lahore

dhundh raha hai farang aish-e-jahaan ka davaam..

dhundh raha hai farang aish-e-jahaan ka davaam
waa-e-tamannaa-e-khaam waa-e-tamannaa-e-khaam

peer-e-haram ne kaha sun ke meri rooyedaad
pukhta hai teri fugaan ab na ise dil mein thaam

tha areni go kaleem main areni go nahin
us ko taqaza rawa mujh pe taqaza haraam

garche hai ifshaa-e-raaz ahl-e-nazar ki fugaan
ho nahin saka kabhi sheva-e-rindaana aam

halkaa-e-suufi mein zikr be-nam o be-soz-o-saaz
main bhi raha tishna-kaam tu bhi raha tishna-kaam

ishq tiri intiha ishq meri intiha
tu bhi abhi na-tamaam main bhi abhi na-tamaam

aah ki khoya gaya tujh se faqiri ka raaz
warna hai maal-e-faqeer saltanat-e-room-o-shaam 
--------------------------------------------------
ढूँड रहा है फ़रंग ऐश-ए-जहाँ का दवाम
वा-ए-तमन्ना-ए-ख़ाम वा-ए-तमन्ना-ए-ख़ाम

पीर-ए-हरम ने कहा सुन के मेरी रूएदाद
पुख़्ता है तेरी फ़ुग़ाँ अब न इसे दिल में थाम

था अरेनी गो कलीम मैं अरेनी गो नहीं
उस को तक़ाज़ा रवा मुझ पे तक़ाज़ा हराम

गरचे है इफ़शा-ए-राज़ अहल-ए-नज़र की फ़ुग़ाँ
हो नहीं सकता कभी शेवा-ए-रिंदाना आम

हल्क़ा-ए-सूफ़ी में ज़िक्र बे-नम ओ बे-सोज़-ओ-साज़
मैं भी रहा तिश्ना-काम तू भी रहा तिश्ना-काम

इश्क़ तिरी इंतिहा इश्क़ मिरी इंतिहा
तू भी अभी ना-तमाम मैं भी अभी ना-तमाम

आह कि खोया गया तुझ से फ़क़ीरी का राज़
वर्ना है माल-ए-फ़क़ीर सल्तनत-ए-रूम-ओ-शाम
Read more

ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamaana..

ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamaana
toota hai asia mein sehr-e-firangiyaana

taameer-e-aashiyaa se main ne ye raaz paaya
ahl-e-nava ke haq mein bijli hai aashiyana

ye bandagi khudaai vo bandagi gadaai
ya banda-e-khuda ban ya banda-e-zamaana

ghaafil na ho khudi se kar apni paasbaani
shaayad kisi haram ka tu bhi hai aastaana

ai la ilaah ke waaris baaki nahin hai tujh mein
guftaar-e-dilbaraana kirdaar-e-qaahiraana

teri nigaah se dil seenon mein kaanpate the
khoya gaya hai tera jazb-e-qalandaaraana

raaz-e-haram se shaayad iqbaal ba-khabar hai
hain is ki guftugoo ke andaaz mehraamaana 
-----------------------------------------
एजाज़ है किसी का या गर्दिश-ए-ज़माना
टूटा है एशिया में सेहर-ए-फ़िरंगियाना

तामीर-ए-आशियाँ से मैं ने ये राज़ पाया
अह्ल-ए-नवा के हक़ में बिजली है आशियाना

ये बंदगी ख़ुदाई वो बंदगी गदाई
या बंदा-ए-ख़ुदा बन या बंदा-ए-ज़माना

ग़ाफ़िल न हो ख़ुदी से कर अपनी पासबानी
शायद किसी हरम का तू भी है आस्ताना

ऐ ला इलाह के वारिस बाक़ी नहीं है तुझ में
गुफ़्तार-ए-दिलबराना किरदार-ए-क़ाहिराना

तेरी निगाह से दिल सीनों में काँपते थे
खोया गया है तेरा जज़्ब-ए-क़लंदराना

राज़-ए-हरम से शायद 'इक़बाल' बा-ख़बर है
हैं इस की गुफ़्तुगू के अंदाज़ महरमाना
Read more

na takht-o-taaj mein ne lashkar-o-sipaah mein hai..

