Bhatakta phir raha hoon justuju bin.. byJaun Elia December 5, 2024 Bhatakta phir raha hoon justuju binSaraapa aarzoo hoon aarzoo bin.Koi is sheher ko taraaz kar deHui hai meri wahshat ha-o-hoo bin.Ye sab mojiz-numayi ki hawas haiRafugar aaye hain taar-e-rafoo bin.Maash-e-bedilaan poochho na yaaroNumoo paate rahe rizq-e-numoo bin.Guzar ai shauq ab khalwat ki raatenGuzaarish bin gila bin guftagu bin.------------------------------------भटकता फिर रहा हूँ जुस्तुजू बिनसरापा आरज़ू हूँ आरज़ू बिनकोई इस शहर को ताराज कर देहुई है मेरी वहशत हा-ओ-हू बिनये सब मोजिज़-नुमाई की हवस हैरफ़ूगर आए हैं तार-ए-रफ़ू बिनमआश-ए-बे-दिलाँ पूछो न यारोनुमू पाते रहे रिज़्क़-ए-नुमू बिनगुज़ार ऐ शौक़ अब ख़ल्वत की रातेंगुज़ारिश बिन गिला बिन गुफ़्तुगू बिन Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Na pooch us ki jo apne andar chhupa.. byJaun Elia December 5, 2024 Na pooch us ki jo apne andar chhupaGhanimat ki main apne baahar chhupa.Mujhe yahaan kisi pe bharosa nahiMain apni nigahon se chhup kar chhupa.Pahunch mukhbiron ki sukhun tak kahaanSo main apne honton pe aksar chhupa.Meri sun na rakh apne pehlu mein dilIse tu kisi aur ke ghar chhupa.Yahaan tere andar nahi meri khairMeri jaan mujhe mere andar chhupa.Khayalon ki aamad mein ye kharazaarHai teeron ki yalgaar tu sar chhupa.-----------------------------------न पूछ उस की जो अपने अंदर छुपाग़नीमत कि मैं अपने बाहर छुपामुझे याँ किसी पे भरोसा नहींमैं अपनी निगाहों से छुप कर छुपापहुँच मुख़बिरों की सुख़न तक कहाँसो मैं अपने होंटों पे अक्सर छुपामिरी सुन न रख अपने पहलू में दिलइसे तू किसी और के घर छुपायहाँ तेरे अंदर नहीं मेरी ख़ैरमिरी जाँ मुझे मेरे अंदर छुपाख़यालों की आमद में ये ख़ारज़ारहै तीरों की यलग़ार तू सर छुपा Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Kaisa dil aur is ke kya gham ji.. byJaun Elia December 5, 2024 Kaisa dil aur is ke kya gham jiYoonhi baatein banaate hain hum ji.Kya bhala aasteen aur daamanKab se palken bhi ab nahi nam ji.Us se ab koi baat kya karnaKhud se bhi baat keeje kam-kam ji.Dil jo dil kya tha ek mehfil thaAb hai darham ji aur barham ji.Baat be-taur ho gayi shayadZakhm bhi ab nahi hai marham ji.Haar duniya se maan le shayadDil hamare mein ab nahi dam ji.Hai ye hasrat ke zabh ho jaunHai shikan us shikam ki zaalim ji.Kaise aakhir na rang khelen humDil lahoo ho raha hai jaanam ji.Hai kharaba Hussainiya apnaRoz majlis hai aur maatam ji.Waqt dam bhar ka khel hai is meinBesh-az-besh hai kam-az-kam ji.Hai azal se abad talak ka hisaabAur bas ek pal hai paiham ji.Be-shikan ho gayi hain woh zulfeinUs gali mein nahi rahe kham ji.Dasht-e-dil ka ghazal hi na rahaAb bhala kis se keejiye ram ji.-----------------------------------कैसा दिल और इस के क्या ग़म जीयूँही बातें बनाते हैं हम जीक्या भला आस्तीन और दामनकब से पलकें भी अब नहीं नम जीउस से अब कोई बात क्या करनाख़ुद से भी बात कीजे कम-कम जीदिल जो दिल क्या था एक महफ़िल थाअब है दरहम जी और बरहम जीबात बे-तौर हो गई शायदज़ख़्म भी अब नहीं है मरहम जीहार दुनिया से मान ले शायददिल हमारे में अब नहीं दम जीहै ये हसरत के ज़ब्ह हो जाऊँहै शिकन उस शिकम कि ज़ालिम जीकैसे आख़िर न रंग खेलें हमदिल लहू हो रहा है जानम जीहै ख़राबा हुसैनिया अपनारोज़ मज्लिस है और मातम जीवक़्त दम भर का खेल है इस मेंबेश-अज़-बेश है कम-अज़-कम जीहै अज़ल से अबद तलक का हिसाबऔर बस एक पल है पैहम जीबे-शिकन हो गई हैं वो ज़ुल्फ़ेंउस गली में नहीं रहे ख़म जीदश्त-ए-दिल का ग़ज़ाल ही न रहाअब भला किस से कीजिए रम जी Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Main