1. dost ke naam khat..

dost ke naam khat
tumne haal poocha hai
haalat-e-mohabbat mein
haal ka bataana kya
dil sisak raha ho to
zakham ka chhupaana kya
tum jo pooch baithe ho
kuchh to ab bataana hai
baat ek bahaana hai
tumne haal poocha hai
ik diya jalata hoon
theek hai bataata hoon
roz uski yaadon mein
door tak chale jaana
jo bhi tha kaha usne
apne saath dohraana
saans jab ruke to phir
apni marti aankhon mein
uski shakl le aana
aur zindagi paana
roz aise hota hai
kuchh purane message hain
jinmein uski baatein hain
kuchh tabeel subhe hain
kuchh qadeem raatein hain
maine uski baaton mein
zindagi guzaari hai
zindagi mitaane ka
hausla nahin mujhmein
ek ek lafz uska
saans mein pirooya hai
rooh mein samoya hai
uske jitne message hai
roz khol leta hoon
usse kah nahin paata
khud se bol leta hoon
uske pej par ja kar
roz dekhta hoon main
aaj kitne logon ne
uski pairavi ki hai
aur sochta hoon main
ye naseeb waale hain
usko dekh sakte hain
usse baat karte hain
ye ijaazaton waale
mujhse kitne behtar hain
main to daagh tha koi
jo mita diya usne
gar mita diya usne
theek hi kiya usne
tumne haal poocha tha
lo bata diya maine
jo bhi kuchh bataaya hai
usko mat bata dena
padh ke ro paro to phir
in tamaam lafzon ko
bas gale laga lena
vo meri mohabbat hai
aur sada rahegi vo
jab nahin rahoonga to
ek din kahegi vo
tum ali faqat tum the
jisne mujhko chaaha tha
jisne mere maathe ko
choom kar bataaya tha
tum dua ka chehra ho
tum haya ka pahra ho
main to tab nahin hoonga
par meri sabhi nazmein
uski baat sun lenge
tum bhi muskuraa dena
phir bahut mohabbat se
usko sab bata dena
uske narm haathon mein
mera khat thama dena
lo ye khat tumhaara hai
aur uski jaanib se
vo jo bas tumhaara tha
aaj bhi tumhaara hai
-----------------------
"दोस्त के नाम ख़त"
तुमने हाल पूछा है
हालत-ए-मोहब्बत में
हाल का बताना क्या!
दिल सिसक रहा हो तो
ज़ख़्म का छुपाना क्या!
तुम जो पूछ बैठे हो
कुछ तो अब बताना है
बात एक बहाना है
तुमने हाल पूछा है
इक दिया जलाता हूँ
ठीक है बताता हूँ
रोज़ उसकी यादों में
दूर तक चले जाना
जो भी था कहा उसने
अपने साथ दोहराना
साँस जब रुके तो फिर
अपनी मरती आँखों में
उसकी शक्ल ले आना
और ज़िन्दगी पाना
रोज़ ऐसे होता है
कुछ पुराने मैसेज हैं
जिनमें उसकी बातें हैं
कुछ तबील सुबहे हैं
कुछ क़दीम रातें हैं
मैंने उसकी बातों में
ज़िन्दगी गुज़ारी है
ज़िन्दगी मिटाने का
हौसला नहीं मुझमें
एक एक लफ़्ज़ उसका
साँस में पिरोया है,
रूह में समोया है
उसके जितने मैसेज है
रोज़ खोल लेता हूँ
उससे कह नहीं पाता
ख़ुद से बोल लेता हूँ
उसके पेज पर जा कर
रोज़ देखता हूँ मैं
आज कितने लोगों ने
उसकी पैरवी की है
और सोचता हूँ मैं
ये नसीब वाले हैं
उसको देख सकते हैं
उससे बात करते हैं
ये इजाज़तों वाले
मुझसे कितने बेहतर हैं
मैं तो दाग़ था कोई
जो मिटा दिया उसने
गर मिटा दिया उसने
ठीक ही किया उसने,
तुमने हाल पूछा था
लो बता दिया मैंने
जो भी कुछ बताया है
उसको मत बता देना
पढ़ के रो पड़ो तो फिर
इन तमाम लफ़्ज़ों को
बस गले लगा लेना,
वो मेरी मोहब्बत है
और सदा रहेगी वो
जब नहीं रहूँगा तो
एक दिन कहेगी वो
तुम अली फ़क़त तुम थे
जिसने मुझको चाहा था
जिसने मेरे माथे को
चूम कर बताया था
तुम दुआ का चेहरा हो
तुम हया का पहरा हो
मैं तो तब नहीं हूँगा
पर मेरी सभी नज़्में
उसकी बात सुन लेंगी
तुम भी मुस्कुरा देना
फिर बहुत मोहब्बत से
उसको सब बता देना
उसके नर्म हाथों में
मेरा ख़त थमा देना
लो ये ख़त तुम्हारा है
और उसकी जानिब से
वो जो बस तुम्हारा था
आज भी तुम्हारा है
Read more

2. shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte ho..

shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte ho
saamne aake hukoomat bhi nahi karte ho

tumse kya baat kare kaun kahaan qatl hua
tum to is zulm pe hairat bhi nahi karte ho

ab mere haal pe kyun tumko pareshaani hai
ab to tum mujhse muhabbat bhi nahi karte ho

pyaar karne ki sanad kaise tumhe jaari karoon
tum abhi theek se nafrat bhi nahi karte ho

mashvare hans ke diya karte the deewaanon ko
kya hua ab to naseehat bhi nahi karte ho
------------------------------------
शाहसाज़ी में रियायत भी नही करते हो
सामने आके हुकूमत भी नही करते हो

तुमसे क्या बात करे कौन कहाँ क़त्ल हुआ
तुम तो इस ज़ुल्म पे हैरत भी नही करते हो

अब मेरे हाल पे क्यों तुमको परेशानी है
अब तो तुम मुझसे मुहब्बत भी नही करते हो

प्यार करने की सनद कैसे तुम्हे जारी करूँ
तुम अभी ठीक से नफ़रत भी नही करते हो

मश्वरे हँस के दिया करते थे दीवानों को
क्या हुआ अब तो नसीहत भी नही करते हो
Read more

3. tum jo kahte ho sunoonga jo pukaaroge mujhe..

tum jo kahte ho sunoonga jo pukaaroge mujhe
jaanta hoon ki tum hi gher ke maaroge mujhe

main bhi ik shakhs pe ik shart laga baitha tha
tum bhi ik roz isee khel mein haaroge mujhe

eed ke din ki tarah tumne mujhe zaaya kiya
main samajhta tha muhabbat se guzaaroge mujhe 
------------------------------------
तुम जो कहते हो सुनूँगा जो पुकारोगे मुझे
जानता हूँ कि तुम ही घेर के मारोगे मुझे

मैं भी इक शख़्स पे इक शर्त लगा बैठा था
तुम भी इक रोज़ इसी खेल में हारोगे मुझे

ईद के दिन की तरह तुमने मुझे ज़ाया किया
मैं समझता था मुहब्बत से गुज़ारोगे मुझे
Read more

4. jis tarah waqt guzarne ke liye hota hai..

jis tarah waqt guzarne ke liye hota hai
aadmi shakl pe marne ke liye hota hai

teri aankhon se mulaqaat hui tab ye khula
doobne waala ubharne ke liye hota hai

ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan
husn to khair mukarne ke liye hota hai

aankh hoti hai kisi raah ko takne ke liye
dil kisi paanv pe dharne ke liye hota hai

dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab
jab bhi hota hai ye harne ke liye hota hai

koi basti ho ujhadne ke liye basti hai
koi mazma ho bikharna ke liye hota hai 
-------------------------------------
जिस तरह वक़्त गुज़रने के लिए होता है
आदमी शक्ल पे मरने के लिए होता है

तेरी आँखों से मुलाक़ात हुई तब ये खुला
डूबने वाला उभरने के लिए होता है

इश्क़ क्यूँ पीछे हटा बात निभाने से मियाँ
हुस्न तो ख़ैर मुकरने के लिए होता है

आँख होती है किसी राह को तकने के लिए
दिल किसी पाँव पे धरने के लिए होता है

दिल की दिल्ली का चुनाव ही अलग है साहब
जब भी होता है ये हरने के लिए होता है

कोई बस्ती हो उजड़ने के लिए बसती है
कोई मज़मा हो बिखरने के लिए होता है

Read more

5. paagal kaise ho jaate hain..

paagal kaise ho jaate hain
dekho aise ho jaate hain

khwaabon ka dhanda karti ho
kitne paise ho jaate hain

duniya sa hona mushkil hai
tere jaise ho jaate hain

mere kaam khuda karta hai
tere vaise ho jaate hain
-----------------------------
पागल कैसे हो जाते हैं
देखो ऐसे हो जाते हैं