na takht-o-taaj mein ne lashkar-o-sipaah mein hai
jo baat mard-e-qalander ki baargaah mein hai

sanam-kada hai jahaan aur mard-e-haq hai khaleel
ye nukta vo hai ki poshida laa-ilah mein hai

wahi jahaan hai tira jis ko tu kare paida
ye sang-o-khisht nahin jo tiri nigaah mein hai

mah o sitaara se aage maqaam hai jis ka
vo musht-e-khaak abhi aawaargaan-e-raah mein hai

khabar mili hai khudaayan-e-bahr-o-bar se mujhe
farang rahguzar-e-sail-e-be-panaah mein hai

talash us ki fazaaon mein kar naseeb apna
jahaan-e-tazaa meri aah-e-subh-gaah mein hai

mere kadu ko ghaneemat samajh ki baada-e-naab
na madarse mein hai baaki na khaanqaah mein hai 
---------------------------------------------
न तख़्त-ओ-ताज में ने लश्कर-ओ-सिपाह में है
जो बात मर्द-ए-क़लंदर की बारगाह में है

सनम-कदा है जहाँ और मर्द-ए-हक़ है ख़लील
ये नुक्ता वो है कि पोशीदा ला-इलाह में है

वही जहाँ है तिरा जिस को तू करे पैदा
ये संग-ओ-ख़िश्त नहीं जो तिरी निगाह में है

मह ओ सितारा से आगे मक़ाम है जिस का
वो मुश्त-ए-ख़ाक अभी आवारगान-ए-राह में है

ख़बर मिली है ख़ुदायान-ए-बहर-ओ-बर से मुझे
फ़रंग रहगुज़र-ए-सैल-ए-बे-पनाह में है

तलाश उस की फ़ज़ाओं में कर नसीब अपना
जहान-ए-ताज़ा मिरी आह-ए-सुब्ह-गाह में है

मिरे कदू को ग़नीमत समझ कि बादा-ए-नाब
न मदरसे में है बाक़ी न ख़ानक़ाह में है
Read more

ki haq se farishton ne iqbaal ki gammaazi..

ki haq se farishton ne iqbaal ki gammaazi
gustaakh hai karta hai fitrat ki hina-bandi

khaaki hai magar is ke andaaz hain aflaaki
roomi hai na shaami hai kaashi na samarqandi

sikhlaai farishton ko aadam ki tadap us ne
aadam ko sikhaata hai aadaab-e-khudaavandi 
---------------------------------------
की हक़ से फ़रिश्तों ने 'इक़बाल' की ग़म्माज़ी
गुस्ताख़ है करता है फ़ितरत की हिना-बंदी

ख़ाकी है मगर इस के अंदाज़ हैं अफ़्लाकी
रूमी है न शामी है काशी न समरक़ंदी

सिखलाई फ़रिश्तों को आदम की तड़प उस ने
आदम को सिखाता है आदाब-ए-ख़ुदावंदी
Read more

apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main..

apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main
aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main

be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism
ik rida-e-neel-goon ko aasmaan samjha tha main

kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham mein rah gaya
mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main

ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam
is zameen o aasmaan ko be-karaan samjha tha main

kah gaeein raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq
thi fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main

thi kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak
jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main 
------------------------------------------------
अपनी जौलाँ-गाह ज़ेर-ए-आसमाँ समझा था मैं
आब ओ गिल के खेल को अपना जहाँ समझा था मैं

बे-हिजाबी से तिरी टूटा निगाहों का तिलिस्म
इक रिदा-ए-नील-गूँ को आसमाँ समझा था मैं

कारवाँ थक कर फ़ज़ा के पेच-ओ-ख़म में रह गया
मेहर ओ माह ओ मुश्तरी को हम-इनाँ समझा था मैं

इश्क़ की इक जस्त ने तय कर दिया क़िस्सा तमाम
इस ज़मीन ओ आसमाँ को बे-कराँ समझा था मैं

कह गईं राज़-ए-मोहब्बत पर्दा-दारी-हा-ए-शौक़
थी फ़ुग़ाँ वो भी जिसे ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ समझा था मैं

थी किसी दरमाँदा रह-रौ की सदा-ए-दर्दनाक
जिस को आवाज़-ए-रहील-ए-कारवाँ समझा था मैं
Read more

kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare..

kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyun aajizi pe naaz kare

bitha ke arsh pe rakha hai tu ne ai wa'iz
khuda vo kya hai jo bandon se ehtiraaz kare

meri nigaah mein vo rind hi nahin saaqi
jo hoshiyaari o masti mein imtiyaaz kare

mudaam gosh-b-dil rah ye saaz hai aisa
jo ho shikasta to paida nawa-e-raaz kare

koi ye pooche ki wa'iz ka kya bigadta hai
jo be-amal pe bhi rahmat vo be-niyaaz kare

sukhun mein soz ilaahi kahaan se aata hai
ye cheez vo hai ki patthar ko bhi gudaaz kare

tameez-e-laala-o-gul se hai naala-e-bulbul
jahaan mein vaa na koi chashm-e-imtiyaaz kare

ghuroor-e-zohad ne sikhla diya hai wa'iz ko
ki bandagaan-e-khuda par zabaan daraaz kare

hawa ho aisi ki hindostaan se ai iqbaal
uda ke mujh ko ghubaar-e-rah-e-hijaaz kare 
-----------------------------------------
कुशादा दस्त-ए-करम जब वो बे-नियाज़ करे
नियाज़-मंद न क्यूँ आजिज़ी पे नाज़ करे

बिठा के अर्श पे रक्खा है तू ने ऐ वाइ'ज़
ख़ुदा वो क्या है जो बंदों से एहतिराज़ करे

मिरी निगाह में वो रिंद ही नहीं साक़ी
जो होशियारी ओ मस्ती में इम्तियाज़ करे

मुदाम गोश-ब-दिल रह ये साज़ है ऐसा
जो हो शिकस्ता तो पैदा नवा-ए-राज़ करे

कोई ये पूछे कि वाइ'ज़ का क्या बिगड़ता है
जो बे-अमल पे भी रहमत वो बे-नियाज़ करे

सुख़न में सोज़ इलाही कहाँ से आता है
ये चीज़ वो है कि पत्थर को भी गुदाज़ करे

तमीज़-ए-लाला-ओ-गुल से है नाला-ए-बुलबुल
जहाँ में वा न कोई चश्म-ए-इम्तियाज़ करे

ग़ुरूर-ए-ज़ोहद ने सिखला दिया है वाइ'ज़ को
कि बंदगान-ए-ख़ुदा पर ज़बाँ दराज़ करे

हवा हो ऐसी कि हिन्दोस्ताँ से ऐ 'इक़बाल'
उड़ा के मुझ को ग़ुबार-ए-रह-ए-हिजाज़ करे
Read more

mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-aarzoomandi..

mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-aarzoomandi
maqaam-e-bandagi de kar na luun shaan-e-khudaavandi

tire azaad bandon ki na ye duniya na vo duniya
yahan marne ki paabandi wahan jeene ki paabandi

hijaab ikseer hai aawaara-e-koo-e-mohabbat ko
meri aatish ko bhadrkaati hai teri der-paivandi

guzar-auqaat kar leta hai ye koh o biyaabaan mein
ki shaheen ke liye zillat hai kaar-e-aashiyaan-bandi

ye faizaan-e-nazar tha ya ki khushhaali ki karaamat thi
sikhaaye kis ne ismaail ko aadaab-e-farzandi

ziyaarat-gaah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahd meri
ki khaak-e-raah ko main ne bataaya raaz-e-alvandi

meri mashshaatgi ki kya zaroorat husn-e-ma'ni ko
ki fitrat khud-b-khud karti hai laale ki hina-bandi 
----------------------------------------------
मता-ए-बे-बहा है दर्द-ओ-सोज़-ए-आरज़ूमंदी
मक़ाम-ए-बंदगी दे कर न लूँ शान-ए-ख़ुदावंदी

तिरे आज़ाद बंदों की न ये दुनिया न वो दुनिया
यहाँ मरने की पाबंदी वहाँ जीने की पाबंदी

हिजाब इक्सीर है आवारा-ए-कू-ए-मोहब्बत को
मिरी आतिश को भड़काती है तेरी देर-पैवंदी

गुज़र-औक़ात कर लेता है ये कोह ओ बयाबाँ में
कि शाहीं के लिए ज़िल्लत है कार-ए-आशियाँ-बंदी

ये फ़ैज़ान-ए-नज़र था या कि मकतब की करामत थी
सिखाए किस ने इस्माईल को आदाब-ए-फ़रज़ंदी

ज़ियारत-गाह-ए-अहल-ए-अज़्म-ओ-हिम्मत है लहद मेरी
कि ख़ाक-ए-राह को मैं ने बताया राज़-ए-अलवंदी

मिरी मश्शातगी की क्या ज़रूरत हुस्न-ए-मअ'नी को
कि फ़ितरत ख़ुद-ब-ख़ुद करती है लाले की हिना-बंदी
Read more

ya rab ye jahaan-e-guzraan khoob hai lekin..