na thahroon na jaan tu thahra.. byJaun Elia December 5, 2024 Main na thahroon na jaan tu thahraKaun lamhon ke roob-roo thahra.Na guzarnay pe zindagi guzriNa thaharnay pe chaar-soo thahra.Hai meri bazm-e-be-dili bhi ajeebDil pe rakhun jahan subu thahra.Main yahaan muddaton mein aaya hoonEk hungama koo-ba-koo thahra.Mahfil-e-rukhsat-e-hamesha haiAao ik hashra-e-hao-hoo thahra.Ik tawaajjo ajab hai samton meinKe na boloon to guftagu thahra.Kaza-ada thi bahut umeed magarHum bhi 'Joun' ek heela-ju thahra.Ek chaak-e-barhengi hai wujudPairhan ho to be-rafu thahra.Main jo hoon kya nahi hoon main khud bhiKhud se baat aaj do-badoo thahra.Bagh-e-jaan se mila na koi samar'Joun' hum to namoo namoo thahra.---------------------------------मैं न ठहरूँ न जान तू ठहरेकौन लम्हों के रू-ब-रू ठहरेन गुज़रने पे ज़िंदगी गुज़रीन ठहरने पे चार-सू ठहरेहै मिरी बज़्म-ए-बे-दिली भी अजीबदिल पे रक्खूँ जहाँ सुबू ठहरेमैं यहाँ मुद्दतों में आया हूँएक हंगामा कू-ब-कू ठहरेमहफ़िल-ए-रुख़्सत-ए-हमेशा हैआओ इक हश्र-ए-हा-ओ-हू ठहरेइक तवज्जोह अजब है सम्तों मेंकि न बोलूँ तो गुफ़्तुगू ठहरेकज-अदा थी बहुत उमीद मगरहम भी 'जौन' एक हीला-जू ठहरेएक चाक-ए-बरहंगी है वजूदपैरहन हो तो बे-रफ़ू ठहरेमैं जो हूँ क्या नहीं हूँ मैं ख़ुद भीख़ुद से बात आज दू-बदू ठहरेबाग़-ए-जाँ से मिला न कोई समर'जौन' हम तो नुमू नुमू ठहरे Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Dil se hai bahut gurez-pa tu.. byJaun Elia December 5, 2024 Dil se hai bahut gurez-pa tuTu kaun hai aur hai bhi kya tu.Kyun mujh mein gawa raha hai khud koMujh aise yahaan hazaar-ha tu.Hai teri judai aur main hoonMilte hi kahin bichad gaya tu.Poochhe jo tujhe koi zara bhiJab main na rahoon to dekhna tu.Ik saans hi bas liya hai main neTu saans na tha so kya hua tu.Hai kaun jo tera dhyaan rakheBahar mere bas kahin na ja to.----------------------------------दिल से है बहुत गुरेज़-पा तूतू कौन है और है भी क्या तूक्यूँ मुझ में गँवा रहा है ख़ुद कोमुझ ऐसे यहाँ हज़ार-हा तूहै तेरी जुदाई और मैं हूँमिलते ही कहीं बिछड़ गया तूपूछे जो तुझे कोई ज़रा भीजब मैं न रहूँ तो देखना तूइक साँस ही बस लिया है मैं नेतू साँस न था सो क्या हुआ तूहै कौन जो तेरा ध्यान रखेबाहर मिरे बस कहीं न जा तो Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Woh khayal-e-muhal kis ka tha.. byJaun Elia December 5, 2024 Woh khayal-e-muhal kis ka thaAina be-misaal kis ka tha.Safar apne aap se tha mainHijr kis ka wisaal kis ka tha.Main to khud mein kahin na tha mojoodMere lab par sawaal kis ka tha.Thi meri zaat ik khayal-ashobJaane main hum-khayal kis ka tha.Jab ke main har-nafas tha be-ahwalWoh jo tha mera haal kis ka tha.Dopehar baad-e-tund koocha-e-yaarWoh gubaar-e-malaal kis ka tha.-----------------------------------वो ख़याल-ए-मुहाल किस का थाआइना बे-मिसाल किस का थासफ़री अपने आप से था मैंहिज्र किस का विसाल किस का थामैं तो ख़ुद में कहीं न था मौजूदमेरे लब पर सवाल किस का थाथी मिरी ज़ात इक ख़याल-आशोबजाने मैं हम-ख़याल किस का थाजब कि मैं हर-नफ़स था बे-अहवालवो जो था मेरा हाल किस का थादोपहर बाद-ए-तुंद कूचा-ए-यारवो ग़ुबार-ए-मलाल किस का था Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Shaam tak meri bekali hai sharab.. byJaun Elia December 5, 2024 Shaam tak meri bekali hai sharabShaam ko meri sarkhushi hai sharab.Jahil-e-waiz ka is ko raas aayeSahibo meri aagahi hai sharab.Rang-ras hai meri ragon mein ravaanBakhuda meri zindagi hai sharab.Naaz hai apni dilbari pe mujheMera dil meri dilbari hai sharab.Hai ghanimat jo hosh mein nahi mainShaikh tujh ko bacha rahi hai sharab.Hiss jo hoti to jaane kya kartaMufitiyon meri behisi hai sharab.