Rahat Indori Poetry

jab kabhi phoolon ne khushboo ki tijaarat ki hai


jab kabhi phoolon ne khushboo ki tijaarat ki hai

jab kabhi phoolon ne khushboo ki tijaarat ki hai
patti patti ne hawaon se shikaayat ki hai

yun laga jaise koi itr fazaa mein ghul jaaye
jab kisi bacche ne quraan ki tilaavat ki hai

jaa-namaazon ki tarah noor mein ujlaai sehar
raat bhar jaise farishton ne ibadat ki hai

sar uthaaye theen bahut surkh hawa mein phir bhi
ham ne palkon ke charaagon ki hifazat ki hai

mujhe toofaan-e-haawadis se daraane waalo
haadson ne to mere haath pe bai't ki hai

aaj ik daana-e-gandum ke bhi haqdaar nahin
ham ne sadiyon inheen kheton pe hukoomat ki hai

ye zaroori tha ki ham dekhte qilon ke jalaal
umr bhar ham ne mazaaron ki ziyaarat ki hai
---------------------------------------
जब कभी फूलों ने ख़ुश्बू की तिजारत की है
पत्ती पत्ती ने हवाओं से शिकायत की है

यूँ लगा जैसे कोई इत्र फ़ज़ा में घुल जाए
जब किसी बच्चे ने क़ुरआँ की तिलावत की है

जा-नमाज़ों की तरह नूर में उज्लाई सहर
रात भर जैसे फ़रिश्तों ने इबादत की है

सर उठाए थीं बहुत सुर्ख़ हवा में फिर भी
हम ने पलकों के चराग़ों की हिफ़ाज़त की है

मुझे तूफ़ान-ए-हवादिस से डराने वालो
हादसों ने तो मिरे हाथ पे बैअ'त की है

आज इक दाना-ए-गंदुम के भी हक़दार नहीं
हम ने सदियों इन्हीं खेतों पे हुकूमत की है

ये ज़रूरी था कि हम देखते क़िलओं' के जलाल
उम्र भर हम ने मज़ारों की ज़ियारत की है

Poet - Rahat Indori
Location: Indore, Madhya Pradesh
Views: 14