ya rab ye jahaan-e-guzraan khoob hai lekin
kyun khwaar hain mardaan-e-safa-kesh o hunar-mand

go is ki khudaai mein mahaajan ka bhi hai haath
duniya to samjhti hai farangi ko khuda-wand

tu barg-e-gaya hai na wahi ahl-e-khirad raa
o kisht-e-gul-o-laala b-bakhshad b-khare chand

haazir hain kaleesa mein kebab o may-e-gulgoo'n
masjid mein dhara kya hai b-juz mau'izaa o pand

ahkaam tire haq hain magar apne mufassir
taawil se quraan ko bana sakte hain paazand

firdaus jo tera hai kisi ne nahin dekha
afrang ka har qaryaa hai firdaus ki maanind

muddat se hai aawaara-e-aflaak mera fikr
kar de ise ab chaand ke ghaaron mein nazar-band

fitrat ne mujhe bakshe hain jauhar malaakooti
khaaki hoon magar khaak se rakhta nahin paivand

darvesh-e-khuda-mast na sharqi hai na garbi
ghar mera na dilli na safaahaan na samarkand

kehta hoon wahi baat samajhta hoon jise haq
ne aabla-e-masjid hoon na tahzeeb ka farzand

apne bhi khafa mujh se hain begaane bhi na-khush
main zahar-e-halaahal ko kabhi kah na saka qand

mushkil hai ik banda-e-haq-been-o-haq-andesh
khaashaak ke tode ko kahe koh-e-damaavand

hoon aatish-e-namrood ke sholoon mein bhi khaamosh
main banda-e-momin hoon nahin daana-e-aspand

pur-soz nazar-baaz o niko-been o kam aarzoo
azaad o girftaar o tahee keesa o khursand

har haal mein mera dil-e-be-qaid hai khurram
kya chheenega gunche se koi zauq-e-shakar-khand

chup rah na saka hazrat-e-yazdaan mein bhi iqbaal
karta koi is banda-e-gustaakh ka munh band 
------------------------------------------
या रब ये जहान-ए-गुज़राँ ख़ूब है लेकिन
क्यूँ ख़्वार हैं मर्दान-ए-सफ़ा-केश ओ हुनर-मंद

गो इस की ख़ुदाई में महाजन का भी है हाथ
दुनिया तो समझती है फ़रंगी को ख़ुदावंद

तू बर्ग-ए-गया है न वही अहल-ए-ख़िरद रा
ओ किश्त-ए-गुल-ओ-लाला ब-बख़शद ब-ख़रे चंद

हाज़िर हैं कलीसा में कबाब ओ मय-ए-गुलगूँ
मस्जिद में धरा क्या है ब-जुज़ मौइज़ा ओ पंद

अहकाम तिरे हक़ हैं मगर अपने मुफ़स्सिर
तावील से क़ुरआँ को बना सकते हैं पाज़ंद

फ़िरदौस जो तेरा है किसी ने नहीं देखा
अफ़रंग का हर क़र्या है फ़िरदौस की मानिंद

मुद्दत से है आवारा-ए-अफ़्लाक मिरा फ़िक्र
कर दे इसे अब चाँद के ग़ारों में नज़र-बंद

फ़ितरत ने मुझे बख़्शे हैं जौहर मलाकूती
ख़ाकी हूँ मगर ख़ाक से रखता नहीं पैवंद

दरवेश-ए-ख़ुदा-मस्त न शर्क़ी है न ग़र्बी
घर मेरा न दिल्ली न सफ़ाहाँ न समरक़ंद

कहता हूँ वही बात समझता हूँ जिसे हक़
ने आबला-ए-मस्जिद हूँ न तहज़ीब का फ़रज़ंद

अपने भी ख़फ़ा मुझ से हैं बेगाने भी ना-ख़ुश
मैं ज़हर-ए-हलाहल को कभी कह न सका क़ंद

मुश्किल है इक बंदा-ए-हक़-बीन-ओ-हक़-अंदेश
ख़ाशाक के तोदे को कहे कोह-ए-दमावंद

हूँ आतिश-ए-नमरूद के शो'लों में भी ख़ामोश
मैं बंदा-ए-मोमिन हूँ नहीं दाना-ए-असपंद

पुर-सोज़ नज़र-बाज़ ओ निको-बीन ओ कम आरज़ू
आज़ाद ओ गिरफ़्तार ओ तही कीसा ओ ख़ुरसंद

हर हाल में मेरा दिल-ए-बे-क़ैद है ख़ुर्रम
क्या छीनेगा ग़ुंचे से कोई ज़ौक़-ए-शकर-ख़ंद