-----------------------------------शाम तक मेरी बेकली है शराबशाम को मेरी सरख़ुशी है शराबजहल-ए-वाइ'ज़ का इस को रास आएसाहिबो मेरी आगही है शराबरंग-रस है मेरी रगों में रवाँब-ख़ुदा मेरी ज़िंदगी है शराबनाज़ है अपनी दिलबरी पे मुझेमेरा दिल मेरी दिलबरी है शराबहै ग़नीमत जो होश में नहीं मैंशैख़ तुझ को बचा रही है शराबहिस जो होती तो जाने क्या करतामुफ़्तियों मेरी बे-हिसी है शराब Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Kya kahen tum se boud-o-baash apni.. byJaun Elia December 5, 2024 Kya kahen tum se boud-o-baash apniKaam hi kya wahi talaash apniKoi dam aisi zindagi bhi kareinApna seena ho aur kharash apniApne hi tisha-e-nadamat seZaat hai ab to paash paash apniHai labon par nafas-zani ki dukaanYawa-goi hai bas maash apniTeri soorat pe hoon nisaara abAur soorat koi taraash apniJism o jaan ko to bech hi daalaAb mujhe bechni hai laash apni-------------------------------क्या कहें तुम से बूद-ओ-बाश अपनीकाम ही क्या वही तलाश अपनीकोई दम ऐसी ज़िंदगी भी करेंअपना सीना हो और ख़राश अपनीअपने ही तेशा-ए-नदामत सेज़ात है अब तो पाश पाश अपनीहै लबों पर नफ़स-ज़नी की दुकाँयावा-गोई है बस मआश अपनीतेरी सूरत पे हूँ निसार प अबऔर सूरत कोई तराश अपनीजिस्म ओ जाँ को तो बेच ही डालाअब मुझे बेचनी है लाश अपनी Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Gham hai be-maazra kai din se.. byJaun Elia December 5, 2024 Gham hai be-maazra kai din seJi nahi lag raha kai din seBe-shameem-o-malaal-o-hairaan haiKhema-gaah-e-sabaa kai din seDil-mohalle ki us gali mein bhalaKyun nahi gul macha kai din seWoh jo khushboo hai us ke qaasid koMain nahi mil saka kai din seUs se bhi aur apne aap se bhiHum hain be-waasta kai din se-------------------------------ग़म है बे-माजरा कई दिन सेजी नहीं लग रहा कई दिन सेबे-शमीम-ओ-मलाल-ओ-हैराँ हैख़ेमा-गाह-ए-सबा कई दिन सेदिल-मोहल्ले की उस गली में भलाक्यूँ नहीं गुल मचा कई दिन सेवो जो ख़ुश्बू है उस के क़ासिद कोमैं नहीं मिल सका कई दिन सेउस से भी और अपने आप से भीहम हैं बे-वासता कई दिन से Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet
Na koi hijr na koi wisal hai shaayad.. byJaun Elia December 5, 2024 Na koi hijr na koi wisal hai shaayadBas ek haalat-e-be-maah-o-saal hai shaayadHua hai dair-o-haram mein jo mutakif woh yaqeenTakaan-e-kashmakash-e-ihtimaal hai shaayadKhayaal-o-wahm se bartar hai us ki zaat so wohNihayat-e-hawas-e-khadd-o-khaal hai shaayadMain sat-h-e-harf pe tujh ko utaar laaya hoonTira zawaal hi mera kamaal hai shaayadMain ek lamha-e-maujood se idhar na udharSo jo bhi mere liye hai muhaal hai shaayadWoh inhimak har ik kaam mein ki khatam na hoTo koi baat hui hai malaal hai shaayadGumaan hua hai ye amboh se jawaabon keSawaal khud hi jawab-e-sawaal hai shaaya-------------------------------------------न कोई हिज्र न कोई विसाल है शायदबस एक हालत-ए-बे-माह-ओ-साल है शायदहुआ है दैर-ओ-हरम में जो मोतकिफ़ वो यक़ीनतकान-ए-कश्मकश-ए-एहतिमाल है शायदख़याल-ओ-वहम से बरतर है उस की ज़ात सो वोनिहायत-ए-हवस-ए-ख़द्द-ओ-ख़ाल है शायदमैं सत्ह-ए-हर्फ़ पे तुझ को उतार लाया हूँतिरा ज़वाल ही मेरा कमाल है शायदमैं एक लम्हा-ए-मौजूद से इधर न उधरसो जो भी मेरे लिए है मुहाल है शायदवो इंहिमाक हर इक काम में कि ख़त्म न होतो कोई बात हुई है मलाल है शायदगुमाँ हुआ है ये अम्बोह से जवाबों केसवाल ख़ुद ही जवाब-ए-सवाल है शायद Read more jaun elia pakistani poet 20th century poet