ख़्वाबों का धंधा करती हो
कितने पैसे हो जाते हैं

दुनिया सा होना मुश्किल है
तेरे जैसे हो जाते हैं

मेरे काम ख़ुदा करता है
तेरे वैसे हो जाते हैं
Read more

6. Isee liye to mujhe sunke taish aaya hai..

isee liye to mujhe sunke taish aaya hai
tumhaara haal kisi aur ne bataaya hai

mujhe bata mera bhaai shaheed kaise hua
tu uske saath tha tu kaise bach ke aaya hai

abhi ye zakham kisi par nahin khula mera
abhi ye sher kisi ko nahin sunaaya hai 
-----------------------------
इसी लिए तो मुझे सुनके तैश आया है
तुम्हारा हाल किसी और ने बताया है

मुझे बता मेरा भाई शहीद कैसे हुआ
तू उसके साथ था तू कैसे बच के आया है

अभी ये ज़ख़्म किसी पर नहीं खुला मेरा
अभी ये शेर किसी को नहीं सुनाया है

Read more

7. Naya zaayqa hai maza mukhtalif hai..

naya zaayqa hai maza mukhtalif hai
ghazal chakh ke dekh is dafa mukhtalif hai

suno tumne duniya firee hai parindon
ye tanhaai kya har jagah mukhtalif hai

sada kaam kaise karegi wahan par
gali to wahi hai gala mukhtalif hai

hamaari tumhaari saza ik nahin kyun
hamaari tumhaari khata mukhtalif hai

tum abtak munaafiq dilon mein rahi ho
mere dil kii aab-o-hawa mukhtalif hai

vo rote hue hans pada aur bola
khuda aadmi se bada mukhtalif hai
------------------------------
नया ज़ायक़ा है मज़ा मुख़्तलिफ़ है
ग़ज़ल चख के देख इस दफ़ा मुख़्तलिफ़ है

सुनो तुमने दुनिया फिरी है परिंदों
ये तन्हाई क्या हर जगह मुख़्तलिफ़ है

सदा काम कैसे करेगी वहाँ पर
गली तो वही है गला मुख़्तलिफ़ है

हमारी तुम्हारी सज़ा इक नहीं क्यों
हमारी तुम्हारी ख़ता मुख़्तलिफ़ है

तुम अबतक मुनाफ़िक़ दिलों में रही हो
मिरे दिल की आब-ओ-हवा मुख़्तलिफ़ है

वो रोते हुए हँस पड़ा और बोला
ख़ुदा आदमी से बड़ा मुख़्तलिफ़ है

Read more

8. Pahle-pahal laḌenge tamasḳhur uḌaenge..

pahle-pahal laḌenge tamasḳhur uḌaenge
jab ishq dekh lenge to sar par biThaenge

tu to phir apni jaan hai tera to zikr kya
ham tere doston ke bhī naḳhre uThaenge

'ġhalib' ne ishq ko jo dimaġhi ḳhalal kaha
chhoḌen ye ramz aap nahin jaan paenge

parkhenge ek ek ko le kar tumhara naam
dushman hai kaun dost hai pahchan jaenge

qibla kabhi to taza-suḳhan bhi karen ata
ye char-panch ghazlen hi kab tak sunaenge

aage to aane dijiye rasta to chhoḌiye
ham kaun hain ye samne aa kar bataenge

ye ehtimam aur kisi ke liye nahin
taane tumhare naam ke ham par hi aenge
----------------------------------------
पहले-पहल लड़ेँगे तमसख़ुर उड़ाएँगे
जब इश्क़ देख लेंगे तो सर पर बैठाएँगे

तू तो फिर अपनी जान है तेरा तो ज़िक्र क्या
हम तेरे दोस्तों के भी नखरे उठाएँगे

'ग़ालिब' ने इश्क़ को जो दिमाग़ी ख़लाल कहा
छोड़ें ये रज़्म आप नहीं जान पाएँगे

परखेंगे एक-एक को ले कर तुम्हारा नाम
दुश्मन है कौन दोस्त है पहचान जाएँगे

क़िबला कभी तो ताज़ा-सुख़ान भी करें अता
ये चार-पाँच ग़ज़लें ही कब तक सुनाएँगे

आगे तो आने दीजिए रास्ता तो छोड़िए
हम कौन हैं ये सामने आ कर बताएँगे

ये एहतिमाम और किसी के लिए नहीं
ताने तुम्हारे नाम के हम पर ही आएँगे

Read more