Parveen Shakir Poetry

baja ki aankh mein neendon ke silsile bhi nahin


baja ki aankh mein neendon ke silsile bhi nahin

baja ki aankh mein neendon ke silsile bhi nahin
shikast-e-khwaab ke ab mujh mein hausale bhi nahin

nahin nahin ye khabar dushmanon ne di hogi
vo aaye aa ke chale bhi gaye mile bhi nahin

ye kaun log andheron ki baat karte hain
abhi to chaand tiri yaad ke dhale bhi nahin

abhi se mere rafoogar ke haath thakne lage
abhi to chaak mere zakham ke sile bhi nahin

khafa agarche hamesha hue magar ab ke
vo barhmi hai ki ham se unhen gile bhi nahin 
------------------------------------------
बजा कि आँख में नींदों के सिलसिले भी नहीं
शिकस्त-ए-ख़्वाब के अब मुझ में हौसले भी नहीं

नहीं नहीं ये ख़बर दुश्मनों ने दी होगी
वो आए आ के चले भी गए मिले भी नहीं

ये कौन लोग अँधेरों की बात करते हैं
अभी तो चाँद तिरी याद के ढले भी नहीं

अभी से मेरे रफ़ूगर के हाथ थकने लगे
अभी तो चाक मिरे ज़ख़्म के सिले भी नहीं

ख़फ़ा अगरचे हमेशा हुए मगर अब के
वो बरहमी है कि हम से उन्हें गिले भी नहीं

Poet - Parveen Shakir
Location: Karachi, Pakistan
Views: 418