चुप रह न सका हज़रत-ए-यज़्दाँ में भी 'इक़बाल'
करता कोई इस बंदा-ए-गुस्ताख़ का मुँह बंद
Read more

ye payaam de gai hai mujhe baad-e-subh-gaahi..

ye payaam de gai hai mujhe baad-e-subh-gaahi
ki khudi ke aarifon ka hai maqaam paadshaahi

tiri zindagi isee se tiri aabroo isee se
jo rahi khudi to shaahi na rahi to roo-siyaahi

na diya nishaan-e-manzil mujhe ai hakeem tu ne
mujhe kya gila ho tujh se tu na rah-nasheen na raahi

mere halka-e-sukhan mein abhi zer-e-tarbiyat hain
vo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulaahi

ye muaamle hain naazuk jo tiri raza ho tu kar
ki mujhe to khush na aaya ye tariq-e-khaanqaahi

tu huma ka hai shikaari abhi ibtida hai teri
nahin maslahat se khaali ye jahaan-e-murg-o-maahi

tu arab ho ya ajam ho tira la ilaah illa
lughat-e-ghareeb jab tak tira dil na de gawaahi
--------------------------------------------
ये पयाम दे गई है मुझे बाद-ए-सुब्ह-गाही
कि ख़ुदी के आरिफ़ों का है मक़ाम पादशाही

तिरी ज़िंदगी इसी से तिरी आबरू इसी से
जो रही ख़ुदी तो शाही न रही तो रू-सियाही

न दिया निशान-ए-मंज़िल मुझे ऐ हकीम तू ने
मुझे क्या गिला हो तुझ से तू न रह-नशीं न राही

मिरे हल्क़ा-ए-सुख़न में अभी ज़ेर-ए-तर्बियत हैं
वो गदा कि जानते हैं रह-ओ-रस्म-ए-कज-कुलाही

ये मुआमले हैं नाज़ुक जो तिरी रज़ा हो तू कर
कि मुझे तो ख़ुश न आया ये तरिक़-ए-ख़ानक़ाही

तू हुमा का है शिकारी अभी इब्तिदा है तेरी
नहीं मस्लहत से ख़ाली ये जहान-ए-मुर्ग़-ओ-माही

तू अरब हो या अजम हो तिरा ला इलाह इल्ला
लुग़त-ए-ग़रीब जब तक तिरा दिल न दे गवाही
Read more

ik danish-e-nooraani ik danish-e-burhaani..

ik danish-e-nooraani ik danish-e-burhaani
hai danish-e-burhaani hairat ki faraavani

is paikar-e-khaaki mein ik shay hai so vo teri
mere liye mushkil hai is shay ki nigahbaani

ab kya jo fugaan meri pahunchee hai sitaaron tak
tu ne hi sikhaai thi mujh ko ye ghazal-khwaani

ho naqsh agar baatil takraar se kya haasil
kya tujh ko khush aati hai aadam ki ye arzaani

mujh ko to sikha di hai afrang ne zindeeqi
is daur ke mulla hain kyun nang-e-muslmaani

taqdeer shikan quwwat baaki hai abhi is mein
naadaan jise kahte hain taqdeer ka zindaani

tere bhi sanam-khaane mere bhi sanam-khaane
dono ke sanam khaaki dono ke sanam faani 
---------------------------------------
इक दानिश-ए-नूरानी इक दानिश-ए-बुरहानी
है दानिश-ए-बुरहानी हैरत की फ़रावानी

इस पैकर-ए-ख़ाकी में इक शय है सो वो तेरी
मेरे लिए मुश्किल है इस शय की निगहबानी

अब क्या जो फ़ुग़ाँ मेरी पहुँची है सितारों तक
तू ने ही सिखाई थी मुझ को ये ग़ज़ल-ख़्वानी

हो नक़्श अगर बातिल तकरार से क्या हासिल
क्या तुझ को ख़ुश आती है आदम की ये अर्ज़ानी

मुझ को तो सिखा दी है अफ़रंग ने ज़िंदीक़ी
इस दौर के मुल्ला हैं क्यूँ नंग-ए-मुसलमानी

तक़दीर शिकन क़ुव्वत बाक़ी है अभी इस में
नादाँ जिसे कहते हैं तक़दीर का ज़िंदानी

तेरे भी सनम-ख़ाने मेरे भी सनम-ख़ाने
दोनों के सनम ख़ाकी दोनों के सनम फ़ानी
Read more