द-ए-मोहब्बत
उस की डिक्शनरी में मर्द का मतलब "ना-मर्द" लिखा हुआ है
ख़ुश-क़िस्मत मर्द और औरतें एक दूसरे के दिल की पसंद होते हैं
उसकी बद-क़िस्मती की पोशाक पर सब से बड़ा दाग़ यही है के वो कुछ ना-मर्दों के निचले हिस्से को पसंद है!
सिवाए एक मर्द के
सिवाए एक शख़्स के
उसे किसी मर्द के दिल ने नहीं चाहा
जिस ने उसे उस लम्हें भी सिर्फ़ देखा
जो लम्हा मर्द और ना-मर्द होने का फ़ैसला कर दिया करता है
मर्द अपनी मोहब्बत के लिए बे-शुमार नज़्में लिख सकता है
मगर एक बार भी अपनी मोहब्बत को गाली नहीं दे सकता
भले उसकी महबूबा जिस्म-फ़रोश ही क्यों ना हो
मर्द के लिए देवी होती है
अज़ीम लड़कियों और इज़्ज़त मंद मर्दों के दिल सलामत रहें
जो धोके की तलवारों से काट दिए गए
मगर अपनी मोहब्बत की बे-हुर्मती पर तैयार न हुआ
एक मर्द का लहू-लुहान दिल जिसे बद-दुआ की पूरी इजाज़त है
वो फिर भी दुआ में यही कहता है
मौला उसे उसके नाम का साया नसीब कर
वो समझ सके कि मोहब्बत और मर्द की "मीम" एक ही मिट्टी से बनी है
मोहब्बत और मर्द के सात हुरूफ़ मिल कर "साथ" बनाते हैं
लेकिन उसे ये रम्ज़ कोई मर्द ही बता सकता है
उसकी डिक्शनरी और ज़िन्दगी में कोई मर्द नहीं है

Read more